Ramadhan ul Mubarak Ke Kuch Ahkaam o Masaail (Part-1)
Rooiyyat e Hilal (Chand Ka Dekhna):
Islami ibadaat ka Rooiyyt e Hilal se gehra talluq hai khusoosan Roze ka. Roza rakhna, iftaar karna aur Eid manana sab qamri chaand par munhasir hain.
Allah Taala ka farmaan hai:
يَسْأَلُونَكَ عَنِ الْأَهِلَّةِ ۖ قُلْ هِيَ مَوَاقِيتُ لِلنَّاسِ وَالْحَجِّ
Tarjumah: Log Aap se Chaand ke baare mein poochte hain, Aap keh dijye ke yeh logon (ki ibadat) ke waqton aur hajj ke mausam ke liye hai…
(Surah Al-Baqarah, Surah No:2 Ayat No: 189)
Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka irshad hai:
فَصُومُوا لِرُؤْيَتِهِ، وَأَفْطِرُوا لِرُؤْيَتِهِ، فَإِنْ أُغْمِيَ عَلَيْكُمْ فَاقْدِرُوا لَهُ ثَلَاثِينَ
Tarjumah: Chaand dekh kar Roza rakho or chaand dekh kar roza khatm karo. Agar badli chaa jaaye to (Sha’baan ke) Tees (30) din poore karo.
(Sahih Muslim: 1080)
Is liye musalmanon ko har maheene chaand dekhne ka ehtimaam karna chahiye khusoosan ahem maheene Ramadhan, Shawwaal, Zil Hijjah waghera.
¤ Chaand dekhne ki dua:
اللَّهُمَّ أَهْلِلْهُ عَلَيْنَا بِالْيُمْنِ وَالْإِيمَانِ وَالسَّلَامَةِ وَالْإِسْلَامِ رَبِّي وَرَبُّكَ اللَّهُ
{(Sunan Tirmidhi: 3451) Allama Albani Rahimahullah ne Silsila As-Saheehah: 1816 mein isko sahih kaha hai}
¤ 29 ka chaand nazar na aaye to Sha’baan ke 30 din poore kiye jaane ke baad Roza rakha jaayega. Upar wali Hadees is ki daleel hai.
¤ Har shakhs ka chaand dekhna zaroori nahi hai, kisi ilaaqe mein ek aadil musalman ka chaand dekhna kaafi hai. Daleel:
عَنِ ابْنِ عُمَرَ، قَالَ: تَرَاءَى النَّاسُ الْهِلَالَ، فَأَخْبَرْتُ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ أَنِّي رَأَيْتُهُ، فَصَامَهُ، وَأَمَرَ النَّاسَ بِصِيَامِهِ
Tarjumah: Hazrat Ibn e Umar Radhiallahu Anhuma kehte hain ke logon ne chaand dekhne ki koshish ki (lekin unhein nazar na aaya) or main ne Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ko khabar di ke main ne chaand dekh liya hai, to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne khud bhi Roza rakha aur logon ko bhi roza rakhne ka hukm diya.
{(Sunan Abi Daud: 2342) Allama Albani Rahimahullah ne isko Sahih kaha hai}
¤ Ek shehar ki Rooiyyat (dekhna) qareebi un tamam shehar walon ke liye kaafi hogi jin ka matla’ ek ho. Matla’ ke ikhtelaaf se ek shehar ki rooiyyat doosre shehar ke liye nahi maani jaayegi. Daleel:
عَنْ كُرَيْبٍ، أَنَّ أُمَّ الْفَضْلِ بِنْتَ الْحَارِثِ، بَعَثَتْهُ إِلَى مُعَاوِيَةَ بِالشَّامِ قَالَ فَقَدِمْتُ الشَّامَ فَقَضَيْتُ حَاجَتَهَا وَاسْتُهِلَّ عَلَىَّ رَمَضَانُ وَأَنَا بِالشَّامِ فَرَأَيْتُ الْهِلاَلَ لَيْلَةَ الْجُمُعَةِ ثُمَّ قَدِمْتُ الْمَدِينَةَ فِي آخِرِ الشَّهْرِ فَسَأَلَنِي عَبْدُ اللَّهِ بْنُ عَبَّاسٍ - رضى الله عنهما - ثُمَّ ذَكَرَ الْهِلاَلَ فَقَالَ مَتَى رَأَيْتُمُ الْهِلاَلَ فَقُلْتُ رَأَيْنَاهُ لَيْلَةَ الْجُمُعَةِ . فَقَالَ أَنْتَ رَأَيْتَهُ فَقُلْتُ نَعَمْ وَرَآهُ النَّاسُ وَصَامُوا وَصَامَ مُعَاوِيَةُ . فَقَالَ لَكِنَّا رَأَيْنَاهُ لَيْلَةَ السَّبْتِ فَلاَ نَزَالُ نَصُومُ حَتَّى نُكْمِلَ ثَلاَثِينَ أَوْ نَرَاهُ . فَقُلْتُ أَوَلاَ تَكْتَفِي بِرُؤْيَةِ مُعَاوِيَةَ وَصِيَامِهِ فَقَالَ لاَ هَكَذَا أَمَرَنَا رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم
