Allah Taa'la Ne Is Raat Ko Mubarak Raat Kaha Hai Or Sari Ratoun Par Fazeelat Bakhsi Hai.
✨1) Is Raat Main Quran Nazil Kiya Gaya.
Surah Baqarah: 185
Ad-Dukhan:-03
✨2)Is Raat Main Saal Main Jo Kuch Hone Wala Hai Uske Faisle Hote Hain, Surah Ad-Dukkhan 04
✨3) Ye Mubarak Raat Hai. Ad-Dukkhan:03
✨4) Is Raat Ki Ibadat Hazar Mahinoun Se Behtar Hain. Surah Al-Qadr: 03
✨5)Is Raat Main Farishte Or Jibreele Ameen Khairo Barkat Ke Sath Nazil Hote Hain.
Surah Al-Qadr: 04
✨6) Lailatul-Qadr Salamati Wali Raat Hai.
Surah Al-Qadr: 05
✨7) Is Raat Main Qiyam Karne Ki Fazeelat Ye Hai Ke Pechle Sare Gunahoun Ki Moafi Hojati Hai. (Bandoun Ke Hoqooq Ko Chod Kar)
Bukhari: 38/ 1901
Muslim: 760
Abu Dawood:1372
Tirmizi:683
Nisai: 2203
Ibnu Majah:1326
✨8) Is Raat Ke Sharf Wa Fazelat Main Allah Ne Poori Ek Surat Al-Qadr Nazil Farmai jiski Tilawat Qayamat Tak Ki Jayegee.
No comments :
Post a Comment