27/09/2018

RasoolAllah ﷺ ka Namaz ka Mukammal Tareeqa

🍀 Namaz Shuru se Aakhir tak Daleel k saath 🍀
〰〰〰〰〰〰〰〰

Yeh ibaarat Shaykh Saalih ibn al-Fawzan Hafidhullah ki Kitab ‘Fiqhi Ahkkam wa Masail’ ki Urdu Tarjumey se li gai hai. Page No. 118-120.

Rasoolullah sallahu alayhi wasallam ne farmaaya;

“Tum Namaaz aise parho jaisey tum ne mujhe Namaaz parhtey dekha.” [Saheeh Bukhari, Kitab ul Azan, Hadees # 361]

۞ Rasoolullah sallahu alayhi wasallam jab Namaaz ke liye khadey hotey to Qibla ki taraf rukh karte aur apne haathon ko kandhon ya kaano ke baraabar uthaatey. Apni hatheliyo ko Qibla ki Jaanib karte aur ‘Allaah u Akbar’ kehte the. [Saheeh Muslim Kitab us Salaaat, Hadees No. 390-391]

۞ Phir Daayein Haath se baayein haath ko pakadtey. [Sunan Nasai, Hadees No. 888]

۞ Aur Dono Haatho ko seeney par baandh letey. [Sunan Abu Dawud, Kitab us Salaat, Hadees No. 759, Ibn Khuzaymah, Kitab us Salaat, Hadees No. 243]

۞ Uske baad aap ek yeh dua parhte they. ‘Subhaanaka Allaahumma wa bihamdika wa tabaarakaasmuka…………………….’ [Sunan Abu Dawud, Kitab us Salaat, Hadees No. 775-776]

۞ Phir Aap ‘Auzubillahi min ash shaitaan ir rajeem’ [Sunan Abu Dawud, Kitab us Salaat, Hadees No. 764]

۞ Aur Bismillaahi ir-Rahman ir-Raheem parhtey the. [Saheeh Muslim, Kitab us Salaat, Hadees No. 399]

۞ Phir Aap Surah Faatiha parhtey the. [Saheeh Muslim, Kitab us Salaat, Hadees No. 498]

۞ Jab Surah Faatiha Khatam kartey to ‘Aameen’ kehte. [Sunan Nasai, Hadees No. 880]

۞ Surah Faatiha ke baad Aap kabhi lambi kabhi chhoti to kabhi darmiyaani Soorah parhtey. [Sunan Nasai, Hadees No. 983]

۞ Fajr Ki Namaazon mein dusri Namaazo ki nisbat lambi qirat karte. [Saheeh Bukhaari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 771]

۞ Aap Fajr Ki Namaaz mein aur Maghrib Aur Ishaa Ki Namaaz ki pehli do raka’aton mein buland awaaz se qirat karte the. Baaqi mein Aahista [yani be-awaaz] qirat karte the.
[Fajr ki Daleel: Saheeh Bukhari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 773.
Maghrib ki Daleel: Saheeh Bukhaari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 763-764.
Ishaa ki Daleel: Saheeh Bukhaari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 766-767]

۞ Aapka ye ma’amool tha ke har Namaaz mein pehli Rakaat dusri rakat se lambi hoti. [Saheeh Bukhari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 758-759]

۞ Phir Aap usi tarha Rafayadein karte jis tarha Namaaz ke shuru karte waqt karte the aur ‘Allaah u Akbar’ kehte hue Haalaat e Rukoo mein chale jaatey. [Saheeh Bukhari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 736-737]

۞ Apne haathon ki ungliyaan khol kar ghutno ko ke upar yun rakhte jaisa ke unhein mazbooti se thaamey hue ho. [Saheeh Bukhari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 828]

۞ Apni Kamar ko hamwaar rakhtey aur sarr ko kamar ke baraabar iss tarha rakhtey ke won na unchaa hota aur na jhuka hua hota. [Saheeh Muslim, Kitab Us Salaat, Hadees No. 498]

۞ Aur Subhaana Rabbiyal Azeem kehte. [Sunan Abu Dawud, Kitab us Salaat, Hadees No. 871]

۞ Phir Sami allaahu liman hamidah kehte hue [Saheeh Bukhari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 795]

۞ Rukoo Se apna sarr uthaatey aur Rafayadein karte the. [Saheeh Bukhari, Kitab ul Azan, Hadees No. 736]

۞ Jab Aap seedhey khadey ho jaatey to’ Rabbanaa wa lakal-hamd’ kehte [Saheeh Bukhari, Kitab ul Azan, Hadees No. 796].

۞ Phir Allaah u Akbar kehte aur sajdey par chaley jaatey. [Saheeh Bukhari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 789]

۞ Iss maukey par Aap Rafayadein na karte the. [Saheeh Bukhari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 735]

۞ Aap peshaani, naak, dono haathon, dono ghutno aur duno qadmon ki ungliyo par sajdah karte the. [Saheeh Bukhari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 812]

۞ Apne Haathon aur Paaon ki ungliyo ko Qiblah ki jaanib rakhtey. [Saheeh Bukhari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 828]

۞ Haalaat e Sajdah mein Itidaal aur itminaan ka khaas khyaal rakhtey. Peshaani aur naak achi tarha zameen par tikaatey. [Sunan Abu Dawud, Kitab us Salaat, Hadees No. 858]

۞ Hatheliyon par bojh daaltey aur kehniyo ko zameen se uthaa kar rakhtey. [Saheeh Muslim, Kitab us Salaat, Hadees No. 494]

۞ Apne Baazoo badan se alag rakhtey. [Saheeh Bukhari, Kitab us Salaat, Hadees No. 390]

