03/08/2017

Glorious Qura'n *Part-2*

*ALIF LAAM MEEM*

*CHAPTER....1*

*INTRODUCTION TO QURAN*

*Part 2*

*TILAVAT E QURAN – SUNNE KE AADAB*

*BISMILLAH HIR RAHMANIRRAHEEM*

Jis tarah Quran padhne ke Aadaab hain vese hi sunne ke bhi aadaab hain.

1⃣Allah Taala farmate hain....

وَإِذَا قُرِئَ الْقُرْآنُ فَاسْتَمِعُوا لَهُ وَأَنصِتُوا لَعَلَّكُمْ تُرْحَمُونَ

Jab tumhare samne Quran padha jaye to use tawajjo se suno aur khamosh raho shayad ke tum par bhi rehmat ho jaye.

[Surah Al-A’raf: 204]

Jab bhi Quran ki tilavat sune to khamoshi se suna karen, taki Allah ki Rahmat ho.

2⃣Allah Taala farmate hain...

إِنَّمَا الْمُؤْمِنُونَ الَّذِينَ إِذَا ذُكِرَ اللَّهُ وَجِلَتْ قُلُوبُهُمْ وَإِذَا تُلِيَتْ عَلَيْهِمْ آيَاتُهُ زَادَتْهُمْ إِيمَانًا وَعَلَىٰ رَبِّهِمْ يَتَوَكَّلُونَ

Sachche ahle imaan to vo log hain jinke dil Allah ka zikr sunkar laraz jate hain aur jab Allah ki ayat unke saamne padhi jati hai to unka imaan badh jata hai aur wo apne Rabb par imaan rakhte hai.  

*SURAH AL-FATIHAH KI FA
[Surah Anfal: 2]

3⃣Allah Taala farmate hain....

يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا أَطِيعُوا اللَّهَ وَرَسُولَهُ وَلَا تَوَلَّوْا عَنْهُ وَأَنتُمْ تَسْمَعُونَ

يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا أَطِيعُوا اللَّهَ وَرَسُولَهُ وَلَا تَوَلَّوْا عَنْهُ وَأَنتُمْ تَسْمَعُونَ

إِنَّ شَرَّ الدَّوَابِّ عِندَ اللَّهِ الصُّمُّ الْبُكْمُ الَّذِينَ لَا يَعْقِلُونَ

وَلَوْ عَلِمَ اللَّهُ فِيهِمْ خَيْرًا لَّأَسْمَعَهُمْ ۖ وَلَوْ أَسْمَعَهُمْ لَتَوَلَّوا وَّهُم مُّعْرِضُونَ

Aye imaan walon Allah aur uske Rasoolﷺ ki ita'at karo aur hukum sunne ke baad usse sartabi na karo, unlogon ki tarah na ho jao jinhone kaha ki hum ne suna halaki wo nahi sunte , yaqinan Allah ke nazdeek badtareen qism ke janvar wo behre gunge log hain jo aqal se kaam nahi lete. Agar Allah ko malum hota ki unme kuch bhi bhalai hai to vo unhe zaroor sunne ki tohfeeq deta (lekin bhalai ke bagair) agar vo unko sunvata to vo berukhi ke saath muh pher jate.

[Surah Al-Anfal: 20 – 23]

Jo Quran sunna nahi chahte vo kahte to hain ki humne suna lekin vo sunte nahi..phir Allah Taala bhi inse hidayat le lete hain.

4⃣ Allah Taala farmate hain...

الَّذِينَ يَسْتَمِعُونَ الْقَوْلَ فَيَتَّبِعُونَ أَحْسَنَهُ ۚ أُولَٰئِكَ الَّذِينَ هَدَاهُمُ اللَّهُ ۖ وَأُولَٰئِكَ هُمْ أُولُو الْأَلْبَابِ

Pas (aye Nabi ﷺ ) basharat(khushkhabri) dedo mere un bandon ko jo baat ko gaur se sunte hain aur uske behtareen pehlu ki pairvi karte hain. Yeh vo log hain jinko Allah ne hidayat bakshi hai aur yahi danishmand hai.

[Surah Az-Zumur: 18]

5⃣Allah Taala farmate hain....

اللَّهُ نَزَّلَ أَحْسَنَ الْحَدِيثِ كِتَابًا مُّتَشَابِهًا مَّثَانِيَ تَقْشَعِرُّ مِنْهُ جُلُودُ الَّذِينَ يَخْشَوْنَ رَبَّهُمْ ثُمَّ تَلِينُ جُلُودُهُمْ وَقُلُوبُهُمْ إِلَىٰ ذِكْرِ اللَّهِ ۚ ذَٰلِكَ هُدَى اللَّهِ يَهْدِي بِهِ مَن يَشَاءُ ۚ وَمَن يُضْلِلِ اللَّهُ فَمَا لَهُ مِنْ هَادٍ

Allah ne behtareen kalaam utara hai, ek aesi kitab jiske tamaam ajza hamrang hai aur jisme baar baar mazameem(topics) dohraae gae hain.

[Surah Az-Zumur: 23]

Ise sun kar un logon ke rongte khade ho jate hai jo apne Rabb se darne wale hain aur phir unke jism aur unke dil naram ho kar Allah ke zikr ki taraf raghib ho jate hain.  Yeh Allah ki hidayat hai jisse vo rah e rast par le aata hai jise vo chahta hai aur jise Allah hidayat na de uske liye koi haadi nahi hai.

Imam An Nawwawi Rahimullah farmate hain,“Quran Padhte waqt rona un logon ki sifat hai jo Allah swt ko pehchante hain (wo Allah ki baton ko aur unki ahmiyat ko samajhte hain), ye unke saleh ya neik hone ki nishani bhi hai.

To be Continued. .....

No comments :

Post a Comment