26/01/2019

*📝Aasan Nekiya-4️⃣*

⚖⚖⚖⚖⚖⚖⚖

        📝آسان نیکیان نیکیا*       📝 *آسان نیکیا 

  *نیکی کی کسی چھوٹی سی بات کو حقیر نا سمجھو*

Neki ki kisi choti si baat ko Haqeer na samjho.

*Tumhare Liye Ye Kaam Sadaqa Hai, *Patthar,Kaanta aur Haddi Ko Raaste Se Hatana*

 *بِسْمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم*

🍃 *Insaano ki chhoti se chhoti neki aur chhoti se chhoti bura’ee sab ko mizaan e amal mein taula jaaega.Phir kya hoga? Allah Ta’ala irshad farmata hai*.🍃

🍃To woh log jin ki taul bhaari hongi.(Yani jin loga ka neki ka palla bhaari hoga) Woh man pasand aish mein honge aur jin ki taul halki hogi un ka anjaam “Haawiya” hoga.Aur tum kya jaano ki “Haawiya” kya hai? Woh ek dahakti hui aag hai.🍃
🌾(Surah Al-Qaariya,Aayat No.6 to 11)

🍃 *Allah Ta’ala ke in farmaano ko padhne aur sun ne ke baad har momin bande ki khaahish hoti hai ki ham kuchh aisi khaas neki kare jin ka wazan mizaan-e-amal mein bhaari ho*.🍃

*To der kis baat ki? Huzur Sallallaho alaihe wasallam ki in hadiso ko padhye aur amal kar ke apni dunya aur aakhirat ko kaamyab banaye*

💦 *Hăďěět*💦

🌴 Nabi kareem ﷺ Ne Farmaya:

*Patthar,Kaanta aur Haddi* Ko Raaste Se Hatana Tumhare Liye Sadqa Hai, Apnay *Doul Se* Apnay Bhai Ke Doul Mein Tumhara *Pani Daalna* Tumhare Liye Sadqa Hai_

🌴 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:

*پتھر، کانٹا اور ہڈی کو راستے سے ہٹانا تمہارے لیے صدقہ ہے، اپنے ڈول سے اپنے بھائی کے ڈول میں تمہارا پانی ڈالنا تمہارے لیے صدقہ ہے“ ۱؎۔*

*📚Tirmizi Hadees: 1956*

*ان شاء اللہ*
_
*جزاك الله خيرا کثيرا في الدنيا والخرة .بارك الله في علمك وعملك اللهم امين*

*Allah Ta’ala hume kehne sun’ne se zyada amal ki taufik ata farmaye*

👉  *Please share with your family's & friends*

No comments :

Post a Comment