30/03/2023

Azkar Al-Masah –Shaam ke Azkar – Evening Azkar

Bismillahirrahmanirrahim

*Azkar Al-Masah –Shaam ke Azkar – Evening Azkar*

*In Azkar ko roz shaam aap padhne ki aadat bana lijiye, in sha Allah aapki duniya aur aakhirat behatreen ho jayegi aur aap bahut sari museebato, pareshaniyo, hadso se mehfooz rahoge aur aapke rizq mein bhi barkat hogi*

*1. Ayat Al Kursi ki Fazilat*
--------------------
Hadith 1:  Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jo koi isko
 (Ayat Al kursi ko) subha padh lega to sham tak shaitan se mehfooz rahega aur jo sham ko padh lega wo subah tak shaitan se mehfooz rahega 
Al-Hakim, Al Targeeb wa Al Tarhee

*أَعُوذُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيم*

ِ *بِسْمِ اللهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيْمِ*

*اللَّهُ لَا إِلَـٰهَ إِلَّا هُوَ الْحَيُّ الْقَيُّومُ لَا تَأْخُذُهُ سِنَةٌ وَلَا نَوْمٌ لَّهُ مَا فِي السَّمَاوَاتِ وَمَا فِي الْأَرْضِ*
*مَن ذَا الَّذِي يَشْفَعُ عِندَهُ إِلَّا بِإِذْنِهِ يَعْلَمُ مَا بَيْنَ أَيْدِيهِمْ وَمَا خَلْفَهُمْ**وَلَا يُحِيطُونَ بِشَيْءٍ مِّنْ عِلْمِهِ إِلَّا بِمَا شَاءَ * وَسِعَ كُرْسِيُّهُ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضَ*
*وَلَا يَئُودُهُ حِفْظُهُمَا وَهُوَ الْعَلِيُّ الْعَظِيمُ*
-------------
Allahu La ilaha illa huwa, Alhayyul Qayyum
La ta khudhuhu (Kuzuhu) sinatuw wa la naum,
Lahu ma fissamawati wa ma fil ardh (Ard)
man dhalladhi ( zallazi) yashfaoo, Eendahu, illa be-eznih,
ya'alamu ma bayna aydihim wa ma khalfahum,
wa la yuhituna beshayeem-min eelmih, illa bima shaaa,
wasiya kursiyyuhus samawati wal ardh (ard)
Wala yaooduhu hifdhuhuma (Hizuhuma), wahuwal Aleeyul adheem (azeem).
Al Quran Surah Al Baqara (2), Verse 255

*Tarjuma:* ALLAH ke siwa koi ibadat ke layaq nahi, Zinda hamesha rahne wala,use na ungh aati hai na neend, jo kuch Aasmano aur jo kuch zameen mein hai sab usi ka hai, kaun hai jo uski ejazat ke bagair us sey sifarish kar sake,jo kuch logo ke 
ru baru (samne) ho raha hai aur jo kuch unke peeche ho chuka hai usey sab malum hai aur wo uske malumat mein se kisi cheez par dastaras hasil nahi kar sakte magar jitna ke wo chahe, uski baadshahi Aasman aur zameen sab par hawi hai aur use unki hifazat kuch bhi dushwar nahi wo bada Aali rutba aur Jaleel ul Qadr hai.

*2✦ Hadith:  Ye teen surah tumhe har cheez ke liye kaafi ho jayegi*
-----------
Hadees: Abdullah bin khubayb Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Subah aur sham 3 baar Surah Al-Ikhlas , 
Surah Al-Falaq Aur Surah An-Nas padh liya karo , ye tumhe har cheez ke liye kaafi ho jayegi (yani har tarah ki pareshaniyo se bachne ke liye ye kaafi hain)
(Sunan Abu dawud, Jild 3, 1643-Hasan)

*بِسْمِ اللهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيْمِ*

*قُلْ هُوَ اللَّـهُ أَحَدٌ، اللَّـهُ الصَّمَدُ، لَمْ يَلِدْ وَلَمْ يُولَدْ، وَلَمْ يَكُن لَّهُ كُفُوًا أَحَدٌ*

