22/12/2017

Allah Subhanahu kis ke Khilaf Elan E Jung Karta Hai

Bismillahirrahamanirrahim

*Mafhoom E Hadith*

Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se Riwayat hai ki Nabi Kareem Sallalahu Alayhi Wasallam ne Farmaya :Allah Ta'ala farmata hai ke jo  Shakhs mere kisi Dost ( Wali ) se Adawat ( Dushmani ) rakhta hai to wo sun le ki mai us ke khilaf Elan E Jung karta hun ,Aur Mera Bunda jin jin Ibadat ke zariye se mera Qurb hasil karta hai un mai se koi Ibadat mujhe is se zyada Pasand nahi hai jo maine us par farz ki hai ( Yani jaise Namaz , Roza Hajj , Zakat Waghera ) Ibadat mai mujhe faraiz ki Umdah aur Mustaqil Adaygi sabse zyada Pasand hai ,Aur mera Bunda is ke Alawa Nafali Ibadat kar ke is Qadar Nazdeek ho jata hai ke mai us se Mohabbat karne lagta hun, Chunache mai us ka kan ho jata hun, jis se wo sunta hai aur us ki Aankh ho jata hun jis se wo dekhta hai aur us ka Hath ho jata hun jis se wo Pakadta hai aur us ka Panw ho jata hun jis se wo chalta hai aur agar woh mujh se kuch mangta hai to mai use deta hun aur agar kisi se meri Panah chahta hai to mai use Panah deta hun ,Aur mujhe kisi kam mai jise mai karna chahta hun, itna Tarad'dud ( Pas O Paish ) nahi hota jitna ki Momin Bunde ki jan lene mai hota hai kyu ke wo Maut ko jismani Aaziyat ki wajah se Na-gawar rakhta hai aur khud mujhe bhi use Takleef dena bura lagta hai"_

*📚Sahih Al Bukhari Bab : 38*
Jild No. ( 4 )
Hadees No.- 6502

No comments :

Post a Comment