06/11/2019

*"Muhammad {ﷺ}" Part-4*

بسم الله الرحمن الرحيم

*"Muhammad {ﷺ}" Part-4*

*2.Mukhtasar Seerat Un Nabi {ﷺ}:-*

*(b).Muhammad {ﷺ} Ki Jawani Aur Shaadi:-*

*1.Muhammad {ﷺ} Ki Jawani:-* Muhammad {ﷺ} Banu Sa'ad Ki Bakriya Chalaya Karte The Aur Makkah Me Ahle Makkah ki Bakriya Chand Paisou Per Chalaya Karte The. 25 Saal Ki Umar Hui To Hazrat Khadijah (رضي الله عنها) Ka Maal Lekar Tijarat K Liye Mulk e Shaam Tashreef Legaye. Khadijah (رضي الله عنها) Maaldaar Aur Taajir Aurat thi. Inhe Nabi {ﷺ} Ki Amanat Aur Aqlaaq Ka Ilm Hua To Aapne Nabi {ﷺ} K Paas Peshkash Bhijwayi k Inka Maal Lekar Gulam Maisara k Sath Mulk e Shaam Tashreef Lejaye Dusre Tajirou Se Bahtar Ujrat Degi. Aap {ﷺ} ne Peshkash Qubool Karli Inka Maal Lekar Gulam k Sath Mulk e Shaam Tashreef Legaye.

(Ibn Hisham: 1/187-188)

*2.Muhammad ﷺ Ki Shaadi:-* Jab Aap {ﷺ} Makkah Wapis Aaye To Khadijah (رضي الله عنها) Ne Maal Me Aisi Amanat o Barkat Dekhi Jo Issey Pahle Kabhi Nahi Dekha Aur Gulam Ne Bhi Nabi ﷺ K Aqlaaq Aur Amanat K Muta'lliq Bataya. Issey Pahle Khadijah (رضي الله عنها) Ko Raees Aur Sardarou K Rishte Aaye the Jinko Unhone Manzoor Na kiya. Aapne Apne Dil Ki Baat Apni Saheli Nafeesa Ko Kahi Aur Nafeesa Ne Nabi {ﷺ} Se Baat Ki Jisper Aap {ﷺ} Raazi Hogaye Aapne Apne Chachaou Ko Ye Baat Batayi Unhone Khadijah (رضي الله عنها) K ChaCha Se Baat Ki Aur Shaadi Ka Paigham Diya. Iske Baad Shaadi Hogayi. 

Aap {ﷺ} Ne Maher Me 20 Ount(Camel) Diye. Is Waqt Khadijah (رضي الله عنها) Ki Umar 40 Saal Thi. Ye Pahli Khatoon Thi Jissey Nabi {ﷺ} Ne Shaadi Ki Aur Khadijah (رضي الله عنها) Ki Mout Tak Koi Dusri Shadi Nahi Ki.

(Ibn Hisham: 1/189,190)

Ibrahim k Alawa Tamaam Aulad Khadijah (رضي الله عنها) Se Hi Hui. Pahle Qasim Jiski Wajah Se Apki Kuniyat Abul Qasim Padhi. Phir Zainab, Ruqaiyya, Umme Kulsum, Fatima Aur Abdullah (رضوان الله علیہم اجمعین) Hue. Bachche Bachpan Me Hi Inteqal Kar Gaye Aur Bachchiyou Me Se Sabne Islam Paya Aur Apki Zindagi me Hi Sab Wafat Pa Chuke Siwaye Fatima (رضي الله عنها) k Aap {ﷺ} K Inteqal K Baad Fatima (رضي الله عنها) 6 Mah Baad Inteqal Kar Gayi.

