12/06/2019

Dua - Sunnan e Ibn e Maja Hadees # 3846

*Dua*

*اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ مِنَ الْخَيْرِ كُلِّهِ،‏‏‏‏ عَاجِلِهِ وَآجِلِهِ،‏‏‏‏ مَا عَلِمْتُ مِنْهُ وَمَا لَمْ أَعْلَمْ،‏‏‏‏ وَأَعُوذُ بِكَ مِنَ الشَّرِّ كُلِّهِ،‏‏‏‏ عَاجِلِهِ وَآجِلِهِ،‏‏‏‏ مَا عَلِمْتُ مِنْهُ وَمَا لَمْ أَعْلَمْ،‏‏‏‏ اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ مِنْ خَيْرِ مَا سَأَلَكَ عَبْدُكَ وَنَبِيُّكَ،‏‏‏‏ وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ شَرِّ مَا عَاذَ بِهِ عَبْدُكَ وَنَبِيُّكَ،‏‏‏‏ اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ الْجَنَّةَ،‏‏‏‏ وَمَا قَرَّبَ إِلَيْهَا مِنْ قَوْلٍ أَوْ عَمَلٍ،‏‏‏‏ وَأَعُوذُ بِكَ مِنَ النَّارِ،‏‏‏‏ وَمَا قَرَّبَ إِلَيْهَا مِنْ قَوْلٍ أَوْ عَمَلٍ،‏‏‏‏ وَأَسْأَلُكَ أَنْ تَجْعَلَ كُلَّ قَضَاءٍ قَضَيْتَهُ لِي خَيْرًا .*

*Eh Allah !* mein tujh se duniya o akhirat ki saari bhalai ki dua mangti hon jo mujh ko maloom hai aur jo nahi maloom, aur mein teri panah chahti hon duniya aur akhirat ki tamam buraiyon se jo mujh ko maloom hain aur jo maloom nahi,
*Eh Allah !* mein tujh se is bhalai ki taalib hon jo tairay bande aur tairay Nabi ne talab ki hai, aur mein teri panah chahti hon is buraiee se jis se tairay bande aur tairay Nabi ne panah chahi hai,
*Eh Allah !* mein tujh se jannat ki taalib hon aur is qoul o amal ki bhi jo Jannat se qareeb kar de aur mein teri panah chahti hon Jahannum se aur is qoul o amal se jo jahannum se qareeb kar de, aur mein tujh se sawal karti hon ke har woh hukum jis ka to ne mere liye faisla kiya hai behtar kar de

------------------------------
#Sunnan e Ibn e Maja # 3846#

No comments :

Post a Comment