07/08/2018

*🌼NAMAZ E SAFAR (QASR) Part 1⃣*


*💠Safar mein Zohar, A’asr aur Isha ki 4‐4‐4 farz rakato’n ko 2‐2‐2 padhna Qasr (kam karna) kehlaata hai.*

*☘Fajar aur Maghrib mein Qasr nahi hai.*

Jo shaqs safar ke iraade se apne ghar se chale aur gaou’n ya saher ki abaadi se nikal jaae to wo azroo e shariat musaafir hai. Aur apni farz namaz mein Qasar kar sakta hai.

*☘Safar Ki Musaafat:*

💠 *Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam  jab 3 meel ya 3 farsang ki musaafat par nikalte to namaz 2 rakatei’n padhte. (Muslim: 691)*

Is hadees mein raavi  hadees ne poori emandaari se kaam lete hue 3 meel ya 3 farsang kaha hai. Ya’ani raavi ko shak hai ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam 3 meel ki masaafat ( distance) par Qasar karte the ya 3 farsang ( 9 meel) par. Pas musafir ko chaiey ke apne shaher ki hudood se nikalne ke baad agar manzil maqsood 9 meel ya is se ziyada musaafat par waqe ho to musaafir Qasar kar sakta hai.

Hazrat Anas Radi Allahu anhu se riwayat hai: Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne madeena mein zohar ki namaz 4 rakatei’n padhei’n aur zul haleefa mein Asr ki namaz 2 rakatei’n padhei’n.

*🍂(Sahi Bukahri: al Haj 1547 – Muslim: Salatul Musafireen 690)*

Zul Haleefa ek maqaam ka naam hai jo madeena munawwara se 6 meel ke faasle par hai. Nabi e Rahmat Sallallahu Alaihi Wasallam makka ke liey rawana hue to zul haleefa paho’nch kar namaz e Asr ka waqt ho gaya. Pas Aap ne waha’n Asr mein Qasar karli.

*☘Musafir Baghair Khauf Ke Qasar Kare*

Ya’ala bin Umaiyya Radi Allahu Anhu se riwayat hai ke main ne Umar se poocha ke Allah Ta’ala to fermata hai:
‘Aur Jab Tum Safar Mein Ho Aur Agar Tumhei’n Kuffar Se Khauf Ho To Namaz Qasar Karlo Tum Par Koi Gunah Nahi.’

*🍂(Surah Nisa: ayat-101)*

Aaj ham aman mein hain namaz Qasar kyou’n karei’n? Umar Radi Allahu Anhu ne farmaya: ke mujhe bhi yehi ta’ajjub hua jaise tumhei’n ta’ajub hua to main ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam  se poocha to Aap ne farmaya ke ‘(Aman ki haalat mein Qasar ki ijaazat dena) Allah ka ehsaan hai ise qubool karo.’

*🍂(Sahi Muslim: Salatul Musafireen 486)*

Hazrat Haaresa bin Wahab Radi Allahu Anhu kehte hain ke Nabi e Kareem ne hamei’n mina mien Qasar namaz padhai halaa’nke ham ta’adaad mein ziyada aur halat e aman mein the.

*🍂(Sahi Bukahri: al Haj 1656*
*🍂– Muslim: Salatul Musafireen 696)*

*☘Qasar Ki Had:*

Agar koi musaafir ilaaqe mein mutardid thehre ke aaj jaou’nga ya kal, to namaz Qasar karta rahe. Quwah kaee mahine lag jaaei’n. Anas Abdul Malik bin Marwaan Radi Allahu Anhu ke hamrah 2 maah (bahaisiyat mutardid musaafir) shaam (Syria) mein rahe aur namaz 2 rakatei’n padhte rahe.
(Baheqhee: V3 P152)

*💠Isme ulema ka ikhtelaf hai kuch ulema 19 or  21 din tak maximum qasr karne k qayal Hain kyn ki Allah k Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se isse zada ki daleel nahi milti or ye bhi tab Jab pehley se Tai nahi hai ki kitne din rukna hai.*

Aur agar 19 din tak taherne ka iraada ho to namaz mein Qasar kare aur agar 19 roz se ziyaada taherne ka iraada ho to phir namaz poori padhni chahiey.

*💠Hazrat Ibne Abbas Radi Allahu Anhu riwayat karte hain ke Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne 1 safar kiya. Phir Aap 19 din tehre rahe aur 2‐2 rakatei’n namaz padhte rahe.*

Ibne Abbas Radi Allahu Anhu ne farmaya: agar ham kisi manzil mein 19 din taherte hain to 2‐2 rakatei’n padhte hain aur jab is (19 din) se ziyada taherte hain to 4 rakat padhte hain.*

*🍂(Sahi Bukahri: Taqseer al Salah 1080)*

*To be Continued Insha Allah*

      ┅┅┅━━═۞═━━┅┅┅

https://allah-ek.blogspot.com/?m=1

*Jazaakumullahu khair'an Wa-Ahsanul Jazaa*. 🔻

No comments :

Post a Comment