Ramadhan ul Mubarak Ke Kuch Ahkaam o Masaail (Part-6)
Rozedaaron ki qismein aur unke ahkaam
(A) Bemaar:
Bemaar do (2) tarah ke hote hain:
Ek woh bemaar jo Roze ki wajah se mashaqqat ya jismani zarar (takleef) mehsoos karen ya shadeed bemaari ki wajah se din mein dawa khaane par majboor hon to apna Roza chor sakte hain. Zarar (takleef) or nuqsaan ki wajah se jitna Roza chorenge utne ki baad mein qaza karni hai.
Allah Taala ka farmaan hai:
فَمَنْ كَانَ مِنْكُمْ مَرِيضًا أَوْ عَلَىٰ سَفَرٍ فَعِدَّةٌ مِنْ أَيَّامٍ أُخَرَ
Tarjumah: Aur jo koi mareez ho ya phir musafir ho to doosre dinon mein ginti poori kare.
(Surah Al-Baqarah, Surah No: 2 Ayat No: 184)
Doosre wo bemaar jin ki shifayaabi ki umeed na ho aur aise hi boodhe (aged) mard o aurat jo Roza rakhne ki taaqat na rakhte hon un dono ko Roza chorna jaaiz hai aur har Roze ke badle daily ek miskeen ko nisf saa’ (taqreeban one and half kg) ghehon, chawal ya khaayi jaane waali doosri cheezein de den. Allah Taala ka farmaan hai:
وَعَلَى الَّذِينَ يُطِيقُونَهُ فِدْيَةٌ طَعَامُ مِسْكِينٍ
Tarjumah: Aur is ki taaqat rakhne waale Fidya mein ek miskeen ko khaana den.
(Surah Al-Baqarah, Surah No: 2 Ayat No: 184)
! Yahan yeh dhiyaan rahe ke mamooli pareshani jaise zukam, sar dard waghera (etc) ki wajah se Roza todna jaaiz nahi hai.
(B) Musafir:
Ramadhan mein musafir ke liye Roza chorna jaaiz hai jaisa ki Allah Taala ka farmaan hai:
فَمَنْ كَانَ مِنْكُمْ مَرِيضًا أَوْ عَلَىٰ سَفَرٍ فَعِدَّةٌ مِنْ أَيَّامٍ أُخَرَ
Tarjumah: Aur jo koi mareez ho ya phir musafir ho to doosre dinon mein ginti poori kare.
(Surah Al-Baqarah Surah No: 2, Ayat No: 184)
Agar safar mein Roza rakhne mein mashaqqat na ho to musafir haalat e safar mein bhi Roza rakh sakta hai. Is ke bohat saare dalail hain. Jaise:
Ek Sahabi ne Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se safar mein Roze ke baare mein poocha to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:
إِنْ شِئْتَ صُمْتَ وَإِنْ شِئْتَ أَفْطَرْتَ
Tarjumah: Agar tum chaho to Roza rakh lo aur agar chaho to Roza chor do.
(Nasai: 2294)
Musafir chore huwe Roze ki qaza baad mein karega.
(C) Aurat Ka Roza:
Haiz wali aur bachcha janam dene waali aurat ke liye khoon aane tak Roza chorne ka hukm hai.
Aur jaise hi khoon band ho jaaye Roza rakhna shuru kar de. Kabhi kabhi nufasa (wo aurtein jin ko bachche ki wiladat ke baad khoon aata hai) chalees (40) din se pehle hi paak ho jaati hain to paak hone par Roza hai. Aurat ke liye khoon rookne waali dawa istemaal karne se behtar hai usi haalat mein rahe (means khoon rokne waali medicines na le). Haiz aur nifas (wo khoon jo bachche ki paidaish ke baad aata hai usko nifaas kehte hain) ke alawah khoon aaye to us se Roza nahi todna hai balki Roza jaari rakhna hai.