Qul Hu Wallahu Ahad, ALLAHus-Samad, Lam Yalid walam Yulad, Walam 
Yakul-lahu Kufuwan Ahad
---------------
*Tarjuma* Kah do Wo ALLAH Ek hai, ALLAH beniyaz hai, Na uski koi Aulad hai aur na wo kisi ki Aulad hai, Aur uskey barabar ka koi nahi hai
AL Quran, Surah Al-ikhlas (112)

*بِسْمِ اللهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيْمِ*

*قُلْ أَعُوذُ بِرَ‌بِّ الْفَلَقِ، مِن شَرِّ‌ مَا خَلَقَ، وَمِن شَرِّ‌ غَاسِقٍ إِذَا وَقَبَ*،
 *وَمِن شَرِّ‌ النَّفَّاثَاتِ فِي الْعُقَدِ، وَمِن شَرِّ‌ حَاسِدٍ إِذَا حَسَدَ*

Qul Aaoodhu (aaoozu) BiRabbil falaq
Min sharri ma khalaq
Wa min sharri ghasiqin iza waqab
wa min sharrin naffathati (naffasati) fil uqad
wa min sharri Haseedin iza hasad
-------------
*Tarjuma*:Kah do main Subha Ke RABB ki panah mangta hu
Uski Makhluq ki burayee se aur andheri raat ki burayee se jab wo cha Jaye aur giroh (Knots) mein phunkne waliyoh ki burayee se aur hasad Karne wale ki burayee se jab wo hasad kare
Al Quran Surah Al-Falaq (113)

*بِسْمِ اللهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيْمِ*

*قُلْ أَعُوذُ بِرَ‌بِّ النَّاسِ، مَلِكِ النَّاسِ، إِلَـٰهِ النَّاسِ، مِن شَرِّ‌ الْوَسْوَاسِ الْخَنَّاسِ،*
*الَّذِي يُوَسْوِسُ فِي صُدُورِ‌ النَّاسِ، مِنَ الْجِنَّةِ وَالنَّاسِ*

Qul Aaoodhu (aaoozu) BiRabbinNas
MalikinNas, ilaahinNas, Min Sharril Waswasil Khannas
Al Ladhi (lazi) Yuwaswaso fi sudurinNas
MinalJinnati wanNas

*Tarjuma*:Kah do main logo ke RAB ki panah mein aaya,
Logo ke baadshah ki, logon ke mabud ki
Us shaitan ki burayee se jo waswase daal kar chup jata hai
jo logon ke seeno mein waswase dalta hai, jinnon aur insano mein se.
Al Quran, Surah An-Nas (114)

*3. Shaam Ka Azkar*
------------------
Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam Jab Shaam Karte to Ye dua farmate

*أَمْسَيْنَا وَأَمْسَى الْمُلْكُ لِلَّهِ وَالْحَمْدُ لِلَّهِ*
*لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ وَحْدَهُ لَا شَرِيكَ لَهُ،*
*لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ*
*رَبِّ أَسْأَلُكَ خَيْرَ مَا فِي هَذِهِ اللَّيْلَةِ  وَخَيْرَ مَا بَعْدَهُ*
*وَأَعُوْذُ بِكَ مِنْ شَرِّ مَا فِي هَذِهِ اللَّيْلَةِ وَشَرِّ مَا بَعْدَهُ*
*رَبِّ أَعُوْذُ بِكَ مِنَ الْكَسَلِ، وَسُوءِ الْكِبَرِ*
*رَبِّ أَعُوْذُ بِكَ مِنْ عَذَابٍ فِيْ النَّارِ وَعَذَابٍ فِيْ الْقَبْرِ*
--------------
Amsayna wa Amsahal-mulku Lillah, Wal-hamdullilah,
wa la ilaha illallah, wahdahu la sharika lahu
Lahul-mulku wa lahul-hamdu, 
wa huwa ala kulli shai'in qadir.
Rabbi Asa'luka khaira ma fi hadhihil-Laila, 
wa khaira ma badaha,
wa Audhubika min sharri hadhihil-Laila, 
wa sharri ma badaha,
wa audhu bika minal-kasali wa sueel-kibar,
wa a`udhu bika min Adhabin-naar, wa Adhabil-qabr
-----------
*Tarjuma*: Ham aur Sara Mulk Shaam Ke Waqt Allah Subhanahu Ka hua, Sari Hamd Allah Ke liye hai, Allah Ke Siwa Koi Ibadat ke layaq nahi Wo akela hai Uska koi Sharik nahi sari badshahat ussi ki hai , sari tarif bhi usee ke liye hai aur wo har Cheez par puri qudrat rakahne wala hai
Eh Mere RABB Mein tujhse us bhalayi Ka talabgar hu Jo iss Raat Mai hai aur Jo iss ke baad hai aur Mein tujhse panah mangta hu  us burayee se Jo iss Raat Mai hai aur Jo iss ke baad hai Eh Mere RABB Mein tujhse Panah mangta hu susti se aur budhape ki kharabi se
Eh Mere RABB Mein tujhse Panah mangta hu Jahannam ke azab se aur Qabr ke azab se
(Sahih Muslim, Jild 6, 6907)

