Bismillahirrahamanirrahim
AETIKAAF KARNE WALE KI BEEWI (WIFE) MULAQAAT K LIYE AA SAKTI HAI AUR AETIKAAF KARNE WALA BEEWI KO MAJBURI ME GHAR TAK CHOODNE K LIYE MASJID SE BAHAR JA SAKTA HAI.
Nabi karim Sallallah hu Allayhe Wasallam jab ehtikaf ki halat main hote to nabi Sallallah hu Allayhe Wasallam ki baaz ajwaj e mutaharat aapki ziyarat ke liye tashrif lati aur jab wo jane ke liye hoti toh aap unhe ghar tak pahuchane ke liye unke saath tashrif le jate aur ye raat ka waqt hota:
Hazrat Safeeya Radi Allahu Anha farmati hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam AETIKAAF mein they mein raat ko Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam se milne aayi aur baatey karti rahi, wapas jaane k liye uthi to Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam mujhe choodne k liye uth kar khade hue.
( Sahih al Bukhari – 2035, Sahih Muslim- 2175, Muttafakun Alaih, Muntaqal Akbar juz awwal Hadees no. 2280)
AGAR KISI KO AETIKAAF K LIYE 10 DIN MAYASSAR NA AA SAKEY TO JITNE DIN MAYASSAR HO UTINE DINO KA HI AETIKAAF KAR LENA CHAHIYE HATTA K EK RAAT KA AETIKAAF BHI DURUST HAI.
Hazrat Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhu se riwayat hai k Hazrat Umar Radi Allahu Anhu ne Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam se pucha “Mene zamana e jahaliyat mein masjid e haraam mein ek raat ka AETIKAAF karne ki nazar maani thi (puri karu ya na karu?) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya “Apni nazar poori kar”. (Bukhari Kitabus Saum Baab AETIKAAF laila)
Aetikaf Me Nabi Sallallah hu Alayhe Wassalam Ka Tariqa Kya Tha?
Ehtikaf me Nabi Sallallah hu Allayhe Wasallam ka tarika kamil aasan tha. Nabi karim Sallahu alehiwassalam ne Ramadhan mubarak main lailatul qadar ki talash main ek baar Ramadhan ka pahla aur darmiyani ashra ehtikaf kiya, phir un par ye zahir hua key laylatul qadar akhri ashre main hain toh Rasool akram Sallallah hu Allayhe Wasallam ne akhri ashre ka aehtikaf bameshgi ke saath karna shuru kiya hatta ki apne Rab se ja mile .
No comments :
Post a Comment