09/04/2017

Jahannum ka Bayan - Part -1

Bismillahirrahamanirrahim

Jahannum bohat hi buri qiyamgaah aur bahht hi Bura thikana hai. Jise Allah taala ne kafiron, mushrikon aur fasiqon o fajiron k liye tayyar kar rakha hai.

Allah ne Quran me Jannat aur jahannum dono ka badi tafseel se zikr farmaya hai, aur un dono me se aag aur jahannum ka zikr zyada martaba Kiya Gaya hai.

Quran me jahannum k bare me di gayi baaz details ye 👇 hain..

1. Jahannum ko dekhte hi kafiron k faces black ho jayenge. (Surah Yunus_ A.27)

2. Jahannumi azaab se tang aakar maut talab karenge laikin unhe maut nahi ayegi (surah Furqan_ A. 13)

3. Jahannum ki Aag un logon k chehre ka gosht jalaa dalegi aur un k jabdey (gums) bahar nikal ayenge (surah mominoon_ A. 1--4)

4. Jahannum ki Aag na Zinda chodegi na Marne degi. (Surah Aala_ A.13)

5. Jahannum ki Aag logon Ko chiknaa choor kardegi (surah humazah_A.4)

6. Jahannum me kafiron Ko band karke oopar se doors band kar diye jayenge. (Surah humazah_ A. 8--9)

7. Jahannum me kafir phankarein marenge aur shor itna hoga k, kaano padi awaaz sunai na degi. (Surah Ambiyaa_ A. 100)

8. Jahannumiyon Ko thohar ka zehreela Kaante daar badbu daar daraqt (tree) khane k liye diya jayega. (Surah duqqan_ A.43)
Iske ilawa ✏ To be continue...

No comments :

Post a Comment