*4 Shaam ke waqt padhne ki dua*
----------------
Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya jab sham ho to ye dua padha kijiye

*اللَّهُمَّ بِكَ أَمْسَيْنَا وَبِكَ أَصْبَحْنَا وَبِكَ نَحْيَى وَبِكَ نَمُوتُ وَإِلَيْكَ الْمَصِيرُ*

Allahumma bika Amsayna wa bika Asbahna wa bika nahya wa bika namutu wa ilaik Al Mashir
--------
*Tarjuma:* Ya Allah humne tere hi naam se shaam ki aur tere hi naam se subah ki aur teri hi naam se jeete hain aur tere hi naam par marenge aur teri hi taraf luat kar jana hai
Sunan Ibn Maja, Jild 3, 749-Sahih

*5 Sayyad-Al-Astigfar (Allah se maghfirat maangne ka sabse achcha tariqa )* 
*Ki Fazilat*
---------------------
Hadees: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Sayyad-Al-Astigfar (Allah se maghfirat maangne ka sabse achcha tariqa) ye hai, jisne is dua ke alfaaz par yaqeen rakhte huye din mein inko padh liya aur usi din shaam hone se pahle uski maut ho gayee to wo jannati hai, aur jisne is Dua ke alfaaz par yakeen rakhte huye Raat mein inko parh liya aur phir uska subah hone se pahle uski maut ho gayee to wo jannati hai.

*اللَّهُمَّ أَنْتَ رَبِّي، لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ،*
 *خَلَقْتَنِي وَأَنَا عَبْدُكَ، وَأَنَا عَلَى عَهْدِكَ وَوَعْدِكَ مَا اسْتَطَعْت*ُ،
 *أَعُوذُ بِكَ مِنْ شَرِّ مَا صَنَعْتُ، أَبُوءُ لَكَ بِنِعْمَتِكَ عَلَى*َّ 
*وَأَبُوءُ لَكَ بِذَنْبِي، فَاغْفِرْ لِي*،
 *فَإِنَّهُ لاَ يَغْفِرُ الذُّنُوبَ إِلاَّ أَنْتَ*

Allahumma anta Rabbi la ilaha illa anta, Khalaqtani wa ana abduka, wa ana 'ala ahdika wa wa'dika mastata'tu, Awuzu bika min sharri ma sana'tu, abu'u Laka bini'matika 'alaiya,wa Abu'u Laka bizambi,
 fagfirli fa innahu la Yagfiru-az-zunuba illa anta.
-------------
* Tarjuma :* Eh Allah tu hi mera RAB hai, tere siwa koi mabud nahi, tune hi mujhe paida kiya hai aur main tera hi Banda hu, main apni taqat ke mutabiq tujhse kiye huye Ahad aur wade par qayam hun, main tujhse us cheez ki  burayee se panah maangta hu jisko maine kiya ,main tere samne teri naimaton ka iqrar karta hu jo tune mujhe ata farmayee, Aur main apne gunahon ka bhi iqrar karta hun, tu mujhe maaf kar de , beshaktere siwa gunahon ko koi maaf karne wala nahi
(Sahih Bukhari, Vol 7, 6306)

