Bismillahir rahman nirrahim
*🌼Safar Mein Azaan Aur Jamaat:*
Hazrat Maalik bin Haurees Radi Allahu Anhu kehte hain ke 2 aadmi Aap ki khidmat mein haazir hue jo safar par jaa rahe the to Aap ne farmaya ke: ‘Jab tum safar par jaao to namaz ka waqt ho jaae to azaan aur iqaamat kaho phir tum mein jo badaa ho wo imaamat karaae.’
*🍂(Sahi Bukhari: al Azan 630)*
*🌼Safar Mein 2 Namazei’n Jamaa Karna:*
Hazrat Ibne Abbas Radi Allahu Anhu se riwayat hai ke Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam dauraan e safar Zohar aur Asr ko ek‐kattha padhte aur maghrib aur isha ko jama karte the.
*🍂(Sahi Bukhari: Taqseer al Salah 1107)*
*🌼Jama Ki 2 Suratei’n: ( Combining 2 Salah)*
*🍃Jama Taqdeem: Yaani Zohar ke sath Asr aur Maghrib ke sath Isha ki namaz padhna.*
*🍃Jama Taqhair: Yaani Asr ke sath Zohar aur Isha ke sath Maghrib ki namaz padhna.*
Hazrat Maaz bin Jabal Radi Allahu Anhu se riwayat hai ke Ghazwa Tabuk ke mauqe par agar Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam suraj dhalne ke baad safar shuroo karte to Zohar aur Asr ko is waqt jama farmalete aur agar suraj dhalne se pehle safar shuroo karte to Zohar ko muaqqhar (used to offer Zohar late) karke Asr ke sath adaa farmate. Isi tarha agar suraj ghuroob hone ke baad safar shuroo karte to Maghrib aur Isha isi waqt padh lete aur agar Suraj ghuroob hone se pehle safar shuroo karte to muaqqhar karke Isha ke sath padhte.
*🍂(Abu Dawood: Salatul Safar 1220 – Tirmizee: al Juma 553).Ise Imam Ibne Hibban V4 P 413,414 ne Saheeh kaha.*
Hazrat Ibne Umar Radi Allahu Anhu riwayat karte hain ke ‘main ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ko dekha jab Aap ko safar mein jaldi hoti to Maghrib ki namaz mein taqhair karte yaha’n tak ke Isha ka waqt daqhil ho jaata phir Aap Maghrib aur Isha ko ek‐kattha padhte.’
*🍂(Sahi Bukhari: Taqseer al Salah 1091 – Muslim: Salatul Musafireen 703)*
*🌼Safar Mein Sunnato’n Ka Bayan:*
Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhu ne kaha: ‘Main Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ke hamrah safar mein raha. Magar Aap ne 2 rakato’n se ziyada namaz na padhi yaha’n tak ke Allah Ta’ala ne Aap ki ruh qabz farmaali.
Aur main Abu Bakr Radi Allahu Anhu, Umar Farooq Radi Allahu Anhu aur Uthman e Ghani Radi Allahu Anhu ke hamrah safar mein raha, in sab ne safar mein 2 rakato’n se ziyada namaz nahi padhi. Aur Allah ne irshad farmaya hai ke Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ki itteba hi tumhare liey behtar hai.’
*🍂(Sahi Bukahri: Taqseer al*
*Salah 1101,1102 –* *Muslim: Salatul Musafireen: 689)*
Ibne Umar Radi Allahu Anhu 2 rakatei’n (yaani namaz Qasar) padh kar apne bistar par chale jaate the. Hafs kehte hain main ne kaha Chacha Jaan! Agar is ke baad aap 2 rakatei’n (sunnat) padh liya karei’n to kya harj hai??
Farmaya: agar mujhe ye karna hota to (farz) namaz hi poori padh leta.
*🍂(Sahi Muslim: Salatul Musafireen 694)* .
*🌼Safar me sirf Fajr ki do sunnate aur witr padhni chaiye aur koi sunnate nahi:*
Ibn al-Qayyim farmate hai
“Ye Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ka amal tha ki ap safar me sirf fard namaze padhte the. Aur ye kahi bhi riwayat nahi kiya gaya hai ki RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam fard namaz ke pahle ya baad me sunnate padhte the siwae witr aur fajr ki do sunnato ke alawa, jo ki Ap Sallallahu Alaihi Wasallam ne kabhi nahi chhora chahe wo safar me hote ya nahi.”
*🍂(Zaad al-Ma’aad, 1/473 .)*
A’isha (Radi Allahu Anha) se rivayat hay ki Allah ke Rasool ﷺ ne Fajar ki Do Sunnat rak’ato ke bare me kaha: “Yeh muzhe sari Dunya se bhi zyada Pyari hay”.
*🍂[Sahih Muslim 725]*
┅┅┅━━═۞═━━┅┅┅
*Jazaakumullahu khair'an Wa-Ahsanul Jazaa*. 🔻
No comments :
Post a Comment