03/08/2017

*Glorious Qura'n *PART-1

*ALIF LAAM MEEM*

*CHAPTER....1*

*INTRODUCTION TO QURAN*

*PART...1*

*BISMILLAH HIR RAHMANIRRAHEEM*

Qur'an yani baar baar padhi jane vali kitaab, par afsoos hai ki ye sabse kam samjhi jane vali kitaab hai. Ye vo kitaab hai jiske words Allah ke hain aur jo farishtoon ke sardaar Jibreel Alaihissalam ke zariye  Mohammad ﷺ   par vahi ke zariye dhere dhere 23 years main nazil hua.
Aap ﷺ jab 40 years ke hue to Allah Ta'ala ne aapko paighambar banaya aur aapko dhere dhere Qur'an milna shuru hua . Qur'an samjhne ke liye Aap ﷺ  ki life  history samjhna yani seerah padhna bahot zaruri hai, tabhi hum Quran ko achchi tarah samjh sakte hain.

*QUR'AN KA HAQ*

1. Isko tajweed se padhna.

2. Iska matlab samajhna.

3. Har ayat ko apne liye khas  samajhna, uspar goor o fikar karna, reflect karna.

4. Qur'an  padhkar amal karna.

5. Jo bhi jitna bhi Qur'an  padha ho use dosro ko bhi batana aage pahunchana.

Yehi mission  Aap ﷺ  ko diya  gaya aur yehi ummate muslimah ke har insan ka mission hona chahiye, Ki Allah ke deen ko aage pahunchana hai, logon ko jahannam  ki aag se bachana hai, unhe jannat main jane main madad karna hai.

*QURAN PADHNE KE AADAAB (MANNERS)*

*ANDROONI (INTERNAL) AADAAB*

1.Lafzon ko samajhna -

Ye samjhna ki ye Allah ke words hain, unki azmat ko samjhna , mehsoos karna ki Allah Taala humse kya farma rahe hain.

2. Apne Dil main is baat ko achche se bithana ke ye alfaz kisi Insaan ke Alfaaz nahi hain.

3. Dil aur Dimaag ka hazir rakhna, gafil dil se Quran na padhna -

Qur’an padhte waqt padhne wale ko dil aur dimag hazir rakhna aur dosri batoon ke bare me  nahi soochna.

4. Maa’ini par goor aur fikr karna -

Bina Qur’an ko samjhe ya bina gaur aur fikr kare Quran ko padhne ka maqsad pora nahi hota, Isse hamari ibadat adhuri rehti hai.

5. Maa’ini/Matlab ko Samajhna -

Har Ayat ko sahi tareeqe se samajhna aur apne dil me utaarna.

6. Ye samajhna ki Qur’an ki har aayat sirf aur sirf mere liye hai.

*ZAHIRI (EXTERNAL) AADAAB*

A. *Jism aur Jagah ki Taharat, Kapdon ka paak saaf hona -*

*(Miswak use karna, Qibla rukh hona, Jagah aur Kapde saaf hona pasandida hai)*

B. *Isti'adhah Padhna Shaitan mardood se panah mangna -(Yawn karte waqt, Quran na Padhna) Basmalah padhna*

C. *Qur’an padhte waqt logon se baat karne ke liye beech me rukne se bachna jab tak ki koi bahot zaruri kaam na ho.*

D. *Jis Ayat me Aagaah(warn) kiya gaya ho to wahan ruk kar Allah swt se panah mangni . Aur Rehmat ki Ayat par ruk kar Allah swt se khair aur fazal ki dua karna.*

E. *Khushu Aur Khuzu se Quran Padhna. Aajzi aur rote hue Quran Padhna*

To be Continued..........

No comments :

Post a Comment