22/09/2018

Jab FITNO KA DOUR AAYEGA JHUTHi HADEESE BAYAN KI JAYENGI TAB KYA KARNA HAI

Bismillahirrahmanirrahim

*US WAQT BHEE AUR HAMESHA ALLAH KI KITAB AUR NABI SALLALLAHO* *ALYHEWASALLAM KE FARMAN KO MAJBOTI SE PAKDE RAHNA*

*(1) "Jisne Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki ita'at ki usne Allah ki ita'at ki''.*

📖Surah nisa- Aayet 80

*(2) "Aur Allah aur uske Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki farmabardari karo taki tum pe rahem kiya jaye''.*

📖Surah aale imran- Aayet 132

*(3) ''Aur tumhe jo kuch Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) den use le lo aur jisse manaa kar dem usse ruk jao.''*

📖Surah al hashr- Aayet 7

*(4) ''Keh dijiye agar tum Allah se muhabbat karte ho to meri itteba karo, khud Allah tumse muhabbat karega aur tumhare gunah bakhsh dega.''* 

📖Surah aale imran- Aayet 31

*(5) ''Aye iman walo tum Allah aur uske Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki pairwi karo*.''

📖Surah anfal- Aayet 24

*(6) ''Aur qasam hai tere Rabb ki ye iman waale nahi ho sakte jab tak ki tamam aapas ke ikhtelaf me aapko hakim na maan len, fir jo faisla aap inme kar den unse apne dil me kisi tarah ki tangi aur na-khushi na payen aur farmabardari ke saath qabool kar len''.*

📖Surah nisa- Aayet 65

*(7) ''Suno jo log Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki mukhalifat karte hain unhe darte rehna chahiye ki kahin un par koi jabardast aafat naa aa pade ya unhe dardnaak azab na pahuche.''* 

📖 Surah noor- Aayet 63

*(8) ''Aye iman walo allah ki ita'at karo aur uske Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) ka kaha mano aur apne aamal barbad mat karo."*

📖Surah muhammad- Aayet 33

*(9) ''Aur kisi momin mard aur aurat ko allah aur uske Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke faisle ke baad apni kisi baat ka koi ikhtiyar baqi nahi reh jataa, allah aur uske Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki jo bhi naa-farmani karega wo khuli gumrahi me padega*.'

📖 Surah ahzab  Aayet 36

*🌿Hazrat Abdullah bin masood Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya , "Insaan (Qayamat ke din) uskey Saath rahega jis sey wo Mohabbat karta hai".*

📚 Sahih Bukhari, Vol7 ,6168

*🌿Hazrat Anas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Ek dehaati Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ke pass aaya aur kaha ki Qayamat kab aayegi To Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya,"Afsos ! tumney us Qayamat ke liye kya tayyyari ki hai"?*
*Usney kaha Mainey uskey liye to koi Tayyari nahi ki hai lekin Main Allah aur*
*uskey Rasool se Mohabbat rakhta hun".*
*To Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya,"phir Tum Qayamat ke din unkey saath rahogey jin se Mohabbat kartey ho".*

📚Sahih Bukhari, Vol7 , 6167

*🌿Rasoolallah sallallaahu alaihi wasallam ki mohabbat Eimaan (ki bunyad) hai.*

📖Sahih Bukhari, Jild -2, Safa -111,Hadees -8

*👉🏻Hadith: Allah ki nafarmani mein kisi ki itaat nahi karni chahiye*

*🌿Hazrat Ali Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne ek lashkar rawana farmaya aur ek shaks ko uska sardar bana diya aur logo ko uski itaat karne ki takid ki....*
*Us Shaks ne aag jalayee aur logo ko kaha ki aag mein kud jao, kuch logo ne uski ye baat manne se inkar kar diya aur kaha ki hum to aag se bhagkar Islam mein aaye hain aur kuch logo ne ameer ki itaat samajhkar aage mein dakhil hona chaha,*
*ye khabar Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ke pass pahuchi to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya*
*agar wo log aag mein kud jate to hamesha usee mein rahte iske baad Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah ki nafarmani mein kisi ki itaat nahi karni chahiye , itaat to sirf us mein hai jo maruf ho (yani neik baat ho)*

📚Sunan Abu Dawud, Vol 2, 853-Sahih

https://allah-ek.blogspot.com/?m=1

No comments :

Post a Comment