06/11/2019

*"Muhammad {ﷺ}" Part-3*

بسم الله الرحمن الرحيم

*"Muhammad {ﷺ}" Part-3*

*2.Mukhtasar Seerat Un Nabi {ﷺ}:-*

*1.Muhammad {ﷺ} Ka Bachpan:-*

Muhammad {ﷺ} Ki Paidaish 9 Rabi Ul Awwal Peer Ka Din Subha k Waqt Hathiyou Wale Saal Me Hui. Aap {ﷺ} Ki Paidaish Se Pahle hi Aap {ﷺ} K Walid e Majid Ka Inteqal Hogaya tha.

Wiladat K Baad Aap {ﷺ} Ki Walidah Ne Abdul Mutallib K Paas Poote Ki Khushkhabri Bhijwaayi. Wo Tashreef Laaye Aur Aap {ﷺ} Ko Khaane Kaaba Me Le Jakar Allah {ﷻ} Se Dua ki, Uska Shukr Ada Kiya Aur Aapka Naam MUHAMMAD Tajweez Kiya. Ye Naam Arab Me Ma'roof Na Tha. Phir Arab Dastoor K Mutabiq Saathwe(7) Din Khatna Kiya.

(Ibn Hisham : 1/159-169, Tariq Khazri : 1/62)

Aap {ﷺ} Ko Apke Walidah K Baad Sabse Pahle Abu Lahab Ki Loundi Soubiya (رضي الله عنه) Ne Doodh Pilaya.

(Talfih Al-Fahoom Pg.4, Mukhtasar As-Seerah Shaikh Abdullah Pg.13)

Arab k Log Bachchou Ko Doodh Pilane K Liye Banu Sa'ad Ki Aurtou Ko Dete the Taake Shaher Ki Bimariyou Se Mahfooz Rahe Aur Jism Taqatwar Aur Aasaab Mazboot Ho Aur Khalis Arbi Sikhle. Abdul Mutallib Ne Nabi {ﷺ} Ko Doodh Pilane K Liye Halima (رضي الله عنها) Ko Diya.

Raza'at K Douran Halima (رضي الله عنها) Ne Nabi {ﷺ} Ki Barkat K Muta'lliq Farmaya:-

Main Apne Shouhar Aur Bachche k Sath Digar Aurtou k Khafile K Sath Doodh Pine Wale Bachche ki Talash Me Nikli Ye Kahet Saali K din The Jab Main Apne Ghadi Per Sawar Hui To Dublepan Ki Wajah Se Sust Chal Rahi thi Sab Aage Ja Chuke The Jab Hum Pahunche Aur Bachche Talash Kiya Rasool {ﷺ} Ko Sab Aurtou Per Pesh Kiya Sab Ne Yateem Hone Ki Wajah Se Lene Se Inkar Kardiya. Jitni Aurtey Hamra Aayi Thi Sabko Koi Na Koi Bacha Milgaya Sirf Mujh Hi Ko Na Milsaka Jab Wapasi Ki Baari Aayi To Majboori Me Maine Rasool {ﷺ} Ko Leliya Shouhar Ne Kaha Mumkin Hai Allah Isi Me Hamare Liye Barkat de.

Jab Bache Ko Lekar Dere Me Aayi To Dono Seene Doodh K Sath Uspar Umand Padhe, Phir Shouhar Ne Unthni ka Doodh Dhoya To Uska Than Doodh Se Bhara Hua Tha. Subah Jab Hum Ghar Wapis Ja Rahe the Wohi Ghadi Badi Raftaar k Saath Chal Rahi thi. Us Waqt Gaou(village) Me Kahet Saali thi Phir Bhi Bakriya Jab Charne Jaate Asoodah Haal Jaate Aur Doodh Se Bhara than Laate Jabke Dusrou ki Bakriyou Me Doodh Na Hota tha. Jab Rasool {ﷺ} 2 Saal k Hue to Humne Unko Unki Walida k Paas Legaye Aur Humne Apne Paas Rakhne Ki Khwaish Ki Isper Unhone Bachcha Hame Wapis Dediya.

(Ibn Hisham : 1/162-164)

Wiladat K 4 ya 5 Saal K Waqt Seena Chaak Kiye Jaane Ka Waqia Pesh Aaya

Anas (رضي الله عنه) Ne Farmaya K Rasool {ﷺ} K Paas Jibrail (علیہم السلام) Aaye Jabke Aap Bachchou K Saath Khel Rahe The Unhone Apko Pakda Aur Niche Litaya Apka Seena Chak Kiya Aur Dil Nikal Liya Phir Issey Ek Lothda Nikala Aur Kaha Ye Aap (k Dil Me) Se Shaitaan ka Hissa Tha, Phir Is (Dil) Ko Sone(Gold) K Tasht Me Zamzam K Paani Se Dhoya Phir Isko Joda Aur Uski Jagah Per Louta Diya, Bachche Doudte Hue Halima (رضي الله عنها) K Paas Aaye Aur Kaha Muhammad {ﷺ} Qatal Kardiye Gaye Hai. (Ye Sunkar Log Doude) To Apko Saamne Se Aata Hue Paaye Apka Rang Badla Hua Tha,

(Sahih Muslim Jild No.1 Kitab Ul Imaan Hadees No.413)

Is Waqia K Baad Aap {ﷺ} Ko Apke Walidah K Hawale Kardiya Gaya 6 Baras Tak Aap {ﷺ} Apki Walidah K Aghosh Me Rahe,

Apki Walidah Apne Shouhar K Qabar ki Ziyarat k Liye Abdul Mutallib Aur Apke Saath Chali Aur Ziyarat se Wapsi k Waqt Apka Inteqal Hogaya.

Uske Baad Apki Kifalat Apke Dada Ne Ki Aur Abdul Mutallib Apne Betou Se Badhkar Nabi {ﷺ} Ko Chahte the.

Jab Nabi {ﷺ} 8 Saal 2 Mahine 10 Din K The Apke Dada Ka Inteqal Hogaya, Uske Baad Apki Kifalat Apke ChaCha Abu Talib Ne Ki Aur Apne Betou Se Badhkar Nabi {ﷺ} Ko Chahte the.

Jab Aap {ﷺ} 12 Saal K Hue to Apke ChaCha Apko Shaam Ki taraf Le Chale Raaste Me Ek Isaayi Raahib Bahira Se Aap {ﷺ} Ki Mulaqaat Hui Aur Isne Apke ChaCha Ko Apko Shaam Lejane Se Mana Kiya Kaha Waha Log Isey Maar Dalenge To Apke ChaCha ne Apko Wapis Makkah Bhej Diya.

(Ibn Hisham :1/180-183, Mukhtasar As-Seerah Shaikh Abdullah Pg.16)

Nabi {ﷺ} Jab 15 Saal K Hue tab Jung e Fujaz Hui Jo Hurmat Wale Mahine Me Pesh Aayi Jisme Nabi {ﷺ} Apne Chachaou Ko teer Dene Ka Kaam Karte The.

(Ibn Hisham : 1/184-186, Tareeq Khuzri : 1/63)

( *Sources:-* Zaad Al-Ma'ad, Ar-Rahiqul Makhtoom)

*Note:-* Post Me Kuch Galti Ho To Islah K Liye WhatsApp Msg Kar Sakte Hai.

*"Like Our Facebook Page"*

*Fb.com/Tawheedosunnahshirkobiddat*

*WhatsApp +918919884257*
Pls Share To All Groups, Family, Friends And Relatives.

No comments :

Post a Comment