Doodh pilaane waali aurat aur haamla aurat (pregnant women) ko jab apne liye ya bachche ke liye Roze ki wajah se khatra ho to Roza chor sakti hai. Lekin nuqsan na ho to Roza chorna jaaiz nahi hai. Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ke is farmaan ka yahi matlab hai:
إِنَّ اللَّهَ عَزَّ وَجَلَّ وَضَعَ لِلْمُسَافِرِ الصَّوْمَ وَشَطْرَ الصَّلَاةِ وَعَنْ الْحُبْلَى وَالْمُرْضِعِ
Tarjumah: Allah Taala ne musafir ke liye aadhi namaz maaf farma di aur musafir, haamla aur doodh pilaane waali ke Roze maaf farma diye.
(Nasai: 2315)
Bemaar aur boodhi (aged) aurat ke ehkaam pehle number yaani (A) mein shaamil hain.
Jab uzr ki wajah se aurat Roza chor de to baad mein us ki qaza kare. Haamla (pregnent) aur dhoodh pilane waali aurat ke talluq se fidya ka zikr milta hai jo ke sahih nahi hai.
(D) Bachchon ka Roza:
Bachchon par Roza farz nahi hai jab tak baaligh na ho jaayen kiunki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka farmaan hai:
رُفِعَ الْقَلَمُ عَنْ ثَلاَثَةٍ عَنِ الْمَجْنُونِ الْمَغْلُوبِ عَلَى عَقْلِهِ حَتَّى يُفِيقَ وَعَنِ النَّائِمِ حَتَّى يَسْتَيْقِظَ وَعَنِ الصَّبِيِّ حَتَّى يَحْتَلِمَ
Tarjumah: Teen (3) qism (ke logon) se qalam utha liya gaya hai, Majnoon se jiski aqal jaati rahe yahan tak ki sehatyaab (theek) ho jaaye, sooye huwe shakhs se yahan tak ki wo bedaar ho jaaye, bachche se yahan tak ki wo baligh ho jaaye.
(Abu Dawood: 4401)
Lekin tarbiyat ke taur par bachchon se bhi Roza rakhwaya jaaye jab wo Roza rakhne ki taaqat rakhte hon. Baaz ulama ne Roze ke liye bachchon ki munasib umar (age) dus (10) saal batlaayi hai kiunki Hadees mein dus (10) saal par namaz chorne par maarne ka hukm hai. Khair daswaan saal ho ya us se pehle ka agar bachche Roza rakh satke hon to sarparast ki zimmedaari hai ke un se Roza rakhwaayen. Is ki misaal quroon e mufazzalah mein milti hai:
عَنِ الرُّبَيِّعِ بِنْتِ مُعَوِّذٍ، قَالَتْ أَرْسَلَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم غَدَاةَ عَاشُورَاءَ إِلَى قُرَى الأَنْصَارِ " مَنْ أَصْبَحَ مُفْطِرًا فَلْيُتِمَّ بَقِيَّةَ يَوْمِهِ، وَمَنْ أَصْبَحَ صَائِمًا فَلْيَصُمْ ". قَالَتْ فَكُنَّا نَصُومُهُ بَعْدُ، وَنُصَوِّمُ صِبْيَانَنَا، وَنَجْعَلُ لَهُمُ اللُّعْبَةَ مِنَ الْعِهْنِ، فَإِذَا بَكَى أَحَدُهُمْ عَلَى الطَّعَامِ أَعْطَيْنَاهُ ذَاكَ، حَتَّى يَكُونَ عِنْدَ الإِفْطَارِ
Tarjumah: Rubai' bint e Mu’awwiz Radhiallahu Anha kehti hain ki Aashorh (10th of Muharram) ki subah Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne Ansaar ke villages mein kehla bheja ke subah jis ne kha pi liya ho woh din ka baqi hissa (Rozedaar ki tarah) poore kare aur jis ne kuch khaya piya na ho woh Roze se rahe. Rubai’ kehti hain ke phir baad mein bhi (Ramadhan ke Roze ke farz hone ke baad) hum us din Roza rakhte aur apne bachchon se bhi rakhwaate they. Unhein hum oon (wool) ka ek khilona de kar behlaye rakhte. Jab koi khaane ke liye rota to wahi de dete, yahan tak ke iftaar ka waqt aa jata.
