Bismillahhirrahmanirrahim
⚪Mafhoom e Hådêës:
◼Baalo ko colour karna sunnat hai Yani ke mard ke liye Sar ke baal aur dadhi aur Aurat ke liye sirf uske sar ke baal.
▫▪▫Safed baalo ko na rangna Yahoodi aur issaiyo ka kaam hai
✔Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasool’Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Yahoodi aur isaai apne baalo ko rangte nahi hai, isliye unse alag karo(yani alag dikho)
📚Sahih Muslim, 2103
✔▪Jabir Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasool’Allah Sallallahu Alaihi Wasallam neAbu bakr Radiallahu anhu ke walid ke baalo ko dekha to farmaya ke iske rang ko kisi chiz se badal do lekin kaale rang se bachna.
📚Sahih Muslim, 2102
◼Baalo ko kaala rangne wala Jannat ki khushboo tak na payega
✔ ▪Rasool’Allah sallallaho alyehi wasallam ne farmaya akhir zamane me kuch log kabootar ke seene ki tarah siyaah khizaab(black dye) lagayenge wo jannat ki khusbhu tak na payenge.*
*رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: آخر زمانے میں کچھ لوگ کبوتر کے سینے کی طرح سیاہ خضاب لگائیں گے وہ جنت کی بو تک نہ پائیں گے ۔*
📚(Narrated by Abu Dawood, 4212;
◾Baalo ko Rangne ki sabse behatar cheez heena aur katam
✔▪Abu Dharr Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasool’Allah sallallaho alyehi wasallam ne farmaya sabse achhi chiz jisse is budhape ko(yani safed baalo ko) badla jaye, henna(mehndi) aur katam(wasmah) hai.
نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”سب سے بہتر چیز جس سے بال کی سفیدی بدلی جائے وہ مہندی اور وسمہ ہے“ ۱؎۔ امام ترمذی کہتے ہیں: یہ حدیث حسن صحیح ہے۔
📚Al-Tirmizi:1753,
Abu Dawud: 4205,ibn Majah: 3622
✔Abu hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Yahud aur Nasara khizab (dye) nahi karte to tum log unke khilaf karo yani khizab lagao
📚Sunan Nasaii, Jild 3, 1370-Sahih
✔ Jabir bin Abdullah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Abu Quhafa Radi Allahu Anhu ( Jo ki Abu bakr Radi Allahu Anhu ke walid hain) jis saal makka fateh huye aaye, unka sir aur daadhi sagama ( yani ek tarah ki ghaas) ki tarah safed thi to Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne unki aurto ko hukm diya ki inki safedi ko badal lo magar kale rang se bachna
📚Sahih Muslim, Jild 6, 5509 ✔
Ibn Abbas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya aakhri daur mein ek qaum hogi jo kaale rang ka khizab karegi kabutaro ke peeto (ya seeno) ki tarah, wo jannat ki khushbu bhi nahi paa sakegi📚
Sunan Nasaii, Jild 3, 1376-Sahih
✔ Thabit Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Ans Radi Allahu Anhu se pucha gaya ki Kya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne khizab kiya tha ? unhone kaha ki agar main chahta to aap Sallallahu Alaihi wasallam ke safed baal Mubarak gin leta, Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne khizab nahi kiya haan Abu Bakr Radi Allahu Anhu ne khizab kiya mehnadi aur neel se aur Umar Radi Allahu Anhu ne khizab kiya sirf mehandi se
📚Sahih Muslim, jild 6, 6072
🔘Ibn Al-Qayyim Rahimullah ne kaha:
Baalo ko bilkul kala karna mana hai, lekin agar koi chiz henna me miladi jaye, jaise katam(wasmah) waghaira tab usme koi burai nahi hai.Katam aur henna milkar baalo ko wo rang dete hai joki laal aur kaale ke bich ka hota hai.Wasmah(woad leaves) ki tarah nahi jo baalo ko aise kaala karti hai jaise koyla(coal).
📗Zaad al-Ma’aad, 4/336
▫▪▫To isse hame ye malum chalta hai ke ham katam ko akele ni istemaal kar sakte kyunki ye khalis kaala rang deta hai, lekin ise henna ke sath istemal kar sakte hai jisse ke hame Kaale aur laal ke bich ka rang milta hai jise ham reddish black kah sakte hai.
🌱🌱Note : Katam ek tarah ka paudha hota hai joki black colour deta hai, jaise ke henna yani mehndi ka paudha hota hai lekin wo laal rang deta hai.
No comments :
Post a Comment