*PARA..1*
*ALIF LAAM MEEM*
*CHAPTER....1*
*INTRODUCTION TO QURAN*
*PART...3*
*QURAN PADHNE SE PEHLE “ISTI’ADHAH” PADHNA*
*(AAUDHUBILLAHI MINASH SHAITAN NIR RAJEEM)*
*ISTI`ADHAH (PANAH TALAB KARNA)*
Isti`adhah ka matlab hai,
“Mai Allah SWT ki panah mangta hoon Shaitan mardood se, taaki wo mere mazhabi ya dunyavi maamlat ko mutassir na kar sake, ya mujhe Allah SWT ka hukum manne se na rok sake, aur na hi mujhe un kaamon me mubtila kar sake jinko karne se roka gaya hai”
*Isti’adhah padhne ki Quran se daleel*
◾Allah SWT Farmate hain,
Aap darguzar ko ikhtiyar Karen, neik kaam ki takleem dein aur jahilon se aik kinare ho jayen, Aur agar koi waswasa Shaitan ki taraf se aane lage to Allah ki panah maang liya kijiye bila shubha wo khoob sunne wala, khoob janne wala hai. [Surah Al-A’raf : 199 – 200]
◾Burai ko bhalai se door Karen. Jo kuch ye bayan karte hain, hum ba khoobi waqif hain. Aur kaho, “Aye mere Parwardigar, Mai Shaitaon ke waswason se teri panah chahta hoon”
“Aur Aye Rabb, Main teri panah chahta hoon ke wo(shaitan) mere paas aa jayen” [Surah Mominoon: 96 – 98]
◾Neki aur badi barabar nahi hoti. Burai ko bhalai se dafa karo, phir wohi, jis ke aur tumhare darmiyan dushmani hai, aesa ho jayega jaise dili dost. Aur ye baat unhi ke naseeb me hoti hai jo sabr Karen aur iske siwae bade naseeb walon ke koi nahi paa sakta. Aur agar shaitan ki taraf se koi waswasa aaye to Allah ki panah talab karo. Yaqeenan wo bohot hi sunne wala janne wala hai [Surah Fussilat or Surah Ḥā Mīm as-Sajdah : 34 – 36]
In aayato ko padhkar maloom hua ki Allah SWT hume hukum dete hain ki, hum shaitani kaamon se Allah swt ki panah maange, kyunki shaitan apne dushman ke saath narmi nahi karta . Shaitan sirf Adam ki Aulad ka dushman hai aur sirf uski tabahi chahta hai. Kyunki wo Adam Alaihissalam se nafrat karta hai.
◾Allah SWT Farmate hain,
يَا بَنِي آدَمَ لَا يَفْتِنَنَّكُمُ الشَّيْطَانُ كَمَا أَخْرَجَ أَبَوَيْكُم مِّنَ الْجَنَّةِ
◾Aye Adam ki Aulad! Shaitan tumko kisi kharabi me na daal de jaise ke usne tumhare maa baap ko Jannat se bahar karva diya tha [Surah Al-A’raf: 27]
◾Yaad rakho! Shaitan tumhara dushman hai aur tum use dushman jano, wo to apne giroh ko sirf is liye hi bulata hai ke wo sab jahannum wale ho jayen [Surah Faatir: 6]
◾Kya phir bhi tum mujhe chod ke use aur uski aulad ko apna dost banana chah rahe ho? Halanki wo tum sab ka dushman hai. Aese zalimon ka kya hi bura badla hai [Surah Al-kahf: 50]
◾Aur phir Shaitan ne kaha, “Phir to teri izzat ki kasam, Main in sab ko Yaqeenan behka doonga. Ba-juz(sivaye) tere un bandon ke jo khalis aur tere pasadidah hon. [Surah Swad: 82-83]
◾Allah SWT ye bhi Farmate hain, “Quran padhne ke waqt Shaitan mardood se Allah ki panah talab karo. Imaan walon aur apne Rabb par bharosa rakhne walon par us ka zor mutlaqan nahi hota. Haan is ka ghalba un par to yakeenan hai jo isse rafaqat karen(dosti karen) aur ise Allah ka shareek thehrayen. [Surah An Nahl: 98-100]
◾ *Allah SWT farmate hain, Aur jab tum Quran padho, to Shaitan mardood se Allah ki panah talab karo. [An-Nahl: 98]* ye sabse strong daleel hai.
Abu Sa`id Al-Khudri (RA) se riwayat hai, jab Aapﷺ raat ko namaz padhne ke liye uthte, to padhte Aa'udhu Billahi As-Sami'il-Alimi min Ash-Shaitanir-Rajimi, min Hamzihi Wa Nafkhihi wa Nafthihi. (Mai Allah SWT, jo sab janne aur sunne wala hai, se panah mangta hoon Shaitan mardood se, uske takabbur, uski sakhti se)
Quran padhte waqt, Isti’adhah padhna chahiye kyonki Allah swt ne Quran ki Ayaton me iska hukum diya hai aur doosra ye ki Aap ﷺ bhi ise hamesha padhte the. Aur doosra ye ki ise padhne se hum shaitan se bach kar Allah SWT ki panah me aa jate hain.
*ISTI’ADHAH KI FAZILAT*
(1) Ye Muh se nikli buri baton se muh ko paak karta hai.
(2) Muh ko paak karke Allah ka kalam padhne ke liye tayyar karta hai.
(3) Ye Allah SWT ki madad ki talash ke saath is baat ko qubool karta hai ki Allah SWT hi har cheez ko karne ki quwwat rakhte hain.
(4) Ye is baat ka aitraf bhi hai ki insaan ke andar burai se ladne ki taqat nahi hai, ise sirf Allah SWT hi mita sakte hain
إِنَّ عِبَادِي لَيْسَ لَكَ عَلَيْهِمْ سُلْطَانٌ ۚ وَكَفَىٰ بِرَبِّكَ وَكِيلًا
◾Allah Taala farmate hain...Mere sachche bandon par tera (shaitan) koi qaboo aur bas nahi. Tera Rabb kaarsazi karne wala kaafi hai.
[Surah Isra or Surah Banī Isrāil : 65]
(5) Kyunki Shaitan to Insaan ko dekh sakta hai lekin Insaan shaitan ko nahi dekh sakta, behtar hai ki Insaan Allah (SWT) se madad mange.
(6) Isti’adhah Allah SWT ke qareeb jane ka mauqa aur har tarha ki burai ke shar se bachne ka tareeqa hai.
*IMPORTANT POINTS*
Agar tilawat karne wala aahista awaaz me, akele Qur’an padh raha hai, to use Isti’adhah bhi aahistah padhna hoga.Namaz me bhi Isti’adhah aahista padha jata hai.Agar koi logon ki maugoodgi me buland awaaz se tilawat kar raha ho to Isti’adhah bhi buland awaaz se padha jayegi.Agar sab baari se yani ek ke baad ek Qur’an padh rahe hain (jaise classroom me) to sabse pehle padhne wala tez awaaz me padhega aur baaki sab dheemi awaaz me padh sakte hain.Agar khaasne (coughing), cheekne (sneezing) se waqfa(gap) aa jaye. Ya Padhne ke dauran Ayaton ke mayne ya tafseer ke mutalliq se baat ki jaye, to dobara Qur’an shuru karne par Isti’adhah padhne ki zaroorat nahi.Agar Normal baat ya khaane peene ki wajah se Qirat band ki yani Qur’an padhna band kiya to dobara shuru karne par, Isti’adhah padhna padega.
To be Continued. ........
No comments :
Post a Comment