*6 Hadith : Jis shakhs ne 3 baar ye kaha to Allah usko puri tarah aag se aazad farma dete hain*
---------------
Salman Farsi Radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya jis shakhs ne 1 baar ye kalimat kahe to Allah subhanhu uska ek tihayee (1/3) hissa aag se aazad farama dete hai, jis shakhs ne 2 baar ye kalimat kahe to Allah subhanhu uska do tihayee (2/3) hissa aag se aazad farama dete hai, jis shakhs ne 3 baar ye kalimat kahe to Allah subhanhu usko puri tarah aag se aazad farma dete hain

*اللَّهُمَّ إِنِّي أُشْهِدُكَ وَأُشْهِدُ مَلَائِكَتَكَ وَحَمَلَةَ عَرْشِكَ، وَأُشْهِدُ مَنْ فِي السَّمَاوَاتِ وَمَنْ فِي الْأَرْضِ،*
*أَنَّكَ أَنْتَ اللَّهُ لَا إِلَهَ إِلَّا أَنْتَ وَحْدَكَ لَا شَرِيكَ لَكَ، وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُكَ وَرَسُولُكَ*

 Allahumma inni Ushhiduka Wa Ushhidu Malaeekataka wa Hamalata Arshik,
Wa Ushhidu man fis-samawati Wa man fil-Ard, Annaka AntAllah, La ilaha illa Ant,
Wahdaka La sharika lak, Wa Ashhadu Anna, Muhammadan Abduka Wa Rasooluk
----------
*Tarjuma:* Eh Allah main tujhe gawah banata hun,Aur tere farishto aur tera arsh uthane walo ko gawah banata hu aur aasman aur zameen mein mojud makhluq ko gawah banata hu ki tu hi Allah hai aur tere siwa koi sachcha mabud nahi , tu akela hai , tera koi sharik nahi aur main gawahi deta hun ki
Muhammed Sal-Allahu Alaihi Wasallam tere bande aur Rasool hai
(Al Silsila As Sahiha, 2966-Sahih
Al-Daawat Al-Kabir, Bahiqi, 184-Hasan)

*7 Hadith: Jis ne Shaam Ke Waqt Ye dua padhi to usne us shaam ka shukr adaa Kar diya*
-------------------------
 Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaye Jis ne Shaam ke Waqt Ye dua padhi to usne us raat ka shukr adaa Kar diya

*اللَّهُمَّ مَا أمسى بِي مِنْ نِعْمَةٍ ، أَوْ بِأَحَدٍ مِنْ خَلْقِكَ ، فَمِنْكَ وَحْدَكَ لا شَرِيكَ لَكَ ، فَلَكَ الْحَمْدُ وَلَكَ الشُّكْرُ*

Allahumma Ma Amsa bi min ni’matin Aw bi-ahadin min khalqika fa minka
Wahdaka la shareeka laka, Falakal-Hamd, walakash-shukr
-------------
* Tarjuma:* Ya Allah Shaam ko jo naimat mere paas hai ya -teri kisi makhluq ke pass hai wo teri hi di huyee hai, Tu Akela hai tera koi Sharik nahi , tere hi liye sari tarifen hain aur tere hi liye --shukr hai.
Sahih Ibn Hibban, 868-Hasan, Shuab-ul-Iman, Al Baihiqi 4053-Sahih
Al-Sunan Al-Kubra, An-Nasaii, 9447-Sahih

*8 Badan ke aafiyat (salamati) ki dua*
---------------
Hadees:  Abdul rahman bin Abu bakr Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki unhone apne walid se pucha ki Abbu jaan main aapko har subah aur sham ko teen martaba ye dua padhte huye sunta hu

*اللَّهُمَّ عَافِنِي فِي بَدَنِي اللَّهُمَّ عَافِنِي فِي سَمْعِي اللَّهُمَّ عَافِنِي فِي بَصَرِي لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ*