(Ibn Hisham : 1/190-191, Fiqah As-Seerah Pg.60, Fath Ul Bari :7/105)

*3.Kaaba Ki Tameer Aur Hajr e Aswad:-* Aap {ﷺ} ki Umar Ka 35wa Saal Tha K Quraish Ne Khane Kaaba Ki Tameer Shru Ki. Kyu K Kaabe Ki Diware Unchi Nahi Thi Aur Chat Na Hone Ki Wajah se Qeemti Chizey Chori Ho Rahi thi Aur Tameer Kiye Hue Ek Zamana Hogaya tha. Iska Muqaam Wo Martaba Bar Qarar Rakhne K Liye Taameer Shru Ki. Sabne Ye Faisla Kiya k Is Kaam Me Sirf Halal Paisa Hi Lagaya Jaaye Aur Jab Purani Imarat Girane Ka Waqt Aaya To Sab Log Darne Lage. Waleed Bin Mugaira Ne Shru'at ki Aur Kuch Na Hua Tab Sab Ne Giraya. Imarat k Diware Qabilou Me Taqseem Thi Jab Sab Ne Diware Banadi Ab Hajr Aswad Ko Lagane ki Baari Aayi To Logou Me Ikhtelaaf Hogaya. Abu Umaiya Maqroomi Ne Faisla Kiya K Kal Jo Shaqs Haram K Darwaze Se Pahle Dakhil Hoga Ussey Jhagdey Ka Hukm Maanle. Allah k Fazal Se Dusre Din Aap {ﷺ} Pahle Tashreef Laaye Logou Ne Kaha Amin. Jab Aap {ﷺ} Pahunche Logou Ne Tafseelat Batayi to Aap {ﷺ} Ne Ek Chadar Mangwayi Aur Bichme Hajr Aswad Rakha Aur Sabko Pakadne Ka Hukm Diya Aur Jab Waha Pahunche to Aap {ﷺ} Apne Hathou Se Hajr Aswad Ko Uske Muqaam Per Lagaya.

(Ibn Hisham :1/196-197, Fiqah As-Seerah Pg.62-63)

*4.Nabuwat Se Pahle Ka Waqt:-* Nabi {ﷺ} Ka Wajood In Tamaam Khubiyou Aur Kamalaat Ka Jama'a Tha Jo Digar Logou Me Khubiya Paayi Jaati Hai. Aap {ﷺ} Haq Pasandi Ka Buland Minar The. Jin Khurafaat Me Mushrikaane Makkah Mubtela The Inse Sakht Bezari Mahsoos ki. Logou K Ache Kaam Me Shirkat Karte Warna Akele Waqt Guzara Karte. Aap {ﷺ} Pahle Se Hi Batil Maboudou Se Nafrat Karte The Hatta k Laat Aur Uzza ki Qasam Sunna Bhi Gawara Nahi Karte.

Nabi {ﷺ} Apni Qoum Me Shirin(Meethe) Kirdar, Fazilana Aqlaaq Aur Kareemana Aadaat k Lehaz Se Mumtaz The. Aap {ﷺ} Sabse Zyada Kush Aqlaaq Sabse Muazaz Hamsaya the Sabse Zyada Amanatdaar the Yaha Tak k Logou Ne Apka Naam Hi Amin Rakh Diya. Aur Jaisa k Hazrat Khadijah (رضي الله عنها) Farmaati Hai "Aap {ﷺ} Dardmandou Ka Bojh Uthate Hai, Muflisou K Liye Kamate Hai, Mahmaan Ki Mezbani Karte Hai, Mushkil Waqt Me Amr Haq Ka Saath Dete Hai."

(Sahih Bukhari Jild No.1 Kitab ul Wahi Hadees No.3)

( *Sources:-* Zaad Al-Ma'ad, Ar-Rahiqul Makhtoom)

*Note:-* Post Me Kuch Galti Ho To Islah K Liye WhatsApp Msg Kar Sakte Hai.

*"Like Our Facebook Page"*

*Fb.com/Tawheedosunnahshirkobiddat*

*WhatsApp +91 8919884257*

Pls Share To All Groups, Family, Friends And Relatives.

No comments :

Post a Comment