08/07/2018

Tahajjud k Pahley Padhne Wale Azkaar

Bismillahirrahmanirrahim

-----
Asim Bin Hamid kehte hain ke mein ne Umm Al-Momineen Ayesha Radi Allahu Anhu se poocha : Rasool Allah (ﷺ) raat ke qiyam ki shuruvaat kis se karte thy? to woh kehnay lagen, tune mujh se ek aisi cheez poochi hai jo tum se pehlay kisi ne nahi poochi, Rasool-Allah (ﷺ)
*(10) das baar « Allah Akbar»*,
*(10) das baar « Alhumdulillah»*,
*(10) das baar « Subhan Allah»* aur
*(10) das baar «La ilaha illallah»*  aur
*(10) das baar Astaghfirullah»* Kehte thy, 
*«Allahummaghfirli, wahdini, warzuqni wa 'afini. A'udhu billahi min diqil-maqami yawmal-qiyamah»*
Eh ALLAH! mujhe bakhash dy, mujhe raah dikha, mujhe rizaq ataa farma, aur meri hifazat farma, mein Allah ki panah chahta hu qayamat ke roz jagah ki tangi se kehte thy .
_______
Sahih Hadees
*Sunan an-Nasa'i Hadees # 1617*
----------
Abu Salamah ny Aisha Radi Allahu Anhu se poocha : Raat mein jab Nabi Akram (ﷺ) Tahhajud parhnay ke liye kharray hotay thy to apni namaz ke shuru mein kya parhte they? unhon ny kaha : jab raat ko kharray hotay, namaz shuru karte waqt yeh dua parhte :

"‏ *اللَّهُمَّ رَبَّ جِبْرِيلَ وَمِيكَائِيلَ وَإِسْرَافِيلَ فَاطِرَ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضِ وَعَالِمَ الْغَيْبِ وَالشَّهَادَةِ أَنْتَ تَحْكُمُ بَيْنَ عِبَادِكَ فِيمَا كَانُوا فِيهِ يَخْتَلِفُونَ اهْدِنِي لِمَا اخْتُلِفَ فِيهِ مِنَ الْحَقِّ بِإِذْنِكَ إِنَّكَ تَهْدِي مَنْ تَشَاءُ إِلَى صِرَاطٍ مُسْتَقِيمٍ* ‏"‏

*«اللهم رب جبريل وميكائيل وإسرافيل فاطر السموات والأرض عالم الغيب والشهادة أنت تحكم بين عبادك فيما كانوا فيه يختلفون اهدني لما اختلف فيه من الحق بإذنك إنك تهدي من تشاء إلى صراط مستقيم»*

(Allahumma Rabba Jibarel, wa Mikael wa Israfil Fatira Al-samawati Wal-Ardh Aalimu Algayabi Wash Shahadati,  anta Tahakumu Baina Ibadika fima Kanufihi yakhtalifuna, Ahdini limakhtulifa fihi minal haqqi biiznika, innaka tahadi man tasha'u ila siratin Mustaqim.)
Eh Allah ! Jibrael, Mikael aur Israfil ke Rabb,  Aasmano aur Zameen k Paida Karnewale, Chupey aur Khulay ke janne wale Apne Bando k Darmiyan unke Ikhtilafat ka Faisla Karene wala hai Eh Allah! Jis cheez mein bhi Ikhtilaaf huwa hai ismein haq ko panane, haq ko qabool karne apne azan o hukum se mujhe hidayat famra (taufeeq de) kyuki tu hi jise Chahta hai Sidhe raah par chalata hai.
---------------
Sahih Hadees
*Jam e Tirmazi Hadees # 3420*
--------------------
"‏ *اللَّهُمَّ لَكَ الْحَمْدُ أَنْتَ رَبُّ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضِ، لَكَ الْحَمْدُ أَنْتَ قَيِّمُ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضِ وَمَنْ فِيهِنَّ، لَكَ الْحَمْدُ أَنْتَ نُورُ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضِ، قَوْلُكَ الْحَقُّ، وَوَعْدُكَ الْحَقُّ، وَلِقَاؤُكَ حَقٌّ، وَالْجَنَّةُ حَقٌّ، وَالنَّارُ حَقٌّ، وَالسَّاعَةُ حَقٌّ، اللَّهُمَّ لَكَ أَسْلَمْتُ، وَبِكَ آمَنْتُ، وَعَلَيْكَ تَوَكَّلْتُ، وَإِلَيْكَ أَنَبْتُ، وَبِكَ خَاصَمْتُ، وَإِلَيْكَ حَاكَمْتُ، فَاغْفِرْ لِي مَا قَدَّمْتُ وَمَا أَخَّرْتُ، وَأَسْرَرْتُ وَأَعْلَنْتُ، أَنْتَ إِلَهِي لاَ إِلَهَ لِي غَيْرُكَ* ‏"‏‏
-----------------
Ibn Abbas Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah (ﷺ)- raat ko ALLAH se ye dua kiya karte the Eh ALLAH tere hi liye taarif hai , tu aasman aur zameen ka RAB hai, aur tere hi liye hamd hai tu aasman aur zameen ka qayam karne wala hai aur un sabka jo kuch usmein hai. Tere hi liye hamd hai tu aasman aur zameen ka noor hai, tera qaul sachcha hai aur tera wada sachcha hai aur teri mulaqat sachchi hai aur jannat sach hai , dozakh sach hai aur Qayamat bhi sach hai , Eh ALLAH maine teri hi samne sir jhuka diya aur tujh par imaan laya. Maine teri hi upar bharosa kiya aur teri hi taraf ruju kiya, maine teri hi madad ke saath muqabla kiya aur main tujh hi se insaf ka talabgar hu , tu meri magfirat farma un tamam gunaho se jo main pahle kar chuka hu aur jo baad mein mujhse hone wale hain ,jo (gunah) maine chup kar kiye aur jo khule aam kiye ( wo maaf farma) Tu hi mera maabud hai tere siwa aur koi ibadat ke layaq nahi
----------------
Sahi Hadees
*Sahih Bukhari, Jild 8, 7385*

https://allah-ek.blogspot.com/?m=1

No comments :

Post a Comment