25/08/2016

Hajj aur Umrah Ke Masaayel Part-1

 بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم

1  - Hajj ke maani: Hajj ke lafzi maani hai iraada karna, Hajj ke istelaahi maani hai makhsoos afaal ki adyegi ke liye masjid haram ki taraf (safar) ka irada karna Hajj keh lata hai.

2-Umrah ke Maani: Umrah ke lafzi maani hai irada karna ya ziyarat karna Umrah ke istelaahi maani hai miqaat se ehraam baandh kar tawaaf baitullah aur safa marwa ki sayee karna aur baal mundwana umrah hai.

Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne umrah apni zindagi me 4 martaba ada farmaya hai aur hajj sirf 1 martaba jo apka pehla aur akhri Hajj tha, uska naam Hajjatul Wida hai. Is talluq se (Abu dawood aur Musnad Ahmad ne riwayat nakal ki hai.

Jo usmein ( Makka mein) dakhil ho jata hai wo aman wala ho jaata hai .

AL Quran : Beshak logon ke waste jo sabse pehla ghar muqarrar huwa wo yahi hai jo Makka mein barkat wala hai aur sare jahan ke logon ke liye rahnuma hai Ismein Zahir nishaniyah hain , Muqam-e-Ibrahim hai, aur jo usmein dakhil ho jaye wo aman wala ho jaata hai aur logon par is ghar ka HAJJ karna Allah ka haq hai jo shaksh us tak pahunchne ki taqat rakhta ho, aur jo inkaar kare to phir Allah jahan walon se be parwah hai.
Surah Aal-e-Imran(3) Verse: 96-97 .

“Umrah gunaaho ka kaffaara hai aur haj mabroor ka badla Jannat hai.”

Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya HAJJ mabrur ka jannat ke siwa koi sila nahi hai aur ek umrah dusrey umrah tak hone wale gunaho ka kaffara hai.
Sunan Nasaii, Vol 2, 533 – Sahih

TO BE CONTINUED IN SHAA ALLAH....

Jazaakumullahu khair'an
_____ _________
_______________

No comments :

Post a Comment