۞ Pet ko Raanon se aur pindhiliyo se unchaa rakhte. [Saheeh Muslim, Kitab us Salaat, Hadees No. 496]

۞ Haalat e Sajdah mein Subhaana Rabbiyal Alaa kehte. [Sunan Abu Dawud, Kitab us Salaat, Hadees No. 871]

۞ Phir Allaah u Akbar kehte hue apna sarr mubaarak uthaatey. [Saheeh Bukhaari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 789]

۞ Baayein paaon ko bichhaa kar uss pe baith jaatey aur daayein paaon ko khada kar rakhtey aur haathon ko raano par rakh letey. [Sunan Abu Dawud, Kitab us Salaat, Hadees No. 957]

۞ Aur yeh dua parhtey, ‘Allaahmma agh-firli warhamni wa ’ajburni wa ’ahdini wa ‘arzuqni’ [Jama Trimizi, Kitab us Salaat, Hadees No. 284]

۞ Phir Aap Allaah u Akbar keh kar sajdey mein chaley jaatey. [Saheeh Bukhaari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 803].

۞ Aur usi tarha karte jis tarha pehle sajdey mein kiya tha. Phir Allaah u Akbar keh kar Sarr Mubaarak uthaatey. [Saheeh Bukhari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 803]

۞ Phir Aap dono haathon ko zameen par lagaa kar unke sahaarey khadey hotey. [Saheeh Bukhari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 824].

۞ Jab Aap achi tarha khadey ho jaatey to Qirat shuru karte aur phir dusri rakat usi tarha parhtey jis tarha pehle rakaat parhtey they.

۞  Phir Tash’hudd awwal ke liye yun baith’tey jis tarha do Sajdo ke darmiyaan baith’tey the. Daayaan haath daayein raan par aur baayaan haath baayein raan par rakhte. Daayein haath ke angoothey ko darmiyaan waali ungli ke saath milaa kar halqa (circle) ki shaql banaa letey the. Aur shahaadat ki ungli se ishaara karte the. [Sunan Abu Dawud, Kitab us Salaat, Hadees No. 957]
۞ Aur uss par nazar rakhtey. [Sunan Abu Dawud, Kitab us Salaat, Hadees No. 990]

۞ Phir yeh kalmaat parhtey, “Attahiyyaatu lillaahi wassalawaatu………….” [Saheeh Bukhari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 831, Saheeh Muslim, Kitab us Salaat Hadees No. 402]

۞ Aap darmiyaane tash’hud ke liye thori der baith’tey

۞ Phir aap takbeer kehte hue khdaey ho jaatey. [Saheeh Bukhaari, Kitaab ul Azaan, Hadees No. 803].
Iss mauqey par aap Rafadein bhi karte the. [Saheeh Bukhari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 739]

۞ Aur teesri aur chauthi rakaat ada kartey. Yeh Rakaatein pehli do rakaato se mukhtasar hoti thi. Kyunki aap inn mein sirf Surah Fatiha parha karte the. [Saheeh Bukhari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 776, Saheeh Muslim, Ktab us Salaat, Hadees No. 451]

۞ Phir aakhri tash’hud mein iss tarha baith’tey ke baayein paaon ko bichhaa kar daayein paaon ki pindli ke neeche se kadam baahar nikaal letey, daayein paaon ko khada kar letey aur zameen par baith jaatey. [Saheeh Bukhari, Kitab ul Azaan, 828]

۞ Phir aakhri Tash’hud parhtey. Uss mein tash’hud ke ilaawa durood sheriff parhtey. “Allaahumma salli alaa Muhamadin wa alaa aali Muhammadin……………….” [Saheeh Muslim, Kitab us Salaat, Hadees No. 406]

۞ Phir aap aakhir mein Jahannum, azaab e qabr, zindagi aur maut ke fitno aur dajjaal ke fitney se Allaah Ta’ala ki panaah talab karte aur wo duaayein karte jo Kitab o Sunnat mein maujud aur mehfooz hai. Darj e zil Dua apko bahut pasand thi, balke aap ne isey parhne ka hukm diya.

۞ “Allaahumma innee auzu bika min azaabil qabri, wa min azaabi jahannama, wa min fitnatil-mahyaa wal-mamamaati, wa min sharri fitnail-maseehid dajjaal.” [Saheeh Muslim, Kitab ul Masaajid, Hadees No. 588]

۞ Phir aap daayein jaanib aur baayein jaanib ‘Assaamu alaykum wa rehmatullaahi’ keh kar salaam phertey the. [Saheeh Muslim, Kitaab ul Masaajid, Hadees No. 582]

۞ Kalmaat salaam ki ibtidaa Qibla ki taraf moonh kar ke karte aur aakhri kalmaa adaa karne tak chehra mukammal daayein ya baayein taraf pher letey the.

۞ Jab Aap salaam pher letey to teen martaba ‘Astaghfirullah’ kehte aur phir yeh kalmaat kehte; ‘Allaahumma antas-salaamu wa minkas-salaamu, tabaarakta yaa Zal-Jalaali wal-ikraam’. [Saheeh Muslim Kitaab ul Masaajid, Hadees No. 592]

۞ Phir Aap wo duaayein parhtey jo kitub ahadees mehfooz aur maujud hai.

Shaykh Saalih Fawzaan ibn al-Fawzaan hafizullah aagey farmaatey hai;

‘Aye Musalmaan! Kitab o Sunnat ki roshni mein Namaaz ka yeh mukhtasar sa bayaan hai. Aap ko chaahiye ke apni Namaaz mein inn cheezo ka khoob ihtimaam karey taa ke aapki namaaz hatta al-imkaan Rasoolullah sallahu alayhi wasallam ki Namaaz ke mutaabiq ho.

https://allah-ek.blogspot.com/?m=1

No comments :

Post a Comment