Bismillahirrahamanirrahim
(2:282) يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓا۟ إِذَا تَدَايَنتُم بِدَيْنٍ إِلَىٰٓ أَجَلٍ مُّسَمًّى فَٱكْتُبُوهُ ۚ وَلْيَكْتُب بَّيْنَكُمْ كَاتِبٌۢ بِٱلْعَدْلِ ۚ وَلَا يَأْبَ كَاتِبٌ أَن يَكْتُبَ كَمَا عَلَّمَهُ ٱللَّهُ ۚ فَلْيَكْتُبْ وَلْيُمْلِلِ ٱلَّذِى عَلَيْهِ ٱلْحَقُّ وَلْيَتَّقِ ٱللَّهَ رَبَّهُۥ وَلَا يَبْخَسْ مِنْهُ شَيْـًٔا ۚ فَإِن كَانَ ٱلَّذِى عَلَيْهِ ٱلْحَقُّ سَفِيهًا أَوْ ضَعِيفًا أَوْ لَا يَسْتَطِيعُ أَن يُمِلَّ هُوَ فَلْيُمْلِلْ وَلِيُّهُۥ بِٱلْعَدْلِ ۚ وَٱسْتَشْهِدُوا۟ شَهِيدَيْنِ مِن رِّجَالِكُمْ ۖ فَإِن لَّمْ يَكُونَا رَجُلَيْنِ فَرَجُلٌ وَٱمْرَأَتَانِ مِمَّن تَرْضَوْنَ مِنَ ٱلشُّهَدَآءِ أَن تَضِلَّ إِحْدَىٰهُمَا فَتُذَكِّرَ إِحْدَىٰهُمَا ٱلْأُخْرَىٰ ۚ وَلَا يَأْبَ ٱلشُّهَدَآءُ إِذَا مَا دُعُوا۟ ۚ وَلَا تَسْـَٔمُوٓا۟ أَن تَكْتُبُوهُ صَغِيرًا أَوْ كَبِيرًا إِلَىٰٓ أَجَلِهِۦ ۚ ذَٰلِكُمْ أَقْسَطُ عِندَ ٱللَّهِ وَأَقْوَمُ لِلشَّهَٰدَةِ وَأَدْنَىٰٓ أَلَّا تَرْتَابُوٓا۟ ۖ إِلَّآ أَن تَكُونَ تِجَٰرَةً حَاضِرَةً تُدِيرُونَهَا بَيْنَكُمْ فَلَيْسَ عَلَيْكُمْ جُنَاحٌ أَلَّا تَكْتُبُوهَا ۗ وَأَشْهِدُوٓا۟ إِذَا تَبَايَعْتُمْ ۚ وَلَا يُضَآرَّ كَاتِبٌ وَلَا شَهِيدٌ ۚ وَإِن تَفْعَلُوا۟ فَإِنَّهُۥ فُسُوقٌۢ بِكُمْ ۗ وَٱتَّقُوا۟ ٱللَّهَ ۖ وَيُعَلِّمُكُمُ ٱللَّهُ ۗ وَٱللَّهُ بِكُلِّ شَىْءٍ عَلِيمٌ
____________________
Al Qura'n(2:282):: Aey eman walon! Jab tum aapas mein tum aik doosray say miyaad-e-muqarrar per qarz ka mamla kero to issay likh liya kero aur likhney walay ko chahiye kay tumhara aapas ka mamla adal say likhay kaaib ko chahaiye kay likhney say inkar na keray jaisay Allah Taalaa ney ussay sikhaya hai pus ussay bhi likh dena chahiye aur jiss kay zimmay haq ho woh likhwaye aur apney Allah say daray jo uss ka rab hai aur haq mein say kuch ghataye nahi haan jiss shakhs kay zimmay haq hai woh agar nadan ho ya kamzor ho ya likhwaney ki taqat na rakhta ho to uss ka wali adal kay sath likhwa dey aur apney mein say do mard gawah rakh lo agar do mard na hon to aik mard aur do aurten jinhen tum gawahon mein say pasand ker lo takay aik ki bhool chook ko doosri yaad dila dey aur gawahon ko chahaiye kay woh jab bulayen jayen to inkar na keren aur qarz ko jiss ko muddat muqarrar hai khuwa chota ho ya bara ho likhney mein kahili na kero Allah Taalaa key nazdeek yeh baat boht insaf wali hai aur gawahi ko bhi durust rakhney wali aur shak-o-shuba say bhi bachaney wali hai haan yeh aur baat hai kay woh moamla naqad tijarat ki shakal mein ho jo aapas mein tum lain dain ker rahey ho to tum per iss kay na likhney mein koi gunah nahi. Khareed-o-farokht kay waqt bhi gawah muqarrar ker liya kero aur (yaad rakho kay) na to likhney walay ko nuksan phonchaya jaye na gawah ko aur agar tum yeh kero to yeh tumhari khuli na farmani hai Allah Taalaa say daro Allah tumhen taleem dey raha hai aur Allah Taalaa her cheez ko khoob janney wala hai.
_____________________
No comments :
Post a Comment