" Allahumma Aafini fi badani, Allahumma Aafini fi samaee, Allahumma aafini fi Bashari, La ilaha illa Anta."
----------------
*Tarjuma:* Ya Allah tu mere badan mein aafiyat ata farma, Ya Allah tu mere kaano mein aafiyat ata farma, Ya Allah tu meri nigaho mein aafiyat ata farma tere siwa koi maabud nahi
to unhone kaha ki maine Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ko yahi dua isee tarah padhte huye suna hai aur mujhe pasand hai ki main unki sunnat par amal karta rahu
(Sunan Abu Dawood, Jild 3, 1649-Hasan)

*9 Duniya aur aakhirat mein aafiyat aur kaamyabi ki dua*
---------------------
 Abdullah Ibn Umar Radi Allahu Anhu se rivayat hai 
Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne subah aur shaam ko 
inn duao ko padhna kabhi nahi chorha 

*اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ الْعَافِيَةَ فِي الدُّنْيَا وَالآخِرَةِ*
*اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ الْعَفْوَ وَالْعَافِيَةَ فِي دِينِي وَدُنْيَاىَ وَأَهْلِي وَمَالِي*
*اللَّهُمَّ اسْتُرْ عَوْرَتِي ‌‏ وَآمِنْ رَوْعَاتِي  اللَّهُمَّ احْفَظْنِي مِنْ بَيْنِ يَدَىَّ وَمِنْ خَلْفِي*
*وَعَنْ يَمِينِي وَعَنْ شِمَالِي وَمِنْ فَوْقِي  وَأَعُوذُ بِعَظَمَتِكَ أَنْ أُغْتَالَ مِنْ تَحْتِي*

 Allahumma inni As'alukal-'afwa wal-'afiyah Fid-dunya wal-akhirah.
Allahumma inni as'alukal-'afwa wal-'afiyah fi dini wa dunyayee, wa Ahli wa maali. Allahum-mastur 'awrati, wa amin raw'ati, wahfazni min bayni yadayya, wa min khalfi, wa 'an yamini wa 'an shimali, wa min fawqi, wa 'audhu bi azmatika
 an ughtala min tahti
-------------
*Tarjuma:* Eh Allah Mein tujhse duniya aur akhirat mai aafiyat ka sawal karta hu, Eh Allah Mein tujhse apne Deen aur duniya aur apne gharwalo mein aur apne maal mein maafi aur aafiyat ka sawal karta hu Eh Allah mere aib Chupa de, mere dil ko mutmayeen kar de aur mere aage aur peeche aur daayein aur baayein aur upar se meri hifazat farma aur main teri panah chahta hu teri azmat ke saath , ki neeche se halak kiya jauu yani zameen mein dhansa diya jauu
(Sunan Abu Dawud, Jild 3, 1637-Sahih)

*10 Apne Nafs aur Shaitan ki burayee se bachane ki dua*
----------------------
 Abu Bakr Radi Allahu Anhu ne Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam se kaha ki mujhe subah aur sham ko koi dua padhne ka hukm de dijiye to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasalam ne farmaya is dua ko tum subah ko sham ko aur sote waqt padh liya karo

*اللَّهُمَّ عَالِمَ الْغَيْبِ وَالشَّهَادَةِ فَاطِرَ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضِ رَبَّ كُلِّ شَيْءٍ وَمَلِيكَهُ*
*أَشْهَدُ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ أَعُوذُ بِكَ مِنْ شَرِّ نَفْسِي وَمِنْ شَرِّ الشَّيْطَانِ وَشِرْكِهِ*

"Allahumma Aalimal-ghaibi wash-shahadati faṭiras-samawati wal-arḍ, Rabba kulli shai’in wa malikahu, Ash-hadu an la ilaha illa anta, Audhu bika min sharri nafsi wa min sharrish-shaiṭāni washirkihi"
------------
* Tarjuma :* Eh Allah Eh gaib aur khuli baato ko janne wale , Aasman aur zameen ko palne wale , har cheez ke RABB aur malik ,main gawahi deta hu ki tere siwa koi mabud nahi aur main tujhse apne nafs ki burayee aur shaitan ki burayee aur uske shrik se panah maangta hu
(Jamia Tirmizi, Jild 2, 1316-Sahih)

