🌹DUA🌹
*اللَّهُمَّ بِعِلْمِكَ الغَيْبَ وَقُدْرَتِكَ عَلَى الْخَلْقِ أَحْيِنِي مَا عَلِمْتَ الْحَيَاةَ خَيْراً لِي، وَتَوَفَّنِي إِذَا عَلِمْتَ الْوَفَاةَ خَيْراً لِي، اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ خَشْيَتَكَ فِي الْغَيْبِ وَالشَّهَادَةِ, وَأَسْأَلُكَ كَلِمَةَ الْحَقِّ فِي الرِّضَا وَالْغَضَبِ، وَأَسْأَلُكَ الْقَصْدَ فِي الْغِنَى وَالْفَقْرِ، وَأَسْأَلُكَ نَعِيماً لاَ يَنْفَدُ، وَأَسْأَلُكَ قُرَّةَ عَيْنٍ لاَ تَنْقَطِعُ، وَأَسْأَلُكَ الرِّضَا بَعْدَ الْقَضَاءِ, وَأَسْــــأَلُكَ بَرْدَ الْعَيْشِ بَعْدَ الْمَوْتِ، وَأَسْأَلُكَ لَذَّةَ النَّظَرِ إِلَى وَجْهِكَ، وَالشَّوْقَ إِلَى لِقائِكَ فِي غَيرِ ضَرَّاءَ مُضِرَّةٍ، وَلاَ فِتْنَةٍ مُضِلَّةٍ، اللَّهُمَّ زَيِّنَا بِزِينَةِ الإِيمَانِ، وَاجْعَلْنَا هُدَاةً مُهْتَدِينَ*
(Allaahumma bi'ilmikal-ghayba wa qudratika 'alal-khalqi 'ahyinee maa alimtal-hayaata khayran lee wa tawaffanee 'ithaa alimtal-wafaata khayran lee, Allaahumma 'innee as'aluka khashyataka fil-ghaybi wash-shahaadati wa as'aluka kalimatal-haqqi fir-ridhaa walghadhabi, wa as'alukal-qasda fil-ghinaa walfaqri, wa as'aluka na'eeman laa yanfadu, wa as'aluka qurrata aynin laa tanqati'u, wa as'alukar-ridhaa ba'dal-qadhaa'i,
wa as'aluka bardal-ayshi ba'dal-mawti, wa as'aluka laththatan-nadhari ilaa wajhika wash-shawqa ilaa liqaa'ikafee ghayri dharraa'a mudhirratin wa laa fitnatin mudhillatin, Allaahumma zayyinnaa bizeenatil-'eemaani waj'alnaa hudaatan muhtadeen..)
*Aey Allah*
Tu apne ilm ghaib aur makhlooq par apni qudrat ki badolat, mujhe zindah rakh jab tak tu samjhta hai ke mere liye zindah rehna behtar hai aur mujhe mout day jab tak tu samjhta hai ke mere liye mout behtar hai.
*Aey Allah!* aur mein ghaib aur haazir mein tujh se dartay rehne ka sawal karta hon, razamandi aur gazabb ki haalat mein haq baat kehnay ki toufiq chahta hon, mohtaji aur ghanni mein miyana rawi ka sawal karta hon, nah khatam honay wali Nemat mangta hon, nah munqita honay wali aankhon ki thandak mangta hon, taqdeer ke faislay par raazi rehne ka sawal karta hon, mout ke baad achi zindagi ka taalib hon, tairay chehray ki taraf dekhnay ki lazzat ka arzoo mand hon, teri mulaqaat ka shoq rakhta hon baghair kisi nuqsaan pohanchanay wali takleef ke aur baghair gumraah karne walay fitnah ke,
*Aey Allah!* to hum ko imaan ki zeenat se mziin kar day aur hum ko hadaayat Yafta logon ka rehnuma bana day .
_📚An-Nasa'i 3/54, 55, Ahmad 4/364. See also Al-Albani, Sahih An-Nasa'i 1/281._
No comments :
Post a Comment