ุจِุณْู
ِ ุงَِّููู ุงูุฑَّุญْู
َِู ุงูุฑَّุญِูู
Hum Umrah kaise kare Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne kaise kiya tha.?
Umrah Ka Sahee Tariqa:
“Umrah me 4 Kaam karna Farz/ Wajib hai.
1. Ehraam ke sath niyaat aur Labbaik kahna .(Mard ke liye Ehraam ki do chadar hai, aur wo sili huyi na ho, Aur aurto ka Ehraam unka aam paak aur sharai libaas hi hai. Sath me burqa bhi pahan le.
Aurte apne burqe se apne jism ko puri tarah dhank le yaha tak ki kaan bhi chip jaye.
2. Kabba ka Tawaaf karna.
3. Safa aur Marwah ke darmiyaan saee karna .
4. Sar k baal Mundwana . (Auratain apne sar k baal ungli ke Ek pore kate).
In 4 Kaamo me se kisi ek ko janbujh kar chord dene per Damm Lazeem hoga matlab apko ek qurbani deni padegi.
khaas khayal rakhe tamam arkaan aur sunnato ke saath Umrah ko muqammal karne ke liye. Agar Sunnat aur nafl kaam choot jaye to koi harz nahi . lekin har ibadat farz, wajib , sunnat, nafl ka khaas khayal zaroor rakhe.
Ehraam Bandhne se pahle in kaamo ko karna afzal hai .
Badan ki Safai karna, Zere Naaf aur Bagal yaani(under Arms) ke baal katna, Nakhoon katna ya inhe chote karna, ghusul karna , aur Badan per khushbu lagana sunnat hai.
Yaad rakhe in kaamo ko Ehraam bandhne se pahle karna hai . Ye sare kaam ehraam ki halat me jayaz nahi.
In baton ka khaas khayal rakhe:
Ehraam ki halat me Mohrrim baal naa kate agar khudba khud jhad jaye to koi harz nahi, Ehraam ki halat me mohrrim Nakhoon na kate agar khud ba khud jhad jaye to koi harz nahi, Ehraam ki halat me mohrrim Khushboo na lagaye agar ehraam bandhne se pahle lagayi huyi khushboo ki mahak aye to koi harz nahi, Ehraam ki halat me mohrrim apne sar ko na dhake agar chatri, bus ki chat, bag, suitcase se sar chip jaye to koi harz nahi, Ehraam ki halat me mohrrim koi bhi darkhat ya jhaad ke patte na tode na hi haram ke hudood me na hi Hudood E Haram se bahar, aur na hi koi parinda ko mare aur nahi kisi ka shikar kare.
Ehraam ki halat me mohrrim apni biwi wife se shahwat na kare , aur Ehraam ki halat me mohrrim kisi ko rishte ka paigham na bheje. aur Ehraam ki halat me mohrrim kisi cheez ko hath na lagaye chahe wo niche gira huwa kyu na ho jaise purse wallet/ya koi bhi saman ko hath na lagaye aur nahi use uthaye. Agar niyyat un cheezo ko announcement ke zariye batani hai pahuchnai hai to phir koi harz nahi.
Ehraam ki halat me mohrrim ko chot ya zakhm lag jaye to koi harz nahi. Ehraam ki halat me mohrrim ke liye ye cheeze jayaz hai inhe used kar sakte hai: Jaise Belt, Ghadi, Mobile Phone, Wallet, Agar zarurat ho ghusul ki to Ehraam ki halat me mohrrim ghusul kar sakte hai. Agar zarurat ho ya Ehraam ki chadare maili ho jaye to use badal bhi sakte hai.
TO BE CONTINUED INSHAA ALLAH....
Jazaakumullahu khair'an

No comments :
Post a Comment