24/10/2017

Wo log Shirk Karne Lag Jate Hain

Bismillahirrahamanirrahim

*فَإِذَا رَكِبُوا فِي الْفُلْكِ دَعَوُا اللَّهَ مُخْلِصِينَ لَهُ الدِّينَ فَلَمَّا نَجَّاهُمْ إِلَى الْبَرِّ إِذَا هُمْ يُشْرِكُونَ*
--------
Al Quran : Phir (mushrik) jab kashti mein sawar hote hain to Allah subhanahu ko pukarte hain aur khalis usee ki ibadat karte hain lekin jab wo unko nijat dekar khushki par phauncha deta hai to foran shirk karne lag jate hain
Surah Ankaboot (29),  Aayat 65
--------
*Tafsir ibn Kathir:*
Ibn Ishaq se rivayat hai Jab Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne Makkah Fatha Kiya to Ikrama bin Abu Jahal Radi Allahu Anhu Waha se nikle aur habash jaane ke irade we kashti Mai baith gaye, Ittefaq se Sakht tufan aaya aur kashti idhar udhar hone lagi jitne Mushriqeen kashti Mai they sab kahne lage ye moqa Sirf Allah Subhanahu ko pukarne Ka hai utho aur Ikhlas ke sath Allah Subhanahu se duaein Karo iss waqt Nijat ussi ke haath hai ye sunte hi Hazrat Ikrama bin Abu Jahal Radi Allahu Anhu Kaha suno Allah Subhanahu ki Qasam agar Samandar ke iss tufan se Allah Subhanahu Ke siwa koi aur Nijat Nahi de Sakta to khushki ki musibato ko taalne wala bhi wahi hai Allah Subhanahu Main tujhse Ahad karta hu ki agar yaha se bach gaya to seedha jaa kar Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ke haath mein haath rakh dunga aur Aap Ka Kalma padhunga Mujhe yaqeen hai ke Allah Subhanahu Ke Rasool Sallallahu Alahai Wasallam meri khataoh se darguzar farmaenge aur mujh par Raham aur Karam farmaenge aur yehi hua bhi (yani unhone Islam Qubul kar liya)
*Surah Ankaboot (29),  Aayat 65*

No comments :

Post a Comment