Bismillahirrahamanirrahim
_*Qayamat se pehle paish aane wali 10 nishani & Naik kamo ki taraf sabaqqat karne ki taqeed & Dajjal kae fitne se bada koi fitna nahi*
Hazrat Huzaifa bin usaed Ghafari raziallahu anhu farmate h ( ek din) hum log apas Mae Qayamat ka zikr kar rahe thae k Nabi Kareem sallalahu alaihi wassalm humari taraf aa nikle aur poocha k tum log kis cheez ka zikr kr Rae ho ?? Sahaba Mae arz kia : Hum Qayamat ka tazkira kr rahe hae, aap sallalahu alaihi wassalm nai Irshad farmya " Qayamat uss waqt tk nahi Ayegi Jab tk tum iss se pehle 10 nishnyo ko na dekhloge " phr aap nae;
(1) Dhohae ka (2) Dajjal ka (3) Dabbat ul arz ( yaani zameen se nikalne wala jaanwar) ka (4) sooraj ke Maghreb ki taraf se nikalna (5) Hazrat ISA Ibn Maryam ke aasman se utarna (6) yajooj wa majooj ka aur teen khasfo yaani zameen Mae dhas jaane ka tazkira farmaya (7) Ek khusf mashriq Mae (8) ek khusf Maghreb Mae (9) aur ek khusf Jazeera Arab Mae hoga (10) Sab se akhr Mae ek aag Yemen ki taraf se namoodar hogi aur logo ko haank kar zameen hashr ( yaani mulke shaam) ki taraf lae jaegi - aur ek hadees Mae yoo h k ek aag Yemen ke mashoor shehr adn ke akhri kinare se namoodar hogi aur logo ko Hank kar zameen hashr ki taraf lae Jaegi - naiz ek aur rewyt Mae daswi nishani yeh byan ki gyi h k ek hawa hogi Jo logo ko samundr Mae phaik degi...
[MUSLIM;2901a]
Hazrat Abu Huraira raziallahu anhu farmate h k rasoole khuda sallalahu alaihi wassalm nai Irshad farmya k 6 cheezo kae zahir hone se pehle tum Naik kamo ki taraf jaldi karo aur wo 6 cheeze yeh h (1) Dhohae (2) Dajjal (3) Dabbat ul arz ( yaani zameen se nikalne wala jaanwar) ka (4) aaftab ka Maghreb ki taraf se nikalna (5) aam fitna Jo tamam logo ko apni lapaet Mae lae-lega (6) Aur khaas fitna Jo tum Mae se kisi kae sath makhsoos hoga
[MUSLIM;2947b]
Hazrat imran bin Hussain raziallahu anhu farmate h mae nae huzoor aqdas sallalahu alaihi wassalm se Irshad farmate hue suna k Adam ki paidaesh se laekr Qayamat ke din tak Dajjal kae fitne se badha koi fitna nahi..
[MUSLIM;2946a]
For Better understanding see Hadees in English.
Hudhaifa b. Usaid al-Ghifari reported:
Allah's Messenger (ﷺ) came to us all of a sudden as we were (busy in a discussion). He said: What do you discuss about? They (the Companions) said. We are discussing about the Last Hour. Thereupon he said: It will not come until you see ten signs before and (in this connection) he made a mention of the smoke, Dajjal, the beast, the rising of the sun from the west, the descent of Jesus son of Mary (Allah be pleased with him), the Gog and Magog, and land-slides in three places, one in the east, one in the west and one in Arabia at the end of which fire would burn forth from the Yemen, and would drive people to the place of their assembly.
Sahih Muslim 2901 a
Abu Huraira reported Allah's Messenger (ﷺ) as saying:
Hasten in performing these good deeds (before these) six things (happen): (the appearance) of the Dajjal, the smoke, the beast of the earth, the rising of the sun from the west, the general turmoil (leading to large-scale massacre) and death of masses and individuals.
Sahih Muslim 2947 b
Abu Qatada reported:
We used to go to Imran b. Husain passing in front of Hisham b. 'Amir. He, one day, said: You pass by me (in order) to go to some persons, but (amongst the living persons) none remained in the company of Allah's Messenger (ﷺ) more than I and none knows more ahadith than I. I heard Allah's Messenger (ﷺ) as saying: There would be no creation (creating more trouble) than the Dajjal right from the creation of Adam to the Last Hour.
Sahih Muslim 2946 a
May Allah give us Hidayah to us
#Ameen
No comments :
Post a Comment