05/05/2017

Azaan Dene Ki Fazeelat

*Kitaabul Azaan:*

Mafhoome Hadees

Hazrat Abu Huraira RadiAllahu Anhu Se Rivayat Hai ke Nabi ﷺ ne Farmaya Jab Namaz Keliye Azaan di Jaati Hai to Shaitaan Paadta Hua Badi Tezi ke Saat Peeth mod Kar Bhaagta Hai Taake Azaan ki Awaaz Na Sun Sake Aur Jab Azaan Khatam Hojaati Hai to Phir Wapis Aajata Hai. Lekin Jun Hi Takbeer Shuru Hui Wo Phir Peeth Mod Kar Bhaagta Hai. Jab Takbeer bhi Khatam Hojaati Hai to Shaitaan Dobaara Aajata Hai Aur Namazi Ke Dil me Waswase Daalta Hai. Kehta Hai ke Falaan Baat Yaad Kar' Falaan Baat Yaad Kar. In batoun ki Shaitaan yaad Dahani Karaata Hai Jinka Ise Khayal Bhi Naa Tha Aur Is Tarah Is Shaks Ko Ye Bhi Yaad Nahi Rehta ke Isne Rakaten Padhi Hain.

Sahih Al-Bukhari:580
Hadees No:6

`Tashreeh:

``Shaitaan Azaan ki Awaaz Sunta Hai to Isiliye Bhaag Jaata Hai ke Use Adam Ko Sajda Naa Karne Ka Qissa Yaad Aajata Hai Lihaza Wo Azaan Nahi Sunna Chahta. Baaz Ne Kaha Isliye Ke Azaan ki Gawaahi Akhirat me Naa Deni Pade. Chonke Jahan Azaan ki Awaaz Jaati Hai wo sab Gawah Bante Hain. Is dar se wo Bhaag Jaata Hai ke Jaan Bachi Laakhoun paaye. Kitne hi Insaan Numa Shaitaan bhi Hain jo Azaan Ki Awaaz Sunkar so Jaate Hain Ya Apne Dunyavi Karobaar me Mashghool Hojaate Hain Aur Namaz keliye Masjid Me Hazir Nahi Hote. Ye Log Bhi Shaitaan mardood Se Kam Nahi Hain.

*Allah Inko Hidayat se Nawaze.*

English Translation:

Narrated Abu Huraira:                        Allah's Messenger (ﷺ) said, "When the Adhan is pronounced Satan takes to his heels and passes wind with  noise during his flight in order not to hear the Adhan. When the Adhan is completed he comes back  and again takes to his heels when the Iqama is pronounced and after its completion he returns again  till he whispers into the heart of the person (to divert his attention from his prayer) and makes him  remember things which he does not recall to his mind before the prayer and that causes him to forget  how much he has prayed."

Sahih Bukhari
(Call to Prayers (Adhaan))
Reference : Sahih al-Bukhari 580
In-book reference : Book 10, Hadith 6

No comments :

Post a Comment