23/12/2017

Shaitan Us Se Dur Ho Jata Hai

Bismillahirrahamanirrahim

*Mafhoom e Hadith*

Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab aadmi apne ghar se nikle aur ye dua padhe
بِسْمِ اللَّهِ تَوَكَّلْتُ عَلَى اللَّهِ لاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللَّهِ
Bismillahi tawakkaltu AlAllahi La haula wa La quwwata illa billah
to usey (Allah ki taraf se) kaha jata hai ki tujhe hidayat di gayee, teri kifayat ki gayee aur teri hifazat ki gayee aur shaitan us se dur ho jata hai. Aur dusra shaitan us se kahta hai ki us aadmi ke saath tera kya haal ho sakta hai jise hidayat di gayee ho, jiski kifayat ki gayee ho aur jiski hifazat ki
gayee ho.

#*Sunan Abu Dawud, jild 3, 1654-Sahih*#

*Maghoom e Hadith*

Abu Dharr Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya jo shakhs fajr ki namaz ke baad do zanu hokar baitha rahe
(jis tarah tashahud mein baithta hai ) aur phir kisi se baat kiye bagair 10 baar ye padhe
لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَحْدَهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ يُحْيِي وَيُمِيتُ وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ
To uske liye 10 nekiya likh di jayengi , 10 gunah maaf kar diye jayenge, 10 darjat buland kiye jayenge,
Aur us din har burayee se mehfooz rahega, Aur usko shaitan ki pahuch se dur kar diya jayega
aur usko us din shirk ke alawa koi gunah halaq nahi kar sakega.

#*Jamia Tirmizi, Jild 2, 1399-Hasan*#

*Mahfoom e Hadith*

Amr bin aas Radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahau alaihi wasallam jab masjid mein tashrif le jaate to farmate
أَعُوذُ بِاللَّهِ الْعَظِيمِ وَبِوَجْهِهِ الْكَرِيمِ وَسُلْطَانِهِ الْقَدِيمِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ 
Main Allah ki azmat ki aur uski zaat e kareem ki aur uski qadeem badshahat ki shaitan mardud se panah chahta hu
aur jab masjid mein dakhil hone wala aadmee ye kahta hai to shaitan kahta hai ab wo mere shar se din bhar ke liye mehfooz ho gaya

#*Sunnan Abu Dawood Jild 1, Hadith 463-Sahih#*

No comments :

Post a Comment