┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
اَعُوْذُبِااللّٰہِ مِنَ الشَّیْطٰنِ الرَّجِيم
ﺑِﺴْــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْمٰنِ ﺍلرَّﺣِﻴﻢ
┷━══◐━═━┉─○─┉━◑══┷
👤Prepared By:- Syed Akber Siddiqi Salafi
👉📲7416159729👈
السلام علیکم ورحمتہ اللہ وبرکاتہ
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
*✦✦ TOPIC :- HAZRATH IBRAHIM ALAIHI SALAM NE HAZRATH ISMAIL ALAIHI KO GHAR KI CHOUKHAT BADALNE KE LIYA KAHA(PART 5⃣) ✦✦*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
🔘Hazrat Ismail (Alaihi Salam) Ki Pehli Biwi Ki Na-Shukri Par Waalid Ibrahim (Alaihi Salam) Ne Ghar Ki Choukhat Badalne Ka (Yaani Pehli Na-Shukr Biwi Ko Talaaq Dene Ka) Hukum Diya.
📌 Ibrahim (Alaihi Salam) Ne Khana-e-Kaaba Ki Taameer Ke Waqt Ye Duwaa Ki Ke Meri Aulaad Me Aakhiri Nabi Ko Mabwoos (Paida Kar Ya Bhej).
Aur jiska natijha ye hua ke Allah Taala ne apne fazl se Ismail (Alahi Salam) ki nasal me Aise Nabi ko Paida farmaya jo na sirf Araboun ke liye balki tamam Aalam ke liye Rehmat banakar bheje gaye, Aahadees me aata hai ke RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wa Salam) Ne farmaya, “Main Ibrahim (Alaihi Salam) Ki Dua Hoon,..”
*♥ Khana-e-Kaaba Ka Tawaaf*
📁Jab Ibrahim (Alaihi Salam) Ne Baitullah Ki Taameer Kar Li To Unke Dil Me Khayaal Aaya Ki Kahee Kisi Cheez Ki Kami To Nahi Rah Gayee. Isiliye Unhone Ek Kone (Corner) Se (Tawaaf) Chakkar Lagaya Aur Baitullah Ke Charo Taraf Ghoom Kar Waapas Usi Kone Par Pahoonche. Lekin Unka Dil Mutmayeen Na Huwa, Phir Dusra Chakkar Lagaya Phir Usi Kone Par Waapas Pahoonche, phir Bhi Unko Dili Tasalli Na Huyee Phir Teesra Chakkar Lagaaya, Isi Tarha Ibrahim (Alaihi Salam) Ne Saat (7) Chakkar Khana-e-Kaaba Ke Lagaye. Unki Ye Adaa Allah Ta’ala Ko Itni Pasand Aaye Ke Tamaam Ummate Musalmaa Ko Jo Bhi Allah Ta’ala Ke Ghar Ki Ziyarath Ke Liye Aaye Chaahe Wo Haj Karne Aaye Ya Umraah Karne, Uske Liye Apne Ghar (Baitullah) Ka Tawaaf Karna Farz Kar Diya.,.. Riwaayato Me Hai Ki Jab Khanaa-e-Kaaba Ban Kar Tayyar Ho Gaya Toh Allah Ta’ala Ne Hazrat Ibrahim (Alaihi Salam) Ko Hukum Diya Ki, *“Aye Ibrahim ! Logo Ko Mere Ghar Ka Tawaaf Aur Ziyarath (Haj Aur Umraah) Kar Ne Ke Liye Daawat Do Ya Logo Ko Mere Ghar Ka Tawaaf Aur Ziyarath Ke Liye Pukaaro”.* Iss Par Hazrat Ibrahim (Alaihi Salam) Ne Arz Kiya, *“Aye Mere Rab ! Yahaa Par Toh Koi Nahi Hai, Na Aadam Hai Na Aadam Ki Jaat, Meri Pukaar (Daawat) Koun Sunega ?” .*
