_*وَ مِنۡ وَّرَآئِہِمۡ بَرۡزَخٌ اِلٰی یَوۡمِ یُبۡعَثُوۡنَ*_
_Unke Peechhe Aik Aad hai unke Dobara Uthaye Jane tak_
_*[ Sureh Mominoon : Aayat No.100 ]*_
_*Ab hum ye batayenge ki koi Cheez agar dikhai nahi de to kya wo Maujood he nahi is Bat mai kitni Haqeeqat hai ???*_
_*✅ Jawab*:- Iska ye hai ki agar koi Cheez dikhai he nahi de to ye us Cheez ka Dikhai nahi dena ye *Uske Adm E Wajood ki Dalil nahi* ke dikhai nahi de rahi *To wo Cheez Maujood he nahi* Aisa nahi hai_
_*➡ Hum isko 2 Example se Sabit karenge In Shaa Allah*_
_*1⃣ ROOH*:- Har Insan Aur har Janwar mai ye Rooh hoti hai aur Aati jati rehti hai, par Aaj tak kisi ne isko nahi dekha aur na koi Machine Aisi Tayyar ki Gayi Duniya mai ab tak ki is *Rooh* ko dekha ja sake, Scientist ne bahut koshish ki Isko dekhne ki par Aaj tak wo *Fail* he hue_
_Ab ye Rooh na Dikhai de iska matlab ye nahi ki wo Hazir ya Maujood nahi_
_Wo Hazir aur Maujood hai par Aankho se Ojhal hai ki Dikhai nahi deti_
_*2⃣ Aql*:- Agar Aap kisi Insan ko dekho ki wo Pagalo ki Tarha Harkate Kar raha hai Aur uska Dimagh Sahih se Kam nahi kar raha to Log kehte hai ki Iske Pas *Aql* nahi hai, Aur Agar kisi ko dekho ki wo Sahih Aalim hai aur Duniya Aur Aakhirat ke Muamle mai Aage badh raha hai to Log kehte hai ki bahut Aql Mund hai_
_Par Aaj Tak is Aql ko bhi kisi ne nahi Dekha aur na koi Machine Aise Tayyar hui Jis se isko dekha jaye_
_☑ To in 2 Dalilo se ye Sabit hua ki kisi Cheez ka na dekha jana is Bat ki Dalil nahi ki wo Maujood nahi_
_➡ Isi tarha *Aalam E Barzakh* bhi Maujood hai par hamari Aankho se Ojhal hai aur dikhai nahi deta_
_*To Be Continue In Shaa Allah*_
No comments :
Post a Comment