04/04/2018

Aalam -E- Barzakh :- Part-4

بسم الله الرحمن الرحيم

_*وَ مِنۡ وَّرَآئِہِمۡ بَرۡزَخٌ   اِلٰی  یَوۡمِ  یُبۡعَثُوۡنَ*_

_Unke Peechhe Aik Aad hai unke Dobara Uthaye Jane tak_

_*[ Sureh Mominoon : Aayat No.100 ]*_

_Imam Bukhari R.A. ne Doosri Aik Aayat se bhi Azab E Qabr ko Sabit kiya hai_

_Kash Aap dekhte ki jab Zalim Log Maut ki Sakhtiyo mai hote hai us Waqt Farishte apna Hath Badha rahe hote hai ( Rooh Nikalne ke liye ) Aur kehte hai apni Jaan nikalo Aur Rooh Jism mai Idhar - Udhar bhagti hai, Farishte kehte hai Bhag, kaha Bhagegi chal bahar nikal E Badbakht Rooh, Aaj tujhe Ruswai ka Azab Chakhaya jayega_

_*[ Al Quran Para - 7 ]*_

_Yaha *Al Yaum* ka Lafz Istemal kiya hai,,,Matlab Aaj tumhe Badla diya jayega Zillat ke Azab ka_

_Imam Bukhari is Aayat ki Tafseer mai kehte hai ki, *Hoon* ke Mani hai Ruswai Aur Zillat ka Azab_

_Imam Bukhari R.A. ne is Aayat se Azab E Qabr ka Istisad kiya hai_

_*To Be Continue In Shaa Allah*_

No comments :

Post a Comment