🏆 *Islamic Quiz*🏆
Sawal :: *Wo Konse paigambar (عليه السلام)ne apne qoum se faramaya tha k "tum apni badkariyo se tauba hi karlo, Allah har jhuknay walay ki taraf tavajja farmata hai" to wo apne kaano mein unglian day len aur kapray ourh liye aur akarr baithey they.*
Options Are:
A. Hazrat Musa (عليه السلام)
B. Hazrat Isa (عليه السلام)
C.Hazrat. Nooh (عليه السلام)
D. Hazrat Yakuhb (عليه السلام)
E .Hazrat Loot (عليه السلام)
Al Qûr'ān
Sawal :2 *Allah Subhanahu "Tauba" karne walo k liye har jhuknay walay ki taraf kounse naematen/Inamaat ata farmata hai*
Options Are::
*Ek se zyada jawab Hai*
A. Maal o aulaad mein taraqqi hogi
B. Kheityan khoob hon gi
C. Baarish ke sath hi sath rizaq ki barket bhi tumhe miley gi
D.Zameen o aasman ki barkaton se tum malaa maal hojao ge
É. Qisam qisam ke phalon se lade phandey baagaat tumhe naseeb hon ge
G. Janwaron ke than dood se par rahenge
H. Har taraf nehrein aur darya jari ho jaien ge
*I. Rabbi zidni Ilma*
__________________
Sahi Jawab Hai⤵
*S-1 ABCDE✅*
*S-2 *Surah Qalam*✅
*References*
_____________
*Surat (Qalam) No 68 : Ayat No 17 -24*
اِنَّا بَلَوۡنٰہُمۡ کَمَا بَلَوۡنَاۤ اَصۡحٰبَ الۡجَنَّۃِ ۚ اِذۡ اَقۡسَمُوۡا لَیَصۡرِمُنَّہَا مُصۡبِحِیۡنَ ﴿ۙ۱۷﴾
بیشک ہم نے انہیں اسی طرح آزما لیا جس طرح ہم نے *باغ والوں کو* آزمایا تھا جبکہ انہوں نے قسمیں کھائیں کہ صبح ہوتے ہی اس باغ کے پھل اتار لیں گے ۔
وَ لَا یَسۡتَثۡنُوۡنَ ﴿۱۸﴾
اور *ان شاء اللہ نہ کہا* ۔
فَطَافَ عَلَیۡہَا طَآئِفٌ مِّنۡ رَّبِّکَ وَ ہُمۡ نَآئِمُوۡنَ ﴿۱۹﴾
پس اس پر تیرے *رب کی جانب سے ایک بلا چاروں طرف گھوم گئی اور یہ سو ہی رہے تھے* ۔
فَاَصۡبَحَتۡ کَالصَّرِیۡمِ ﴿ۙ۲۰﴾
*پس وہ باغ ایسا ہوگیا جیسے کٹی ہوئی کھیتی ۔*
فَانۡطَلَقُوۡا وَ ہُمۡ یَتَخَافَتُوۡنَ ﴿ۙ۲۳﴾
پھر سب یہ چپکے چپکے یہ باتیں کرتے ہوئے چلے ۔
اَنۡ لَّا یَدۡخُلَنَّہَا الۡیَوۡمَ عَلَیۡکُمۡ مِّسۡکِیۡنٌ ﴿ۙ۲۴﴾
*کہ آج کے دن کوئی مسکین تمہارے پاس نہ آنے پائے ۔*
_______________
*Al Quran*
Be shak hum ne inhen isi terhan aazma liya jis terhan hum ne *baagh walon ko* aazmaya tha *jabkay unhon ne khasmen khayen ke subah hotay hi is baagh ke phal utaar len ge* .
*Surat no 68 : ayat no 18*
aur *In shaa Allah nah* kaha .
*Surat no 68 : ayat no 19*
Pas is par tairay rab ki janib se aik *balaa charon taraf ghoom gayi aur yeh so hi rahay they* .
*Surat no 68 : ayat no 20*
*pas woh baagh aisa hogaya jaisay kati hui khaiti*.