🔸Allah Ta’ala Ne Irshaad Farmaaya, Aye Ibrahim ! Logo Ko Pukaarna (Daawat Dena) Tumhara Kaam Hai, Aur Use Logo Tak Pahoochana Mera Kaam Hai. To Bas Tum Pukaaro
*♥ Khana-e-Kaaba Ko Suthra Rakhne Ka Hukum*
🔘Allah Ta’ala Ne Baitullah Ko Logo Ke Liye Sawaab Aur Aman Ki Jagaah Qaraar Diya, Aur Huqm Diya Ki Maqaam-e-Ibrahim ( Alaihi Salam) Ko Salaat (Namaaz Ya Ibaadat) Ki Jagaah Banao , Aur Ibrahim (Alaihi Salam) Aur Ismail (Alaihi Salam) Ko Hukum Diya Ki, *“Tum Mere Ghar (Baitullah) Ka Tawaaf Karne Walo, Aitqaaf, Rukuu Aur Sajdaa Karne Walo Ke Liye Saaf Suthraa Rakho”.*
📌Ibrahim (Alaihi Salam) Ne Allah Ta’ala Se Duwaa Ki, *“Aye Mere Rab, Is Shahar Ko Aman Ka Shaher Banaa De, Aur Is Ke Rahne Walo Me Jo Koi Allah Ta’ala Par Aur Aakhirat Par Imaan Laaye Unhe phaloun 🍇🍉🍋(Fruits) Ka Rizq Ataa Kar”.*
Allah Ta’ala Ne Farmaaya, *“Mera Waada Kaafiro Ke Liye Nahi Hai, Jo Kufr Karega Use Thoda Faida Doonga, phir Jahannum Ke Azaab Mein Daal Doonga, Aur Ye Bahut Bura Thikaana Hai”.*
Aur Is Tarhaa Allah Ta’ala Ne Ibrahim (Alaihi Salam) Ko Aazmaaya Bhi Aur Un Par Rahem Bhi Kiya Unhe Apna Khalil Banaaya Aur Unki Aulaado Me Se Paigambar, Nabi Aur Rasool Banaaye.
Ek Baar Ibrahim (Alaihi Salam) Ne Allah Ta’ala Se Sawaal Kiya, *“Aye Mere Rab Tu Mout Ke Baad Zinda Kis Tarhaa Karega ❓”.*
Allah Ta’ala Ne Farmaaya Ki, *“Kya Tujhe Yaqeen Nahi Hai? ”.*
Ibrahim (Alaihi Salam) Ne Kahaa, *“Mere Rab Mujhe Pura Yaqeen Hai Bas Mai Dil Ki Tasalli Ke Liye Dekhna Chaahta Hoon”.*
Allah Ta’ala Ne Farmaaya, “Chaar (4) Parinde (Birds) Le Aur Unhe Apne Saath Hilaa Le (Paaltu Bana Le) Aur Un Chaaro Ko Zibaah Karke Unka Gost (Meat) Aapas Mein Milaa Le Aur Unko Pahaad Ki Choti Par Rakh Kar Awaaz De. Woh Doude (Bhagte) Chale Aayege”.
Ibrahim (Alaihi Salam) Ne Aisa Hi Kiya Aur Woh Parinde Unki Aawaaz Par Zinda Ho Kar Doudte Houa Unke Paas Chale Aaye.
