10/07/2017

Allah Subahnahu Taala ke kuch Farishtay Zameen Mein Ghumte Phirtay Hain

Bismillahirrahamanirrahim

Abu Huraira RadiAllahu Anhu se marwi hai ke Nabi Kareem ﷺ ne farmaya Allah Subahnahu Taala ke kuch farishtay zameen mein ghumte phirtay hain. logon ka hisaab likhnay walon ke ilawa (aur ahal zikar ko talaash karte hain) jab woh aisay logon ko dekhte hain jo Allah ka zikar kar rahay hotay hain to aik dosray ko pukarte hain: aur apne matloob ki taraf, woh un ke paas atay hain aur inhen aasman duniya tak dhaanp letay hain (phir ekhtataam par wapas jatay hain to) Allah Subahnahu Taala farmata hai : tum ne mere bandon ko kis haal mein choda? Woh farishtay kehte hain: hum ne inhen teri Tehmid, Tamjeed aur zikar karte huwe chorra. Allah taala farmata hai kya unhon ne mujhe dekha hai? Farishtay kehte hain: nahi. Allah Subahbahu Taala farmata hai (agar woh mujhe dekh len ) to un ki kafiyat kis tarhan hogi? woh kehte hain : agar woh aap ko dekh len to aur bhi ziyada Tehmid , Tamjeed aur zikar karen. Allah Subahnahu Taala farmata hai : woh kon si cheez maang rahay thay? woh kehte hain ke woh Jannat maang rahe thy. Allah Subahnahu Taala farmata hai : kya unhon ne usay dekha hai? woh kehte hain : nahi. Allah Subahnahu Taala farmata hai agar woh usay dekh len to un ki kya kafiyat hogi? Farishtay kehte hain: agar woh usay dekh len to is ki aur ziyada hiras karen, aur usay aur ziyada shiddat se talabb karen. Allah Subahnahu Taala farmata hai : woh kis cheez se panah maang rahay thay? woh kehte hain Aag se. Allah Subahnahu Taala farmata hai : kya unhon ne Aag (Jahannum) ko dekha hai? Farishtay kehte hain nahi. Allah Subahnahu Taala farmata hai : agar woh Aag ko dekh len to un ki kya kafiyat hogi? Farishtay kehte hain agar woh Aag dekh len to is se bhi ziyada bachney ki koshish karen aur is se bhi ziyada khauf khayen. Allah Subahnahu Taala farmata hai mein tumhe Gawah banata hon ke mein ne inhen bakhash diya. Farishtay kehte hain un mein falan gunah gaar bhi betha huwa tha, jo waisay hi wahan mojood tha, aur apne kisi kaam se aaya tha? Allah Subahnahu Taala farmata hai yeh aisay log hain jin ke paas bethnay wala bhi Mahroom nahi rehta.
_________________________
ابو ہریرہ  سے مروی ہے کہ نبی ﷺ نے فرمایا: اللہ کے کچھ فرشتے زمین میں گھومتے پھرتے ہیں ۔لوگوں کا حساب لکھنے والوں کے علاوہ ( اور اہل ذکر کو تلاش کرتےہیں ) جب وہ ایسے لوگوں کو دیکھتے ہیں جو اللہ کا ذکر کر رہے ہوتے ہیں تو ایک دوسرے کو پکارتے ہیں :آؤ اپنے مطلوب کی طرف ،وہ ان کے پاس آتے ہیں اور انہیں آسمان دنیا تک ڈھانپ لیتے ہیں ( پھر اختتام ؟؟؟ پر واپس جاتے ہیں تو ) اللہ تعالیٰ فرماتا ہے :تم نے میرے بندوں کو کس حال میں چھوڑا ؟وہ فرشتے کہتے ہیں :ہم نے انہیں تیری تحمید، تمجید اور ذکر کرتے ہوئے چھوڑا ۔اللہ تعالیٰ فرماتا ہے:کیا انہوں نے مجھے دیکھا ہے؟ فرشتے کہتے ہیں: نہیں۔ اللہ تعالیٰ فرماتا ہے: ( اگر وہ مجھے دیکھ لیں ) تو ان کی کیفیت کس طرح ہوگی؟ وہ کہتے ہیں: اگر وہ آپ کو دیکھ لیں تو اور بھی زیادہ تحمید، تمجید اور ذکر کریں۔ اللہ تعالیٰ فرماتا ہے: وہ کون سی چیز مانگ رہے تھے؟ وہ کہتے ہیں کہ وہ جنت مانگ رہے تھے۔ اللہ تعالیٰ فرماتا ہے: کیا انہوں نے اسے دیکھا ہے؟ وہ کہتے ہیں: نہیں۔ اللہ تعالیٰ فرماتا ہے: اگر وہ اسے دیکھ لیں تو ان کی کیا کیفیت ہو؟ فرشتے کہتے ہیں: اگر وہ اسے دیکھ لیں تو اس کی اور زیادہ حرص کریں، اور اسے اور زیادہ شدت سے طلب کریں۔ اللہ تعالیٰ فرماتا ہے: وہ کس چیز سے پناہ مانگ رہے تھے؟ وہ کہتے ہیں: آگ سے ۔اللہ تعالیٰ فرماتا ہے: کیا انہوں نے آگ ( جہنم ) کو دیکھا ہے ؟فرشتے کہتے ہیں نہیں۔ اللہ تعالیٰ فرماتا ہے: اگر وہ آگ کو دیکھ لیں تو ان کی کیا کیفیت ہوگی؟فرشتے کہتے ہیں: اگر وہ آگ دیکھ لیں تو اس سے بھی زیادہ بچنے کی کوشش کریں اور اس سے بھی زیادہ خوف کھائیں۔ اللہ تعالیٰ فرماتا ہے: میں تمہیں گواہ بناتا ہوں کہ میں نے انہیں بخش دیا۔ فرشتے کہتے ہیں: ان میں فلاں گناہ گار بھی بیٹھا ہوا تھا ،جو ویسے ہی وہاں موجود تھا، اور اپنے کسی کام سے آیا تھا؟ اللہ تعالیٰ فرماتا ہے: یہ ایسے لوگ ہیں جن کے پاس بیٹھنے والا بھی محروم نہیں رہتا

Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 2825

No comments :

Post a Comment