*Surat no 68 : ayat no 21*
Ab subah hotay hi unhon ne aik dosray ko aawazian den .
*Surat no 68 : ayat no 22*
Ke agar tumhe phal utaarnay hain to apni khaiti par saweray hi saweray chal parro .
*Surat no 68 : ayat no 23*
*phir sab yeh chupkay chupkay yeh batain karte hue chalay*.
*Surat no 68 : ayat no 24*
ke *aaj ke din koi miskeen tumahray paas nah anay paye* .
*(Short Tafseer Ibne kaseer)*
Hum ny un logon ki isi terhan azmaish ki hai jis terhan baagh walon ki azmaish ki thi. jab unhon ny kasmain kha kha kar kaha ke subah hotay hotay hum is ka mewa toar len ge siyah raat aur kati hui khaiti.
yahan un kafiroon ki jo huzoor (ﷺ) ki nabuwat ko jhutla rahay they misaal bayan ho rahi hai ke jis terhan yeh baagh walay they ke Allah ki Nemat ki nashukri ki aur Allah ke azabon mein apne aap ko dal diya, yahi haalat un kafiroon ki hai ke Allah ki Nemat yani huzoor (ﷺ) ki paighambar ki nashukri yani inkaar ny inhen bhi Allah ki narazgi ka mustahiq kardiya hai, to farmata hai ke hum ny inhen bhi aazma liya jis terhan hum ny baagh walon ko aazmaya tha jis baagh mein terhan terhan ke phal meway waghera they, un logon ny aapas mein kasmain khayen ke subah se pehlay hi pehlay raat ke waqt phal utaar len ge taakay *faqeero miskeeno aur saylon* ko pata nah chalay jo woh aa kharray hon aur hamein un ko bhi dena parre balkay kal *phal aur meway khud hi le ayen* ge, apni is tadbeer ki kamyabi par inhen ghuroor tha aur is khushii mein phoolay hue they yahan taq ke Allah ko bhi bhool gaye *Insha Allah* tak kisi ki zabaan se nah nikla* is liye un ki yeh qisam poori nah hui, raat hi raat mein un ke pounchanay se pehlay aasmani aafat ny saaray baagh ko jala kar khakstar kardiya aisa hogaya jaisay siyah raat aur kati hui khaiti, apne baagh ke phal aur is ki pedawar se be naseeb hogaye ( Ibn abi Tatim ) subah ke waqt yeh aapas mein aik dosray ko aawazien dainay lagey ke agar phal utaarnay ka iradah hai to ab der nah lagao saweray hi chal parro, hazrat abdullah Ibn abbas (رض)farmatay hain yeh baagh angoor ka tha, ab *yeh chupkay chupkay baatain karte hue chalay taakay koi sun nah le aur ghareeb ghurba ko pata nah lag jaye* chunkay un ki sargoshian is Allah se to posheeda nahi reh sakti theen jo dili iraadon se bhi poori terhan waaqif rehta hai woh bayan farmata hai ke un ki woh khufia baatain yeh theen ke dekho hooshiyar raho koi miskeen bhanak pa kar kahin aaj aa nah jaye hargiz *kisi faqeer ko baagh mein ghusnay hi nah dena* ab qowat o shiddat ke sath pukhta iraday aur ghareebon par ghusse ke sath –apne baagh ko chalay, سدی farmatay hain حرد un ki bastii ka naam tha lekin yeh kuch ziyada theek nahi maloom hota. yeh jantay they kaha ab hum phalon par qaabiz hain abhi utaar kar sab le ayen ge, lekin jab wahan puhanche to hakka bakka reh gaye. ke لہلہاتا huwa hara bhara baagh meoon se lde hue darakht aur pakkay hue phal sab ghaarat aur barbaad ho chukay hain saaray baagh mein aandhi phir gayi hai aur kal baagh meoon sameit jal kar koyla hogaya hai,.
*[ Tafseer ibn-e-kaseer 68 : 17 ]*
No comments :
Post a Comment