05/05/2017

Wahi nazil hona

*﷽*

*Kitaabul Wahi*

HADEES

Hazrath Ayesha r.a farmaati hain ke ek shaks Haaris bin hashaam naami ne *Aap ﷺ* se sawal kiya tha ke,
Ya rasool Allah!Aap par wahi kaise naazil hoti hai?

Aap ﷺ ne farmaaya wahi naazil hote waqth kabhi mujhko ghanti ki si awaaz mehsoos hoti hai aur wahi ki ye kaifiyath(halath) mujh par bahoth shaaq guzarti hai.
Jab ye kaifiyath khatam hoti hai to mere dil o dimaag par is (farishte) ke zariye naazil shuda wahi mehfooz hojaati hai
Aur kisi waqth aisa hota hai ke farishta bashakal insaan mere paas aata hai aur mujhse kalaam karta hai,pas mai iska kaha hua yaad rakhleta hun.
Hazrath Ayesha r.a ka bayan hai ke mai sakhth kadake ki sardi me aap ﷺ ko dekha hai ke aap ﷺ par wahi naazil hui aur jab iska silsila mauqoof hua to aap ﷺ ki peshaani paseene se sharaabor thi.

Sahih al-bukhari:2
Hadees no:2

No comments :

Post a Comment