*Bismillahirrhamanirraheem*
تَبٰرَکَ الَّذِیۡ بِیَدِہِ الۡمُلۡکُ ۫ وَ ہُوَ عَلٰی کُلِّ شَیۡءٍ قَدِیۡرُ ۨ ۙ﴿۱﴾
*bari shaan hai iss/uss zaat ki jiss kay haath mein sari badshahi hai , aur woh her cheez per poori tarah qadir hai .*
الَّذِیۡ خَلَقَ الۡمَوۡتَ وَ الۡحَیٰوۃَ لِیَبۡلُوَکُمۡ اَیُّکُمۡ اَحۡسَنُ عَمَلًا ؕ وَ ہُوَ الۡعَزِیۡزُ الۡغَفُوۡرُ ۙ﴿۲﴾
*jiss ney moat aur zindagi iss/uss liye peda ki takay woh tumhen aazamaye kay tum mein say kon amal mein ziyada behtar hai , aur wohi hai jo mukammal iqtidar ka malik , boht bakhshney wala hai ,*
الَّذِیۡ خَلَقَ سَبۡعَ سَمٰوٰتٍ طِبَاقًا ؕ مَا تَرٰی فِیۡ خَلۡقِ الرَّحۡمٰنِ مِنۡ تَفٰوُتٍ ؕ فَارۡجِعِ الۡبَصَرَ ۙ ہَلۡ تَرٰی مِنۡ فُطُوۡرٍ ﴿۳﴾
*jiss ney saat aasman oopper tulay peda kiye . tum khudaye rehman ki takhleeq mein koi farq nahi pao gay . abb phir say nazar dorra ker dekho kiya tumhen koi rakhna nazar aata hai-?*
ثُمَّ ارۡجِعِ الۡبَصَرَ کَرَّتَیۡنِ یَنۡقَلِبۡ اِلَیۡکَ الۡبَصَرُ خَاسِئًا وَّ ہُوَ حَسِیۡرٌ ﴿۴﴾
*phir baar baar nazar dorrao , nateeja yehi hoga kay nazar thak haar ker tumharay paas na-murad loot aaye gi .*
وَ لَقَدۡ زَیَّنَّا السَّمَآءَ الدُّنۡیَا بِمَصَابِیۡحَ وَ جَعَلۡنٰہَا رُجُوۡمًا لِّلشَّیٰطِیۡنِ وَ اَعۡتَدۡنَا لَہُمۡ عَذَابَ السَّعِیۡرِ ﴿۵﴾
*aur hum ney qareeb walay aasman ko roshan chiraghon say saja rakha hai , aur inn/unn ko shetanon per pathar barsaney ka zariya bhi banaya hai , aur inn/unn kay liye dehakti aag ka azab tayyar ker rakha hai .*
وَ لِلَّذِیۡنَ کَفَرُوۡا بِرَبِّہِمۡ عَذَابُ جَہَنَّمَ ؕ وَ بِئۡسَ الۡمَصِیۡرُ ﴿۶﴾
*aur jinn logon ney apney perwerdigar say kufr ka moamla kiya hai , inn/unn kay liye jahannum ka azab hai , aur woh boht bura thikana hai .*
اِذَاۤ اُلۡقُوۡا فِیۡہَا سَمِعُوۡا لَہَا شَہِیۡقًا وَّ ہِیَ تَفُوۡرُ ۙ﴿۷﴾
*jab woh iss/uss mein daalay jayen gay tu iss/uss kay dahar ney ki aawaz sunen gay , aur woh josh maarti hogi ,*
تَکَادُ تَمَیَّزُ مِنَ الۡغَیۡظِ ؕ کُلَّمَاۤ اُلۡقِیَ فِیۡہَا فَوۡجٌ سَاَلَہُمۡ خَزَنَتُہَاۤ اَلَمۡ یَاۡتِکُمۡ نَذِیۡرٌ ﴿۸﴾
*aisa lagay ga jaisay woh ghussay say phatt parray gi . jab bhi iss/uss mein ( kafiron ka ) koi giroh phenka jaye ga tu iss/uss kay mohafiz inn/unn say poochen gay kay kiya tumharay paas koi khabrdar kernay wala nahi aaya tha-?*
قَالُوۡا بَلٰی قَدۡ جَآءَنَا نَذِیۡرٌ ۬ ۙ فَکَذَّبۡنَا وَ قُلۡنَا مَا نَزَّلَ اللّٰہُ مِنۡ شَیۡءٍ ۚ ۖ اِنۡ اَنۡتُمۡ اِلَّا فِیۡ ضَلٰلٍ کَبِیۡرٍ ﴿۹﴾
*woh kahen gay kay haan beyshak humaray paas khabrdar kernay wala aaya tha , magar hum ney ( ussay/issay ) jhutla diya , aur kaha kay : Allah ney kuch nazil nahi kiya , tumhari haqeeqat iss/uss kay siwa kuch nahi kay tum bari bhari gumrahi mein parray huye ho .*
وَ قَالُوۡا لَوۡ کُنَّا نَسۡمَعُ اَوۡ نَعۡقِلُ مَا کُنَّا فِیۡۤ اَصۡحٰبِ السَّعِیۡرِ ﴿۱۰﴾
*aur woh kahen gay kay : agar hum sunn liya kertay aur samajh say kaam liya kertay tu ( aaj ) dozakh walon mein shamil naa hotay .*
*Allah hum sabko dozaq ki aag se qabar k azab se bachaye*🤲🏻❤
*SURAT -UL-MULK : AYAT NO 1 & 10*🌹🌹
No comments :
Post a Comment