⭕ *BESHAK JISNE TAWEEZ LATKAYA USNE SHIRK KIYA*⭕
🌿(Aye Rasool!) Aap Keh Do Ke Mere Liye Allah Hi Kafi Hai, Aur Bharosa Rakhne Wale Usi(Allah) Par Bharosa Rakhte Hai.
📖Surah 39 Az-Zumar, Ayat 38
🌿 (Aye Logon!) Agar Allah Tumhare Upar Koyi Takleef Dena Chahe, Tou Usko Koyi Hata Nahi Sakta, Aur Agar Wo Tumpar Khair Karna Chahe, Tou Koi Bhi Usko Radd Nahi Kar Sakta.
📖Suah 10 Yunus, Ayat 107
🌿 Hazrate Abdullah-Bin-Aakim (Razi’Allahu Anhu) Farmate Hain Ke Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmayam – *Jisne “Taweez” Latkai Usne Shirk Kiya.*
📚Musnad Ahmad (4/156) No. 17458
📚 Mustadrak al-Haakim (4/243) No. 7513
🌿Hazarte Huzaifa (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai, Ek Shakhs Ke Hath Par Ek Dhaga Dekha Jo Wo Bukhaar Ki Wazah Se Pehna Tha. Tou Usey Kaat Kar Fek Diya Aur Quraan Ki Yeh Ayat Tilawat Farmayi,
*“Zyadatar Log Allah Ke Upar Emaan Laney Ke Bawazood Mushrik Hai”*
📚Surah 12 Yusuf, Ayat 106
📚Ibne Abu Hatim, Kitabut Tawheed, Safa 38
🌿 Abdullah Ibne Mas’ud (Razi’Allahu Anhu) Ne Farmaya Ke, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
*“Taweez, Jhar-Foonk Sab Hi Shirk Hai”.*
Ye Sunke Jainab (Razi’Allahu Anha) (Abdullah Ki Biwi) Ne Kaha, ‘Aap Ye Kya Keh Rahe Ho?’
*Allah Ki Qasam! Mere Aankh Ki Beemari Ke Waqt, Main Ek Yahudi Ke Paas Jati Thi Aur Wo Mujhe Taweez Deti Thi. Aur Uss Se Meri Beemari Dur Ho Jati Thi.*
Tab Abdullah (Razi’Allahu Anhu) Ne Bataya – ‘Wo Tou Shaitani Aamal Tha. Dar’asal Shaitan Aapne Hath Se Tumhare Aankh Ko Daba Ke Rakhta Tha. Jab Yahudi Tumhe Taweez Pahenne Ko Detey, Tab Shaitan Wo Kaam Chhor Deta.
🌿Beshaq Tum Wohi Bayan Karo Jo Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
*“Ya Allah Sarey Aalam Ka Rab, Taqleef Dur Karnewala, Shifa Ata Farma, Sirf Tu Hi Shifa Deney Wala Hai, Tere Bagair Koyi Shifa Dene Wala Nahi Hai, Aisi Shifa Ata Kar Takey Beemari Ek Dum Hi Na Rahe.*
📚Abu Dawood, Vol 3, Hadees-485
💢Lihaza Imaanwalo Ko Chahiye Ki Unpar Aanewali Musibato Ko Allah Ki Masliyat Jaane Aur Sabr Wa Shukr Ada Karte Rahe Aur Apne Rab Se Sirate Mustakim Par Chalne Ki Dua Karte Rahe.
Allah Hume Haq Kehne, Sun’ne Aur Samajh Ke Saath Amal Ki Taufik Ata Farmaye..
No comments :
Post a Comment