*📚Surah Al-Baqara, Chapter #2, Verse #260*
*♥ Har Haal Me Allah-e-Ta’ala Ka Shukr*
🔘Hazrat Ibrahim (Alaihi Salam) Ziyadatar Apni Paheli Biwi, Bibi Sara Aur Apne Bete Hazrat Ishaq (Alaihi Salam) Ke Saath Shaam (Syria) Me Hi Rahete The Aur Kabhi-Kabhi Apni Dusri Biwi, Bibi Hajera Aur Apne Bete Hazrat Ismail (Alaihi Salam) Se Milne Makkah Shareef Aaya Karte They. Ek Baar Hazarth Ibrahim (Alaihi Salam) Kaafi Arse (Bahut Dino) Ke Baad Apne Gharwalo Se Milne Makkah Shareef Aaye Aur Is Beech Hazrat Ismail (Alaihi Salam) Ka Nikaah (Shaadi), Makkah Me Hi Rahne Wali Ek Khatoon (Aurat) Se Ho Gaya. Hazarth Ibrahim (Alaihi Salam) Jab Ghar Par Ja Kar Dastak Di Tou UnKi Bahu Se Mulaaqat Huyee. Unki Bahu Ne Unhe Pahechana Nahi Ke Ye Mere Sasur (Father In Law) Hai. Kyon Ki Woh Unhe Paheli Baar Dekh Rahi Thi. Ibrahim (Alaihi Salam) ne apne bete Ismail (Alaihi Salam) Ke Baare Me Pochaa Tou Unki Bahu Ne Jawaab Diya Ki, *“Woh Ghar Par Nahi Hai, Jungle Gaye Huve Hai Kisi Kaam Se”.*
⚡Hazrat Ibrahim (Alaihi Salam) Ne Poocha, *“Aap Log Khair Khairiyat Se To Ho? Aur Aap Logoun Ka Guzar-Basar Tou Achchi Tarhaa Se Ho Raha Hai?”*
Is Par Unki Bahu Ne Shiqwaa Aur Shiqaayat Bhare Laheze Me Kahaa, *“Ham Logo Ke Ghar Me Bahut Tangi Hai, Aur Guzaara Bhi Badi Mushkil Se Hota Hai”.*
Apni Bahu Ke Muhh Se Ye Baate Sun Kar Hazarth Ibrahim (Alaihi Salam) Ne Kahaa, *“Abhi Tou Main Waapas Ja Rahaa Hoon. Aur Jab Bhi Ismail (Alaihi Salam) Aaye Toh Unse Kehana Ki, “Aap Ke Waalid (Father) Aaye They Aur Aap Ke Liye Ek Paigaam (Message) De Gaye Hai Ki, Tumhaare Ghar Ki Chaukhat (Door Frame) Achchi Nahi Hai, Isey Badal Dalo!”.*
Jab Ismail(Alaihi Salam) Jungle Se Waapas Aaye Tou Unki Biwi (Wife) Ne Unhe Unke Waalid (Father) Ka Paigaam (Message) Suna Diya, Aur Fir Khud Hi Kahaa Ki, *“Aap Ke Waalid Ne Ghar Ki Chaukhat (Door Frame) Badalne Ke Liye Kyon Kahaa ? ,. Hamaare Ghar Ki Chaukhat Tou Achchi Hai”.*
📚Hazarth Ismail (Alaihi Salam) Jo Ki Apne Waalid Ke Paigaam Ka Matlab Samajh Gaye They, Apni Biwi Se Kahaa Ki, *“Mere Waalid Ne Tumhe Badalne (Talaak Dene) Ke Liye Kahaa Hai, Ghar Ki Chaukhat Se Muraad Tum Ho”.*
Aur Ismail (Alaihi Salam) Ne Apni Paheli Biwi Ko Talaak De Diya. Aur Kuch Arsey Ke Baad Dusri Khatoon (Aurat) Se Nikaah (Shaadi) Kar Liya. Phir Kuch Arsey Ke Baad Dubaara Hazrat Ibrahim (Alaihi Salam), Apne Bete Ismail (Alaihi Salam) Se Milne Makkah Shareef Aaye. Is Baar Bhi Jab Ghar Ke Darwaaze Par Dastak Di Toh, Unki Dusri Bahu Se Mulaaqat Huyee. Ibrahim (Alaihi Salam) Ne Un Se Hazrat Ismail (Alaihi Salam) Ke Baare Me Poocha. Woh Dusri Bahu Bhi Ibrahim (Alaihi Salam) Ko Nahi Pahechaanti Thi, Kyon Ki Woh Bhi Unhe Paheli Baar Dekh Rahi Thi, Uss Ne Jawaab Diya Ki Ismail (Alaihi Salam) Tou Kuch Kaam Se Jungle Gaye Huve Hai.