(Sahih Bukhari: 1960 and Sahih Muslim: 1136)
¤ Ta’leeqaat e Bukhari mein “Baab saum us sibyaan (bachchon ke Roza rakhne ke baare mein baab)” ke tehat yeh riwayat zikr ki gayi hai ke Umar Radhiallahu Anhu ne Ramadhan ul Mubarak mein nasha karne waale shakhs ko maarte huwe farmaya: Tu tabaah ho jaaye, hamare to bachche bhi Roze se hain.
(E) Bina uzr ke jaan boojh kar Roza chorne waala:
Ramadhan mein baghair uzr ke jaan boojh kar Roza chorne waala gunaah e kabeera (bade gunaahon) ka murtakib hai (means bagair uzr ke jaan boojh kar Ramadhan mein Roza chorna yeh kabeera gunaah hai). Use sab se pehle apne gunah se sachchi tauba karni chahiye aur jo Roza chora hai us ki baad mein qaza bhi kare. Aur agar koi Roze ki halat mein jimaa’ (sexual intercourse) kar leta hai use qaza ke saath kaffara bhi ada karna hoga. Kaffara mein londi azad karna ya musalsal do maheene ka Roza rakhna ya saath (60) miskeeno ko khaana khilana hai.
Yaad rahe bina uzr Roza todne ka bhayanak anjaam hai. Mustadrak waghera ki riwayat hai:
عَنْ أَبُو أُمَامَةَ الْبَاهِلِيُّ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ ، قَالَ : سَمِعْتُ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَقُولُ : بَيْنَا أَنَا نَائِمٌ إِذْ أَتَانِي رَجُلانِ فَأَخَذَا بِضَبْعَيَّ فَأَتَيَا بِي جَبَلا وَعْرًا فَقَالا لِي : اصْعَدْ , فَقُلْتُ : " إِنِّي لا أُطِيقُهُ " ، فَقَالا : إِنَّا سَنُسَهِّلُهُ لَكَ فَصَعِدْتُ حَتَّى إِذَا كُنْتُ فِي سَوَاءِ الْجَبَلِ إِذَا أَنَا بِأَصْوَاتٍ شَدِيدَةٍ , فَقُلْتُ : " مَا هَذِهِ الأَصْوَاتُ ؟ " , قَالُوا : هَذَا عَوَى أَهْلِ النَّارِ ، ثُمَّ انْطَلَقَ بِي فَإِذَا أَنَا بِقَوْمٍ مُعَلَّقِينَ بِعَرَاقِيبِهِمْ مُشَقَّقَةُ أَشْدَاقُهُمْ تَسِيلُ أَشْدَاقُهُمْ دَمًا ، قَالَ : قُلْتُ : " مَنْ هَؤُلاءِ ؟ " قَالَ : هَؤُلاءِ الَّذِينَ يُفْطِرُونَ قَبْلَ تَحِلَّةِ صَوْمِهِمْ
Tarjumah: Abu Umama al Bahili Radhiallahu Anhu kehte hain ke main ne Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam se suna Aap farma rahe the: Ek martaba mein so raha tha mere paas do aadmi aaye unhon ne mujhe baazu se pakda aur woh dono mujhe ek mushkil pahad ke paas le aaye to unhon ne kaha ke is par chadho main ne kaha main is par chadhne ki taqat nahi rakhta, unhon ne kaha hum is ko Aap ke liye aasaan kar dete hain to main us par chadh gaya yahan tak ke jab pahad ke darmiyaan mein tha to main ne khaufnaak aawazein sunien to main ne kaha yeh aawazein kya hain? To unhon ne kaha ke yeh aag waalon ki cheekh o pukaar aur wawelah hai, phir mujhe ek jagah le jaaya gaya to maine wahan kuch logon ko dekha jo ulte latkaaye gaye the un ki baanchen (muh ke dono atraaf) phaadi hue thein aur un se khoon beh raha tha main ne kaha yeh kon hain to kaha yeh woh log hain jo Roza iftaar ke waqt se pehle hi khol dete the.
Sahih ut Targheeb (Albani): 1005
Hamari naseehaat ke liye ek Hadees hi kaafi hai.