Tarjumah: Hazrat Kuraib se riwayat hai ke Hazrat Umm ul Fazl Bint e Haris Radhiallahu Anha ne mujhe Hazrat Mu’aawiyah Radhiallahu Anhu ki taraf mulk e Shaam bheja. Main Shaam mein pahuncha to main ne Hazrat Umm e Fazl Radhiallahu Anha ka kaam poora kiya. Aur wahein par Ramadhan ul Mubarak ka chaand zahir ho gaya. Aur main ne Shaam mein hi juma’ (fariday) ki raat chaand dekha phir main maheene ke aakhir mein Madinah aaya to Hazrat Ibn e Abbas Radhiallahu Anhuma ne chaand ka zikr kiya to mujhe poochne lage ke tum ne chaand kab dekha hai? To main ne kaha ke hum ne juma’ ki raat chaand dekha hai. Phir farmaya! Tum ne khud dekha hai? Main ne kaha haan! Aur logon ne bhi dekha hai aur unhon ne Roza rakha Hazrat Mu’aawiyah Radhiallahu Anhu ne bhi Roza rakha. Hazrat Ibn e Abbas Radhiallahu Anhuma ne kaha ki lekin hum ne to saturday ki raat chaand dekha hai, or saturday se Roza shuru kiya hai, ab chaand ho jaane tak hum to tees (30) Roze poore karenge ya yeh ki chaand nazar aa jaaye. Main ne kaha ki kya Hazrat Mu’aawiyah Radhiallahu Anhu ka chaand dekhna aur un ka roza rakhna kaafi nahi hai? Hazrat Ibn e Abbas Radhiallahu Anhuma ne kaha nahi! RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne hamein isi tarah karne ka hukm farmaya hai.
(Sahih Muslim: 1087)
Yeh hadees Muslim, Tirmizi (693), Nasai (2111), Abu Dawood (2332) waghera mein maujood hai, is Hadees par Muhaddiseen ke Abwab se baat aur bhi wazeh ho jaati hai.
Sahih Muslim ka baab:
باب بَيَانِ أَنَّ لِكُلِّ بَلَدٍ رُؤْيَتَهُمْ وَأَنَّهُمْ إِذَا رَأَوْا الْهِلَالَ بِبَلَدٍ لَا يَثْبُتُ حُكْمُهُ لِمَا بَعُدَ عَنْهُمْ
Imam Tirmizi Rahimahullah ka baab:
باب مَا جَاءَ لِكُلِّ أَهْلِ بَلَدٍ رُؤْيَتُهُمْ
Imam Nasai Rahimahullah ka baab:
باب اخْتِلاَفِ أَهْلِ الآفَاقِ فِي الرُّؤْيَةِ
Imam Abu Dawood Rahimahullah ka baab:
باب إِذَا رُؤِيَ الْهِلاَلُ فِي بَلَدٍ قَبْلَ الآخَرِينَ بِلَيْلَةٍ
¤ Print Media ya Electronic Media ke zariye chaand ki khabar paane par yeh tehqeeq karna zaroori hai ke khabar adil musalman ya qabil e aitmaad idaare ki taraf se hai ke nahi?
¤ Hindustan, Pakistan, Nepal aur Bangladesh waghera yani jis jis country mein Saudi Arab se matla’ ka farq padta hai wahan ke log Saudi ke hisaab se na Roza rakhenge or na hi Eid manayenge.
¤ Kuch ilaaqe aise hain jin mein 6 maheene din or 6 maheene raat hoti hai aise mulk mein rehne waale log qareebi mulk ke hisaab se Roza, iftaar or namaz ada karenge.
No comments :
Post a Comment