🔘Hazrat Ibrahim (Alaihi Salam) Ne Apni Bahu Se Poocha, *“Aap Log Khair Khairiyat Se Tou Ho? Aur Aap Logo Ka Guzar-Basar Achchi Tarhaa Se To Ho Rahaa Hai ?”.*
Is Par Dusri Bahu Ne Jawaab Diya, *“Alham-Du-Lillah. Allah Ta’ala Ka Shukr aur Ahesaan Hai”.*
Hazrat Ibrahim (Alaihi Salam) Ne Jab Apni Bahu Ke Muhh Se Ye Baate Suni To Kahaa, *“Abhi To Main Waapas Ja Rahaa Hoon, Jab Bhi Ismail Ghar Wapas Aaye Tou Unse Kehna Ki, “Aap Ke Waalid (Father) Aaye They Aur Aap Ke Liye Ek Paigaam De Gaye Hai Ki, “Aap Ke Ghar Ki Chaukhat (Door Frame) Achchi Hai, Ise Sambhal Kar Hifaazat Se Rakhna”.*
📁Jab Hazrat Ismail (Alaihi Salam) Jungle Se Waapas Aaye Tou Unki Dusri Biwi Ne Unhe Unke Waalid Ka Paigaam Suna Diya. Apne Waalid Ka Paigaam Sunkar Ismail (Alaihi Salam) Ne Apni Dusri Biwi Se Kahaa, *“Mere Waalid Tum Se Khush They, Aur Tumhe Izzat, Ahetaraam Aur Mohabbat Se Rakhne Ke Liye Kahaa Hai”.*
*Note📣*Hamey Har Haal Me Allah Ka Shukar Adaa Karna Chahiye. Uski Neymatoun Ki Na-Shukri Nahi Karna Chahiye. Hazarth Ibrahim (Alaihi Salam) Ki Paheli Bahu Ne Allah Ta’ala Ki Na-Shukri Ki Thi, Isi Liye Aap Ne Apne Bete Ko Usey Talaak Dene Ke Liye Kahaa Tha. Jab Ki Dusri Bahu Ne Allah Ta’ala Ka Shukar Adaa Kiya Tou Aap Ne Apne Bete Ko Uss Se Pyar Mohabbat Aur Ahetraam Se Pesh Aane Ke Liye Kahaa.
Bhaiyoun Aur *Bhenoun* Na Shukri Karne Wale Ko Allah Ta’ala Pasand Nahi Farmaata, Isiliye Apne Rab Ke Shukr Guzaar Bande Bano, Aur Uss Ki Neymatoun Ka Har Waqt Shukriya Adaa Karte Raho, Jis Se Tumhaari Rozi Roti, Kaam-Dhande, Aulaad Aur Maal-O-Zaar Me Barqat Rahegi. Allah Ta’ala Ham Sab Ko Apna Shukr Guzaar Banda Banaaye. !!!!!
*Aameen !!!!! Ya Rabbul Alameen !!*
*📚Reference: (Virtual study of Mohammed Rafique, Qasas-Ul-Ambiya)*
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahi Rabbil A’lameen !!!
🔖Plz 4wd All Contacts And Groups Aapko Nekiyan Milti Rahengi In Sha Allah
💦Jazakallah Khairan Wa Ahsanul Jaza
*●════════════════════●*
*👥 Plz Share to others Also👥*
*●════════════════════●*
No comments :
Post a Comment