12/11/2017

Youmul arafa

Part 1
♻🔰♻🔰♻🔰♻🔰

9 dhul hijjah, yaum Al Arafah kay masail:
🔰 9 dhul hijjah yaum Al Arafah ko suraj tulou honay kay bad mina se Arafat rawana hona chiyay.

🔰 Mina se Arafat jatay waqat takbeer (Allahu Akbar) wa tahleel (la ilaha ilallah) aur talbiya (labaik Allahuma labaik) pukarna masnoon hay.

🔰 Mina se sidha Arafat pounchnay ke bajayay phelay wadi Al Nimar main zawal e aaftab tak rukna masnoon hay.

🔰 Wadi Al Nimra aur wadi Al Arafat aik dosray se muttasil hain (yani aik bara maidan hai. Jis main aik hissa wadi Al Nimra ka hay aur dosra hissa wadi Al Arafat ka hay). Masjid Al Nimra ka aik hissa wadi Al Arafat main hai. Masjid kay andar board lagha kar is ki nishandahi ki ghaye hai.

🔰 Zawal e aaftab ke bad masjid Al Nimra main imam ka khudba sunna phir zuhur aur asar ki namaz, aik azan aur do iqamat ke sath jamma aur qasar kar ke parhna masnoon hai.

🔰 Donoo namazon (zuhur aur asar) ke darmiyan koi sunnat aur nafil ada nahi karna chiyay.

🔰 Donoon namazain (zuhur aur asar) ada karnay ke baad maidan Al Arafat main dakhil hona masnoon hai.

🔰 Zawal e aaftab se qabal waqoof Al Arafa jaiz nahi.

🔰 Agar yaum Al Arafah jummah ko ho gha tab bhi zuhur ki namaz qasar hi ada ki jayay ghe.

🔰 Agar kisi shakhs ko imam ke sath, kisi sharai uzar ke bais ba jammat namaz parhnay ka mouqa na milay tu usay apnay khaimay main donoo namazain (agar afrad ziyada hoon tu ba jammat) jamma aur qasar ada karni chahiyay. 

🔰 Waqoof Al Arafah hajj ka sab se eham tareen hissa hay. Agar ye ada na kiya jayay tu  hajj ada nahi hota na hi fidya aur dam se is ki talafi hay.

🔰 Jo Arafat nahi pouncha us ka hajj nahi howa. Nabi kareem (S.A.W.W) nay farmayay: "Al Hajju Al Arafah"
(Mafhoom) hajj Arafat main thairnay ka nam hay.

🔰 Waqoof Al Arafah ka waqat 9 dhul hijjah ke din zawal say lay kar 10 dhul hijjah ki tulou e fajr tak hai.

🔰 Afzal waqat maghrib tak hay. Laikin agar koi magrib tak bhi na pounch saka tu hajj qaza nahi howa. Wo rat ko ya 10 dhul hijjah ki subha (tulou e fajr se phelay) tak pounch jayay.

🔰 Ju shakhs muzdalfa ki rat yani 9 aur 10 dhul hijjah ke darmiyani rat, tulou e fajr se phelay arafat main pounch jayay. Is ka hajj ada ho gaya. (Mafhoom farman an Nabi)

🔰 Agar kisi shakhs ne la ilmi ya ghalati se wadi Al Arafat ke bajayay wadi Al Nimra (ka wo hissa ju Arafat main shamil nahi) main waqoof kiya tu us ka hajj ada na ho gha.

No comments :

Post a Comment