*11 Nagahani museebat yani achanak aane wali musaeebat se bachne ki dua*
---------------------

*بِسْمِ اللَّهِ الَّذِي لَا يَضُرُّ مَعَ اسْمِهِ شَيْءٌ فِي الْأَرْضِ وَلَا فِي السَّمَاءِ وَهُوَ السَّمِيعُ الْعَلِيمُ*

 Bismillahillazi La yadurru Ma-asmihi Shaiun fil-ardi wa La fis-smaaie, Wahuwa As-Samiul-Alim.
-----------
*Tarjuma:* Allah ke naam se shuru karta hu jiski naam ki barkat se Zameen aur aasman ki koi cheez nuksan nahi pahucha sakti aur wahi sunne wala aur janne wala hai

"Hadees:Aban bin uthman radi allahu anhu se rivayat hai ki maine Uthman Radi allahu anhu se suna ki Rasool-Allah Sallallahu Alalihi Wasallam ne farmaya jisne (shaam ko) 3 martaba ye dua parhi  usey subah tak koi nagahani Museebat nahi pahuchegi aur jisne subah ko 3 martaba ye dua parhi to Shaam tak usko koi nagahani (achanak) museebat nahi pahuchegi Raavi (Hadith rivayat karney wale) kahte hain ki Aban bin Uthman Radi Allahu Anhuma ko falij(laqwa) ho gaya tha to wo shaksh jisney unse ye hadith rivayat ki thi wo unhe dekhne laga to Aban ne unse farmaya ki tujhe kya ho gaya hai ki is tarah meri taraf dekhta hai, Allah ki kasam maine na to Uthman radi allahu anhu par aur na Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam par jhoot baandha hai lekin jis roz mujhe ye Falij (laqwa) hua us roz main gusse mein tha aur ye Dua parhna bhul gaya
(Sunan Abu Dawud, Jild 3, 1647-Sahih)

*12 Jo is dua ko subah sham padhega to Allah subhanahu Qayamat ke din usko jarur khush farma denge*
----------------------
Hadees: Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya Jo bhi musalman ya insaan (ya banda) subah sham ye kalimat kahe

*رَضِيتُ بِاللَّهِ رَبًّا وَبِالإِسْلاَمِ دِينًا وَبِمُحَمَّدٍ ﷺ نَبِيًّا*

Radaitu billahi Rabban wa bil-Islami dinan wa bi Muhammadin nabiyyan
To Allah subhanahu Qayamat ke din usko jarur khush farma denge
-------------.
*Tarjuma:* main raazi hu Allah ke RABB hone par, Islam ke deen hone par aur Muhammad Sal-Allahu Alaihi Wasallam ke Nabee hone par
Sunan Ibn Majah, Jild 3, 751-Hasan
Sahih Ibn Hibban, 870-Hasan

*13  -Subah aur Sham aur Pareshani ke waqt padhne ki dua*
------------------
Anas bin Malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne Fatima Radi Allahu Anha se farmaya Jab tum Subah ya shaam mein dakhil ho to is tarah kaha karo

*يَا حَيُّ يَا قَيُّومُ بِرَحْمَتِكَ أَسْتَغِيثُ وَأَصْلِحْ لِي شَأْنِي كُلَّه، وَلَا تَكِلْنِي  إلى نَفْسِي طَرْفَةَ عَيْنٍ أَبَدًا*

"Ya Hayyu Ya Qayyum, Bi-Rahmatika Astagith, Waslih li Sha'ni Kullahu, Wala Takilni ila Nafsi tarfata Aaynin Abda"
--------------
*Tarjuma:* Eh Zinda Hamesha Qayam rahne wale Teri rahmat ke zariye se faryad karta hu, mere tamam halat durust kar de aur kabhi bhi palak jhapakne ke barabar bhi 
mujhe mere nafs ke hawale na kar
(Al Silsila As sahiha, 2942)

