AETIKAAF K MASAIL
AETIKAAF SUNNAT E MOKKADA KIFAYA HAI AUR USKI MUDDAT DUS (10) YAUM HAI
Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Anhu farmate hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saamne har saal (ramazaan mein) ek baar quran padha jata tha, jis saal Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne wafaat payi Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saamne 2 martaba quran majeed khatam kiya gaya, isi tarah har saal Aap 10 din ka AETIKAAF farmate lekin jis saal Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne wafaat payi us saal 20 yaum ka AETIKAAF farmaya. (Mishkatul Masabeeh Hadees no. 2099)
AETIKAAF K LIYE FAJR KI NAMAZ K BAAD AETIKAAF KI JAGAH BAITHNA MASNOON HAI
Hazrat Ayesha Radi Allahu Anha farmati hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab AETIKAAF mein baithne ka irada farmate to fajr ki namaz padh kar matakaf mein dakhil hote.
(Sahih Sunan Abu Dawood Hadees no. 2152)
AETIKAAF MASJID MEIN HI KARNA CHAHIYE, RAMAZAAN MEIN AETIKAAF K LIYE ROOZA RAKHNA ZAROORI HAI, HAALAT E AETIKAAF MEIN BIMAAR KI IYADAT K LIYE JANA, JANAZEY MEIN SHAREEK HONA, BEEWI SE MUJAMAAT KARNA, BASHRI TAQAZO K BAGAIR AETIKAAF KI JAGAH SE BAHAR JANA MANA HAI.
Hazrat Ayesha Radi Allahu Anha farmati hai “AETIKAAF karne wale k liye sunnat ye hai k wo bimar ki iyadat ko na jaye, janazey mein shareek na ho, beewi ko na chooye aur na us se mujamaat kare, AETIKAAF ki jagah se aese zaruri kaam (yani qaza e haajat, farz gusal wagairah) k bagair na nikle, jis k bagair chaara hi na ho AETIKAAF roozey k saath hi hota hai aur masjid mein hota hai”.
(Sahih Sunan Abu Dawood Hadees no. 2160)
AURATO KO BHI AETIKAAF KARNA CHAHIYE
Hazrat Ayesha Radi Allah Anha se riwayat hai k Nabi E Akarm Sallallahu Alaihi Wa Sallam ramazaanul mubarak k aakhiri ashrah (21 se 30 ramazaan ul mubarak) tak AETIKAAF farmaya karte they yaha tak k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne wafaat payi Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k baad Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki Azwaaj e mutahharaat ne AETIKAAF kiya.
(Mukhtasar Sahih Muslim Hadees no. 633)
No comments :
Post a Comment