! Rozedaar ko chahiye ke Ramadhan mein bhalaayi ka kaam kare or munkar kaam se bache. Jo aadmi Roze se ho or jhoot bole, bura kaam kare or buri harkaton se na ruke aise Rozedaaron ke Roze ki koi haisiyat nahi hai. Allah aise logon ko pasand nahi farmata hai:
عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ قَالَ : قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ :مَنْ لَمْ يَدَعْ قَوْلَ الزُّورِ وَالْعَمَلَ بِهِ وَالْجَهْل فَلَيْسَ لِلَّهِ حَاجَةٌ فِي أَنْ يَدَعَ طَعَامَهُ وَشَرَابَهُ
Tarjumah: Abu Hurairah Radhiallahu Anhu ne bayan kiya ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: Jo koi (Roze ki halat mein) jhoot bolna, fareb karna or jihalat ki baaton ko na chore Allah Taala ko uske bhooka or piyaasa rahne ki koi zaroorat nahi.
(Sahih Bukhari: 6057)
Ramadhan ul Mubarak Ke Kuch Ahkaam o Masaail (Part-7)
Taraweeh
Ramadhan mein qiyam karne ko qiyam e Ramadhan kaha jaata hai. Yeh wahi namaz hai jo deegar maheeno mein qiyam ul lail aur Tahajjud ke naam se jaani jaati hai. Ramadhan mein aam taur se yeh Taraweeh ke naam se mash-hoor hai. Yeh nafl namaz hai is ka bahut ziyadah sawab hai. Hadees mein hai:
عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم قَالَ: مَنْ قَامَ رَمَضَانَ إِيمَانًا وَاحْتِسَابًا غُفِرَ لَهُ مَا تَقَدَّمَ مِنْ ذَنْبِهِ
Tarjumah: Hazrat Abu Hurairah Radhiallahu Anhu se riwayat hai ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: Jis ne Ramadhan ki raaton mein qiyaam kiya, imaan aur sawab ki niyat ke saath, us ke pichle tamam gunah mu’aaf ho jaayenge.
(Sahih Muslim: 759)
¤ Taraweeh ki masnoon rakat aath (8) hain, is ki sab se badi daleel Hazrat Aisha Radhiallahu Anha ki Hadees hai jo Bukhari Shareef mein hai:
عَنْ أَبِي سَلَمَةَ بْنِ عَبْدِ الرَّحْمَنِ، أَنَّهُ سَأَلَ عَائِشَةَ ـ رضى الله عنها ـ كَيْفَ كَانَتْ صَلاَةُ رَسُولِ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم فِي رَمَضَانَ فَقَالَتْ مَا كَانَ يَزِيدُ فِي رَمَضَانَ، وَلاَ فِي غَيْرِهَا عَلَى إِحْدَى عَشْرَةَ رَكْعَةً، يُصَلِّي أَرْبَعًا فَلاَ تَسَلْ عَنْ حُسْنِهِنَّ وَطُولِهِنَّ، ثُمَّ يُصَلِّي أَرْبَعًا فَلاَ تَسَلْ عَنْ حُسْنِهِنَّ وَطُولِهِنَّ، ثُمَّ يُصَلِّي ثَلاَثًا
Tarjumah: Abu Salamah bin Abdurrehman ne Hazrat Aisha Radhiallahu Anha se poocha ki Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam ki raat ki namaz Ramadhan mein kaisi thi. Unhon ne jawab diya ke Ramadhan mein aur us ke alawah dono mein giyarah (11) rakaton se ziyadah na padhte the. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam pehli Chaar (4) rakatein padhte, tum un ke husn o khoobi or tool (lambaayi) ka haal na poocho. Phir chaar (4) rakatein padhte un ke bhi husn o khoobi aur tool (lambaayi) ka haal na poocho. Phir teen (3) rakatein (witr) padhte the.
(Sahih Bukhari: 2013)
‼Is Hadees par kuch aitraazat ka jawab‼
Aitraaz: Yeh Tahajjud ki namaz hai Taraweeh ki nahi.
Jawaab: Tahajjud aur Taraweeh ek hi namaz ke do alag alag naam hain.
Aitraaz: Taraweeh aur Tahajjud do alag alag namazein hain.
