26/01/2019

📝 *Aasan Nekiya* -3️⃣

              📝 *آسان نیکیا*📝

  *نیکی کی کسی چھوٹی سی بات کو حقیر نا سمجھو*

 *Neki ki kisi choti si baat ko Haqeer na samjho*

🍃_*Allah Ta’ala Irshad farmata hai.Aur ham qayamat ke din adl-o-insaaf ka taraazu qayam karenge to kisi jaan par kuchh bhi zulm nahi hoga. Aur agar koi chiz raayi ke daane ke barabar bhi ho to ham use le aaenge aur ham hisaab karne ke liye kaafi hain._*🍃
🌾(Surah Ambiya,Aayat No.47)

🍃Yani insaano ki chhoti se chhoti neki aur chhoti se chhoti bura’ee sab ko mizaan e amal mein taula jaaega.Phir kya hoga? Allah Ta’ala irshad farmata hai.🍃

🍃To woh log jin ki taul bhaari hongi.(Yani jin loga ka neki ka palla bhaari hoga) Woh man pasand aish mein honge aur jin ki taul halki hogi un ka anjaam “Haawiya” hoga.Aur tum kya jaano ki “Haawiya” kya hai? Woh ek dahakti hui aag hai.🍃
🌾(Surah Al-Qaariya,Aayat No.6 to 11)

🍃 *Allah Ta’ala ke in farmano ko padhne aur sun ne ke baad har momin bande ki khaahish hoti hai ki ham kuchh aisi khaas neki kare jin ka wazan mizaan-e-amal mein bhaari ho*.🍃

✨ Tumhare Liye Ye Kaam Sadaqa Hai

*الحمد لله**

💦 Mafhum e*Hăďěět*💦

🌾 Nabi kareem ﷺ Ne Farmaya:
*Bhatak Jane Wali Jagah Mein Kisi Aadmi Ki Tumhara *Raasta Dikhana* Tumhare Liye Sadqa Hai, Na Beena Aur *Kum Dekhne Wale* Aadmi Ko Raasta Dekhana* Tumhare Liye Sadqa Hai,🌾

🌾ابوذر رضی الله عنہ کہتے ہیں کہ` رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:
بھٹک جانے والی جگہ میں کسی آدمی کو تمہارا راستہ دکھانا تمہارے لیے صدقہ ہے، نابینا اور کم دیکھنے والے آدمی کو راستہ دکھانا تمہارے لیے صدقہ ہے.🌾

*📚Jame Tirmazi Hadees # 1956*

*جزاك الله خيرا کثيرا في الدنيا والخرة .بارك الله في علمك وعملك اللهم امين*

*ان شاء اللہ*
*Allah Ta’ala hume kehne sun’ne se zyada amal ki taufik ata farmaye*

👉  *Please share with your family's & friends*

No comments :

Post a Comment