06/11/2019

*"Muhammad {ﷺ}" Part-5*seerat, hadees, Quran

بسم الله الرحمن الرحيم

*"Muhammad {ﷺ}" Part-5*

*2.Mukhtasar Seerat Un Nabi {ﷺ}:-*

*(c).Nabuwat Aur Risalat:-*

Muhammad {ﷺ} Ki Umar Jab 40 Saal K Khareeb Hui Aur Usi Douran Aap {ﷺ} Ne Qoum Se Zahni Aur Fikri Faasle Ki Buniyad Per Doori Ikhtiyar Karliya. Aap {ﷺ} Sattu Aur Paani Lekar 2 Mil Dur Kohe Hira k Ek Gaar Me Ja Rahte. Ye Ek Mukhtasar Sa Gaar Hai Jiski Lambai 4 Gaz Aur Chodayi 1.75 Gaz Hai. Khadijah (رضي الله عنها) Bhi Aap {ﷺ} K Saath Jaati Aur Khareeb Hi Kisi Jagah Moujud Hoti. Aap {ﷺ} Ane Jane Walou Ko Khana Khilate Aur Baaqi Ka Waqt Allah Ki Ibadat Karte Apko Batil Maboudou Se Nafrat Thi Lekin Koi Rah Aap {ﷺ} K Saamne Moujud Nahi Thi Jisper Wo Chale Sake.

(Ibn Hisham : 1/235,236, Rahmatul Lil Aalameen : 1/47)

Allah {ﷻ} Aap {ﷺ} Ko Aane Wale Kaar e Azeem K Liye Taiyaar Kar Raha Tha. Aap {ﷺ} Ko Amanat e Kubra Ka Bojh Uthane Roye Zameen Ko Badalne Aur Khat e Tareeq Ko Modne K Liye Taiyaar Karna Chaha To Risalat Ki Zimedari Aayed Karne Se Teen(3) Saal Pahle Hi Aap {ﷺ} K Liye Khilwath Nashini Muqaddar Kardi. 

(Fi Zalaal Al-Qur'an Para :29/66-167)

Jab Aap {ﷺ} Ki Umar 40 Bars Hogayi. Aur Kaha Jata Hai K Paighambaro Ki Ba'asat Ki Umar Hai. To Zindagi Chamakna Aur Jagmagana Shru Hui. Aap {ﷺ} Jo Bhi Khwab Dekhte Wo Subah Ki Tarha Pesh Aata. Jab Gaare Hira Ka Teesra(3) Saal Aaya To Allah {ﷻ} Ne Chaha K Rahmath Ka Faizan Ho. Usne Aap {ﷺ} Ko Nabuwat Se Musharraf Kiya Aur Jibrail (علیہم السلام) Qur'an Majid Ki Chand Aayaat Lekar Aap {ﷺ} K Paas Tashreef Laaye.

Ye Waqia Ramadan Ki 21 Tareeq Ko Peer Ki Raat Me Pesh Aaya. Is Din 10 August 610 Ad Tha. 

Aayesha (رضي الله عنها) Farmati Hai:-

Rasool Allah {ﷺ} Per Wahi Ki Ibteda (Shru'at) Neend Me Ache Khwab Se Hui. Aap {ﷺ} Jo Bhi Khwab Dekhte The Wo Subah Ki Tarah Hota Tha. Phir Aap {ﷺ} Ko Tanhayi Mahboob Hogayi. Chunache Aap {ﷺ} Gaare Hira Me Khilwath Ikhtiyar Farmatey Aur Kayi Kayi Raat Ghar Tashreef Laaye Bagair Masroof Ibadat Rahte. Is K liye Aap {ﷺ} Tosha (Tiffin) Le Jaate. Phir (Tosha Khatam Hone Per) Hazrat Khadijah (رضي الله عنها) K Paas Wapis Aate Aur Taqreeban Utne Hi Dinou k liye Phir Tosha Le Jaate. Yaha Tak k Aap {ﷺ} K Paas Haq Aaya Aur Aap {ﷺ} Gaare Hira Me The Yani Aap {ﷺ} K Paas Farishta Aaya Aur Usne Kaha Padho! Aap {ﷺ} Ne Farmaya Main Padha Hua Nahi. Aap {ﷺ} Farmatey Hai K Usper Usne Mujhe Pakad Kar Is Zor Se Dabaya K Meri Quwwat Nichod Di. Phir Chodkar Kaha Padho! Maine Kaha Main Padha Hua Nahi Hu. Usne Dobara Pakad Kar Dabocha. Phir Chodkar Kaha Padho! Maine Phir Kaha Main Padha Hua Nahi Hu. Usne Teesri Baar Pakad Kar Dabocha Chodkar Kaha:-

