16/05/2017

jahannum ki geherai sattar 70 saal ( ki masafat ) ke barabar hai .


Bismillahirrahamanirrahim

Hazrat abbu Huraira radhiAllahu anh se rivayet  kay RasoolAllah (ﷺ) ny farmaya :' ' Allah Tabarak waTaala logon ko jama kere ga to momin kharray ho jayen ge yahan taq ke jannat un ke qareeb kar di jaye gi aur woh aadam Alaihi salam ke paas aakar arz karen ge : ae waalid buzurag! hamaray liye jannat ka darwaaza khulwayie woh jawab den ge : kya jannat se tumhe nikaalne ka sabab tumahray baap aadam ki khata ke ilawa koi aur cheez bani thi! mein is kaam ka ahal nahi hon. mere betay, Allah ke khalil ibrahim Alaihi salam ke paas jao. aap ny farmaya :' ' ibrahim Alaihi salam kahin ge : is kaam ( ko karne ) wala mein nahi hon, mein khalil tha ( magar awleen Shafaat ke is mansab se ) peechay peechay. tum musa Alaihi salam ka rukh karo, jin se Allah taala ny kalaam kya. log Musa Alaihi salam  ke paas ayen ge. woh jawab den ge : is kaam ( ko karne ) wala mein nahi hon. Allah taala ki rooh aur is ke kalme Isa Alaihi salam ke paas jao.Isa Alaihi salam farmaen ge, mein is kaam ( ko karne ) wala nahi hon. to log Mohammad (ﷺ)ke  paas ayen ge. aap Allah ke samnay qiyam farmaen ge aur aap ko ( Shafaat ki ) ijazat di jaye gi. amanat aur qaraabat daari ko bheja jaye ga, woh pul Siraat ki dono janib dayen aur bayin khari ho jayen gi. tum mein se awleen shakhs bijli ki tarha guzar jaye ga.'  mein ny poocha : mere maa baap aap par qurbaan! bijli guzarnay ki tarha' ' kya hai ?' ' aap ny farmaya :' ' tum ny kabhi bijli ki taraf nahi dekha, kis tarha palak jhapkane mein guzarti aur lotti hai? phir Hawwa ke guzarnay ki tarha ( taizi se ) phir parindah guzarnay aur Aadmi ke dornay ki taha un ke aamaal un ko le kar dorhein ge aur tumhara Nabi (ﷺ) pul Siraat par khara hua keh raha ho ga : ae mere Rabb! bacha bacha ( meri ummat ke har guzarnay walay ko salamti se guzaar day.)yahan tak ke bundon ke aamaal un ko le kar guzar na saken ge yahan taq ke aisa aadmi aeye gaa ji mein ghisat ghisat kar chalne se ziyada ki istetat nah hogi. aap (ﷺ) ny farmaya :( pul ) Siraat ke dono kinaroon par lohay ke aankray muallaq honge, woh is baat par mamoor hon ge ke jin logon ke baare mein hukum ho un ko pakar len, is tarha baaz zakhmi ho kar nijaat pa jayen ge aur baaz aag mein dhakel diye jayen ge.' is zaat ki qisam jis ke haath mein abbu Huraira ki jaan hai! jahannum ki geherai sattar 70 saal ( ki masafat ) ke barabar hai .

[Muslim]
Arabic/English book reference : Book 1, Hadith 201

No comments :

Post a Comment