02/04/2018

Dawood Alaihi-Salam Aur Suleman Alaihi-Salam ka Faisla

*_بِسْمِ اَللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ_*
*وَ دَاوٗدَ  وَ سُلَیۡمٰنَ  اِذۡ یَحۡکُمٰنِ فِی الۡحَرۡثِ  اِذۡ  نَفَشَتۡ فِیۡہِ غَنَمُ  الۡقَوۡمِ ۚ وَ کُنَّا  لِحُکۡمِہِمۡ  شٰہِدِیۡنَ ﴿٭ۙ۷۸﴾*
Aur dawood ( alh-e-salam ) aur suleman ( alh-e-salam ) ko yaad kijiye jabkay woh khet kay moamlay mein faisla ker rahey thay kay kuch logon ki bakriyan raat ko iss mein char chug gaee thin aur unn 
kay faislay mein hum mojood thay.

*وَ عَلَّمۡنٰہُ  صَنۡعَۃَ  لَبُوۡسٍ لَّکُمۡ لِتُحۡصِنَکُمۡ مِّنۡۢ بَاۡسِکُمۡ ۚ فَہَلۡ اَنۡتُمۡ شٰکِرُوۡنَ ﴿۸۰﴾*
Aur hum ney ussay tumharay liye libaas bananey ki kaari gari sikhaee takay laraee kay zarar say tumhara bachao ho. Kiya tum shukar guzar bano gay?*
*❄surah Al Anbiyaa: Aayath no :78 & 80*

*TAFSEER*

*Hazrat Ibn Masood razzi Allah taala anho farmatay hain is baagh ko bkryon naay bigaar diya, hazrat Dawod aleh salam naay yeh faisla kya ke baagh ke nuqsaan ke badlay yeh bakriyan baagh walay ko day di jayen. hazrat Sulaiman aleh salam naay yeh faisla sun kar arz ki ke ae Allah ke nabi aleh salam is ke siwa bhi faislay ki koi soorat hai? aap naay farmaya woh kya? jawab diya ke bakriyan baagh walay ke hawalay kar di jayen woh un se faida uthata rahay aur baagh bakri walay ko day diya jaye yeh is mein angoor ki belon ki khidmat kere yahan taq ke belein theek thaak ho jaien angoor lagen aur phir isi haalat par ajayeen jis par they to baagh walay ko is ka baagh saump day aur baagh wala .

usay is ki bakriyan saump day*
*Tafseer Ibn katheer*


No comments :

Post a Comment