اِقۡرَاۡ بِاسۡمِ رَبِّکَ الَّذِیۡ خَلَقَ ۚ﴿۱﴾
خَلَقَ الۡاِنۡسَانَ مِنۡ عَلَقٍ ۚ﴿۲﴾
اِقۡرَاۡ وَ رَبُّکَ الۡاَکۡرَمُ ۙ﴿۳﴾
الَّذِیۡ عَلَّمَ بِالۡقَلَمِ ۙ﴿۴﴾
عَلَّمَ الۡاِنۡسَانَ مَا لَمۡ یَعۡلَمۡ ؕ﴿۵﴾

Padh Apne Rab K Naam Se Jisne Paida Kiya. Jisne Insan Ko Khoon K lothray Se Paida Kiya. Tu Padhta Rah Tera Rab Bade Karam Wala Hai. Jisne Qalam K Zariye (ilm) Sikhaya. Jisne Insan Ko Wo Sikhaya Jisey Wo Nahi Janta tha.

(Surah Al-Alaq Surah No.96 Ayat No.1-5)

In Aayat K Saath Rasool Allah {ﷺ} Ka Dil Dhak Dhak Kar Raha Tha. Khadijah (رضي الله عنها) K Paas Tashreef Laaye Aur Farmaya Mujhe Chadar Udhado, Mujhe Chadar Udhado. Unhone Aap {ﷺ} Ko Chadar Udhadi Yaha Tak K Khouf Jata Raha. Iske Baad Aap {ﷺ} Ne Khadijah (رضي الله عنها) Ko Waqiye Ki ittela Dete Hue Farmaya, Ye Mujhe Kya Hogaya Hai? Mujhe To Apni Jaan Ka Dar Lagta Hai. Hazrat Khadijah (رضي الله عنها) Ne Kaha Hargiz Nahi. Bakhuda Aap {ﷺ} Ko Allah {ﷻ} Ruswa Na Karega. Aap {ﷺ} Silah Rahmi Karte Hai Dardmandou Ka Bojh Uthate Hai, Tahi Dastou Ka Bandobast Karte Hai, Mahmaan Ki Mezbaani Karte Hai Aur Haq K Masa'ib Per iea'nat Karte Hai. Iske Baad Khadijah (رضي الله عنه) Aap {ﷺ} Ko Apne Chachere Bhai Warqa Bin Tufail K Paas Le Gayi. Warqa Dour e Jahailiyat Me Isayi Hogaye The Aur Ibrani Me likhna Jaante The. Chunache Ibrani Zubaan Me Hasbe Toufeeq e Ilahi Injeel Likhte The. Us Waqt Budhe Aur Nabina Hochuke The. Unse Hazrat Khadijah (رضي الله عنها) Ne Kaha Bhaijaan! Aap Apne Bhatije Ki Baat Sune. Warqa Ne Kaha: Bhatije! Tum Kya Dekhte Ho? Rasool Allah {ﷺ} Ne Jo Kuch Dekha Tha Bayan Farma diya. Isper Warqa Ne Aap {ﷺ} Se Kaha: Ye To Wahi Namoos Hai Jisey Allah {ﷻ} Ne Moosa (علیہم السلام) Per Nazil Kiya Tha. Kaash Main Is Waqt Tawana(Taqatwar) Hota. Kaash Main Us Waqt Zindah Hota Jab Aap {ﷺ} Ki Qoum Aap {ﷺ} Ko Nikal Degi. Rasool Allah {ﷺ} Ne Farmaya Acha! To Kya Ye Log Mujhe Nikal dege? Warqa Ne Kaha Ha! Jab bhi Koi Aadmi Is Tarha Ka Paigham Laaya Jaisa Tum Laaye Ho To Ussey Zaroor Dushmani Ki Gayi Aur Agar Maine Tumhara Zamana Paaliya To Tumhari Zabardast Madad Karunga. Iske Baad Warqa Jald Hi Fout Hogaye Aur Wahi Ruk Gayi.

(Sahih Bukhari Jild No.1 Kitab Ul Wahi Hadees No.1,2,3)

( *Sources:-* Zaad Al-Ma'ad, Ar-Rahiqul Makhtoom)

*Note:-* Post Me Kuch Galti Ho To Islah K Liye WhatsApp Msg Kar Sakte Hai.
*WhatsApp +91 8919884257*
.

No comments :

Post a Comment