Bismillahirrahamanirrahim
*Shirk ki Sharai Taarif :*
✔Ahle Ilm ne Shirk ki Sharai taarif (definition) is tarah ki hai :
_*"Allah ki "Raboobiyat" mai, uske "Uloohiyat" (ibaadat) mai aur uske "Asma wa Sifaat" mai kisi Makhlook ko uska shareek muqarrar karna ya samajna.*_
*Allah ki Raboobiyat mai Shirk:*
☄Doosre Alfaz mai, Ye Aqeeda rakhna ke Allah to hamara Rab hai lekin us ne apni kuch zimmedariya doosro ko de rakhi hai,,,jaisa ke ye samjhna ke hamare Auliya, Murshid,Faqeer,,,Peer Baba, Sant, Sadhuo ko bhi Allah ne kuch Powers (Shakti) de rakhi hai isliye ye log bhi Insano ko fayda ya nuqsan pahuncha sakte hai Isko *"Allah ki Raboobiyat mai Shirk samja jayega".*
*ALLAH ki Uloohiyat (ibaadat) mai SHIRK :*
🔹Ab agar kisi Insan ke Aqeede mai ye ho k hamare Auliya, Murshid, Baba, Sadhu-Santo ke hatho me bhi Powers (shaktiya) diye to zahir se baat hai ke log inko khush karne ke liye inki ibaadat karne lag jayenge, in se dua talab karne lag jayenge, aur inke naam par chadhawe, mannat, gyarwi, niyaz karne lag jayenge. Isko *"Allah ki Uloohiyat (ibaadat) mai Shirk samja jayega".*
🔹Jab in Auliya, Murshid, Sadhu-Santo ki qabro par jakar log unse dua mange lag jayenge, in Auliya, Murshid, Sadhu-Santo ke paas koi aisi taqat (power) nahi hai ke ye kisi ko kuchh de de lekin unke pujari ye samjenge ke hamum ko to hamare Auliya, Murshid,Peer Baba,,,Sadhu-Santo se jo manga tha wo ataa kar diya lekin asal mai unki murade Allah hi puri karega lekin Allah in mushriko ke *Iman ko chheen lega, unko iska pata bhi nahi chalega* wo zindgi bhar is guman mai rahega ki hum Eeman wale hai,,,jb k wo Mushrik ho jayenge,,,is Shirk ki wjh se......
*ALLAH ke ASMA wa SIFAAT mai SHIRK:*
🔹Jab logo ki murade puri hoti jayengi (Asal mai unki murade Allah he puri karega), to log apne Auliya, Murshid,Peer Bsba,,,Sadhu-Santo ko *"Ghareeb Nawaz", "Bande Nawaz", "Mushkil kusha"Hajat Rawa,,Data,,,Ghaus e Aazam,,,Data,,,* ke naamo se pukarenge lekin asal nawazne wala Allah he hai to Isko hum Allah ke *"Asma wa Sifaat" mai shirk kahenge.*
📕 *KHULASA :*
*Upar bayan kiye gaye teen tarah ke shirk, "Shirk-e-Akbar" hai.* Aisa shirk karnewala Mushrik hai agar wo bagair tauba ke mar gya to *wo hamesha ke liye jahannam mai jalta rahega.*
*AKHIRAT mai MUSHRIK ko MAAFI nahi :*
🍃 *إِنَّ ٱللَّهَ لَا يَغْفِرُ أَن يُشْرَكَ بِهِۦ وَيَغْفِرُ مَا دُونَ ذَٰلِكَ لِمَن يَشَآءُ ۚ وَمَن يُشْرِكْ بِٱللَّهِ فَقَدْ ضَلَّ ضَلَٰلًۢا بَعِيدًا*
🍃 *"Use Allah ta'ala qatan na bakhshega ke us ke saath shareek muqarrar kiya jaaye, haan shirk ke alawa gunah jis ko chahe Allah maaf farma deta hai aur Allah ke saath shareek karne wala bahut door ki gumrahi main ja pada".*
📙(Surah 04 Nisa : Aayat 116 & 48)
*To be Continue In Shaa Allah*
No comments :
Post a Comment