Jawaab: Yeh dono ek hi namazein hain jo ke Hadees mein hi mazkoor hai ke Ramadhan ya ghair e Ramadhan mein Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ka qiyam aath (8) rakat ka huwa karta tha. Agar yeh Tahajjud ki namaz maan li jaaye to phir yeh maanna padega ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne dobara taraweeh alag se padhi jis ki koi daleel nahi. Aur Sahaba e Kiraam Radhiallahu Anhum jab chauthe roz (4th day) ba-jama’at Taraweeh ke liye jama huwe aur Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam nahi nikle to Sahaba dobara doosre qiyam ke waqt phir aate magar unhon ne aisa nahi kiya?
! Mash-hoor Hanfi Alim Moulana Anwar Shah Kashmiri ne bhi Tahajjud aur Taraweeh ko ek hi namaz tasleem kiya hai.
(Dekhen, Al-Arf uz Shazzi: 309)
Aitraaz: Agar yeh Taraweeh ki namaz hai to do do kiun padhte hain, is Hadees mein to char char ka zikr hai?
Jawaab: Is Hadees mein chaar chaar rakat ki sifat bataayi gai hai na ke chaar rakat par salam pherne ka. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam do do kar ke hi qiyam karte the jis ke bahut se dalail hain.
Pehli Daleel:
عَنْ عَائِشَةَ، زَوْجِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم قَالَتْ كَانَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم يُصَلِّي فِيمَا بَيْنَ أَنْ يَفْرُغَ مِنْ صَلاَةِ الْعِشَاءِ - وَهِيَ الَّتِي يَدْعُو النَّاسُ الْعَتَمَةَ - إِلَى الْفَجْرِ إِحْدَى عَشْرَةَ رَكْعَةً يُسَلِّمُ بَيْنَ كُلِّ رَكْعَتَيْنِ وَيُوتِرُ بِوَاحِدَةٍ
Tarjumah: Hazrat Aisha Radhiallahu Anha se riwayat hai wo kehti hain ki Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam Isha ki namaz se (jise log atamah kehte hain) farigh hone ke baad se subah tak giyarah (11) rak’aat padhte the, Aap har do rakat par salam pherte the aur witr ek padhte the.
(Sahih Muslim: 736)
Doosri Daleel:
صَلاَةُ اللَّيْلِ مَثْنَى مَثْنَى، فَإِذَا خَشِيَ أَحَدُكُمُ الصُّبْحَ صَلَّى رَكْعَةً وَاحِدَةً، تُوتِرُ لَهُ مَا قَدْ صَلَّى
Tarjumah: Raat ki namaz do do rakat hai, fir jab koi subah ho jaane se dare to ek rakat padh le, wo uski saari namaz ko taaq bana degi.
(Sahih Bukhari: 990 and Sahih Muslim: 749)
¤ Taraweeh ki namaz akele aur ba-jama’at dono padhna sahih hai.
¤ Mard imam ke peeche sirf aurton ka Taraweeh padhna bhi jaaiz hai.
¤ Taraweeh masjid aur ghar dono jagah padhi jaa sakti hai.
¤ Taraweeh mein zaroorat ke waqt Quran uthana aur dekh kar padhna dono jaaiz hai.
¤ Taraweeh mein quran complete karna zaroori nahi hai albatta complete kare to behtar hai Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ramadhan mein mukammal quran ka daur karte the.
¤ Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki taraf mansoob bees (20) rakat Taraweeh waali koi riwayat sahih nahi hai.
‼Do ghalatfehmiyon ka izaala‼
Pehli ghalatfehmi: Logon ke darmiyan yeh ghalatfehmi pheli hai ke Hazrat Umar Radhiallahu Anhu ne logon ko bees (20) rakat Taraweeh par jama kiya jabki Hazrat Umar Radhiallahu Anhu se mutalliq bees rakat wali hadees zaeef hai aur sahih hadees ke mukhalif hai. Durust baat yahi hai ke Hazrat Umar Radhiallahu Anhu ne Ubai bin Ka’ab aur Tamim Daari ko giyarah (11) rak’aat padhaane ka hukm diya tha jo sahih sanad se saabit hai:
عَنِ السَّائِبِ بْنِ يَزِيدَ، أَنَّهُ قَالَ أَمَرَ عُمَرُ بْنُ الْخَطَّابِ أُبَىَّ بْنَ كَعْبٍ وَتَمِيمًا الدَّارِيَّ أَنْ يَقُومَا، لِلنَّاسِ بِإِحْدَى عَشْرَةَ رَكْعَةً
Tarjumah: Sa’ib bin Yazeed se riwayat hai wo kehte hain ki Hazrat Umar bin Khattaab Radhiallahu Anhu ne Ubai bin Ka’ab aur Tamim Ad-Daari ko hukm diya tha ke wo logon ko giyarah (11) rak’aat padhaya karen.