*14 : Subhan-Allahil-Azeem wa biHamdihi*
----------
*Allah ki zaat paak hai aur wo bada azmat wala hai aur usee ki hamd hai*
----------
Hadees: Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya jo shakhs subah ke waqt 100 baar

*سُبْحَانَ اللّهِ الْعَظِيمِ وَ بِحَمْدِهِ*

"Subhan Allahil Azim Wa Bihamdehi"

padhega aur usee tarah sham ko bhi  (  100 baar) padhega to uske barabar makhluq mein se kisi ka darja nahi hoga
(Sunan Abu Dawud, Jild 3, 1650-Hasan)

*15:10 bar Kalimat kahne ki Fazeelat*
*لا اِلهَ اِلَّا اللّهُ وَحْدَهُ لا شَرِيكَ لَهُ ، لَهُ الْمُلْكُ وَ لَهُ الْحَمْدُ وَ هُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ*
------------------
 Hadees: Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jis ne ye kalma Din mein 10 martaba Parh liya usko itna sawab hoga jaise Hazrat ismaeel Aaihi salam ki aulad mein se 4 shakhson ko aazad karwaya.
*لا اِلهَ اِلَّا اللّهُ وَحْدَهُ لا شَرِيكَ لَهُ ، لَهُ الْمُلْكُ وَ لَهُ الْحَمْدُ وَ هُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ*

 La ilaha illal-lah wahdahu la sharika lahu, lahu-l-mulk wa lahu-l-hamd wa huwa 'ala kulli shai'in qadir
-----------------
*Tarjuma*:Allah ke siwa koi mabud nahi hai, Wo tanha hai uska koi sharik nahi hai, usee ke liye baadshahi hai aur usee ke liye tarifein hainAur wo har cheez par kudrat rakhne wala hai
(Sahih Muslim, Jild 6, 6844)

*16 Tauba Astagfar ki Fazilat*
---------------------
*Hadees:Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jisne ye kalimat kahe to uske gunah maaf kar diye jayenge chahe wo Maidan e jung se bhag gaya ho
*أَسْتَغْفِرُ اللَّهَ الَّذِي لاَ إِلَهَ إِلاَّ هُوَ الْحَىُّ الْقَيُّومُ وَأَتُوبُ إِلَيْهِ*
Astagfirullah-Al-lazi la ilaha illa Huwa Al-Hayyul-Qayyum wa atubu ilaih
-------
* Tarjuma:* Main ALLAH se apne gunaho ki maafi maangta hu jiske siwa koi ibadat ke layaq nahi, Jo zinda aur hamesha rahne wala hai aur main usee ki taraf tauba karta hu
(Sunan Abu Dawud, Jild 1, 1504-Sahih)

*17 Zahreele Jaanwaroh aur Cheezoh se Hifazat*
---------------------
Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam   ne farmaya jo shakhs sham ko 3 martaba ye dua padhega to usko us raat koi bhi zahreeli cheez nuqsan nahi pahuchayegi 
*أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّاتِ مِنْ شَرِّ مَا خَلَقَ*

Aauzu bi kalimaatillaa-hittammaati Min Sharri Ma khalaq
-------
*Tarjuma*: Panah mangta hu main Allah ki,Pure kaimat ke jariye,Har us cheez ki burayee se jo usne paida ki hai 
(Jamia Tirimizi, Jild 2, 1528-Sahih)

Note: Aksar ulmao ka kahna hai ki agar koi is dua ko subah bhi 3 baar padh lega to sham tak usko koi zahreeli cheez nahi pahuchayegi

*18: Subah aur Sham ko RasoolAllah ﷺ par 10 baar durud bhejne ki fazilat*
----------------------------
Abu Darda Radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya jo shaksh mujh par subah 10 baar aur sham ko 10 baar durud bhejega to usko Qayamat ke din meri shafaat hasil hogi.

Allahumma Salli Ala Muhammed
*اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ*

*Tarjuma*: Eh Allah Muhammed Sal-Allahu Alaihi Wasallam par Rahmat nazil farma
(Sahi Al Jame - 6357-Hasan)
(Sahih Al Targeeb Wa Al tarheeb, 659-Hasan)

No comments :

Post a Comment