Bismillahirrahamanirrahim
Mafhoom e Hadith
*Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se rivayat hai ki*
*Hum log Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ke sath mashgul the ki us dauran ek shakhs ne kaha.
*اللَّهُ أَكْبَرُ كَبِيرًا وَالْحَمْدُ لِلَّهِ كَثِيرًا وَسُبْحَانَ اللَّهِ بُكْرَةً وَأَصِيل*
* Allahu Akbaru kabira wal-hamdu Lillahi kathira, wa subhan-Allahi bukratan Wa Asila*
* Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya kis shakhs ne ye kalimat padhe hain us shakhs ne kaha ki maine padhe hain to
*Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki is kalme ke liye 12 farishte daud padhe "yani is kalme ko sunne ke baad 12 farishte ne ye khwahish zahir ki ke is kalme ko wo baargah e ilahi me pesh kare*
*Sunan Nasaii, Jild 1, 888-Sahih*
* Ibn Umar Razi Allahu anhu se rivayat hai ki*
* Hum log Rasool Allah ﷺ ke sath namaz me mashgul the ki ek shaksh ne kaha*
*اللَّهُ أَكْبَرُ كَبِيرًا وَالْحَمْدُ لِلَّهِ كَثِيرًا وَسُبْحَانَ اللَّهِ بُكْرَةً وَأَصِيل*
* Allahu Akbar kabira Wa Al-hamdu Lillahi kathira, Wa Subhan-Allahi bukratan wa Asila*
* Rasool Allah ﷺ ne sunkar farmaya ki kisne ye kalimat padhe us shaksh ne kaha ki maine, To*
* Aap ﷺ ne farmaya is kalme ki wajah se aasman ke darwaze khol diye gaye*
*Ibn umar Razi Allahu Anhu ne farmaya us din ke baad se maine is kalimat ko kabhi nahi chodha jis waqt se Rasool Allah ﷺ ne ye irshad farmaya tha*
*Sunan Nasaii, Jild 1, 889-Sahih*
* Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya*
* Ek shakhs ne kaha Alhamdulillahi Kathira*
*اَلْحَمْد لِلهِ كَثِيرًا*
* Yani Allah ke liye bahot zyada tarifen hain*
* To farishte ko ye likhna bhari mehsus hua to usne us baare me Allah Subhanahu se ruju kiya to
*Us se kaha gaya ki usko "uske sawab ko" usee tarah likho jis tarah mere bande ne kaha kathira*
*"Yani bahot zyada"*
*Al Silsila As Sahiha, 2868-Sahih*
No comments :
Post a Comment