(Tohfat ul Ahwazi: 3/234 and Mu’atta Imam Malik: Book 6, Hadith 4)
! Sheikh Albani Rahimahullah ne “Mishkaat”, “Irwa ul Ghaleel”, “Tamam ul Minnah” aur “Salat ut Taraweeh” mein, Sheikh Ibn e Uthaimeen Rahimahullah ne “Buloogh ul Maraam” aur “Riyadh us Saliheen” ki sharah mein, Allamah Mubarakpoori Rahimahullah ne “Tohfat ul Ahwazi” mein is Hadees ki sanad ko Sahih bataya hai.
Goya Hazrat Umar Radhiallahu Anhu se bhi giyarah (11) rak’aat par hi logon ko jama karna saabit hota hai aur yahi baat Bukhari Shareef mein mazkoor Aisha Radhiallahu Anha ke bayan ke muwafiq hai.
Doosri ghalatfehmi: Agar sunnat Taraweeh aath (8) rak’aat hai to Haram Shareef mein bees (20) rak’aat Taraweeh kiun padhaayi jaati hai?
Asal mein Haram aalami (international) jagah hai, yahan kisi zamaane mein chaar (4) musalle huwa karte the, “Aal e Sa’ood” ne Alhamdulillah ek musalle qaaim kar ke fitnah khatm kiya. Taraweeh bhi logon ke liye ikhtilaaf ka sabab thi is liye maslehat ko dekhte huwe bees (20) rak’aat rakhi gayien. Is ke liye do imam ka intikhab kiya gaya ek imam dus (10) padha kar chale jaate hain aur alag se akele ek rakat witr padhte hain jis se giyarah (11) rak’aat ki sunnat poori ho jaati hai. Yahi haal doosre imam ka bhi hai (means wo bhi isi tarah karte hain). Is tarah se na sirf fitnah khatm ho gaya balki imam ko giyarah (11) giyarah (11) rak’aat padhne aur door daraaz se late aane waalon ko jis qadar mayassar ho padhne ka mauqa mil gaya. Haram ke alawah Saudi Arab ki aksar Masjidon mein sirf aath (8) rakat Taraweeh hoti hai kiunki Arab ke ulama ka yahi mauqif aur fatwa hai. Chunancha “Saudi Lajna Daima” ka fatwa hai:
والأفضل ما کان النبیﷺ یفعله غالبًا وھو أن یقوم بثمان رکعات یسلم من کل رکعتین، ویوتر بثلاث مع الخشوع والطمأنینة وترتیل القراء ة، لما ثبت فی الصحیحین من عائشة رضی اﷲ عنھا قالت: کان رسول اﷲ ﷺ لا یزید فی رمضان ولا فی غیرہ علی إحدٰی عشرة رکعة
Tarjumah: Aur afzal woh hai jo Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam aksar o beshtar karte the, aur woh yeh ke insaan aath (8) rakat padhe, aur har do rakat ke baad salam phere, phir teen (3) witr ada kare aur poori namaz mein Khashoo’, itminan aur tarteel e quran malhooz rakhe. Bukhari o Muslim mein Hazrat Aisha Radhiallahu Anha se marwi hai ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ramadhan aur deegar maheeno mein giyarah (11) rak’aat se ziyadah nahi padhte the.
(Fatawa Al-Lajnah Ad-Daymah: 7/212)
Yahi fatwa Sheikh Ibn e Baaz, Sheikh Ibn e Uthaimeen aur Arab ke deegar muftiyon ka hai.
Allah Taala se dua hai ke hamein sunnat ko samajhne aur us ke mutabiq amal karne ki taufeeq ata farmaaye. Aameen.
No comments :
Post a Comment