Raavi-e-Hadees AbduLLaah Bin Mas’ood (RaziyALLaahu Anhu),
-
Nabi (SaLLaLLaahu ALaihi Wa SaLLam) Ne Farmaaya :
-
“Merey Ba’d Kuch Aisey Log Bhi Tumhaare MuaamLaat Ke Nigraan (Aur Tumhaarey Hukmaraan/leaders) Hongey Jo Sunnat Ki Raushni Bujhaaengey, Bida't Par AmaL Paira Hongey, Aur Namaaz Ko (AfzaL) WaQt Se Der Kar Ke Padhengey.”
Mai (Ibn Mas’ood) Ne Kaha : Aye ALLaah Ke RasooL ! Agar Mai Unhein Paaun Tou Kya Karun ?
Nabi (SaLLaLLaahu ALaihi Wa SaLLam) Ne Farmaaya :
“Aye Umm-Abd Ke Betey ! Mujhse Poochtey Ho Kya Karogey ? Jo Shakhs ALLaah Ki Nafarmaani Karey, Us Ki Baat Nahi Maani Jaayegi.”
-
[Sunan Ibn Maajah, Kitaab-UL-Jihaad, Hadees (Hasan) : 2865]
No comments :
Post a Comment