بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم
Haj ki Mukhtasar Tareef: Baitullah ki tameer sab se pehle Allah ta’ala ke hukm se farishto ke haatho amal mein aayi. Phir jab Nuh (Alayhis Salam) ke zamaane mein tofaan aya to baitullah ke asaar bhi mit gaye. Tofaan Nuh ke baadh Allah ta’ala ke hukm se sab se pehle Ibraheem (Alayhis Salam) aur Ismail (Alayhis Salam) ne Baitulah ki tameer ki. Jab duno ne tameer shuru ki to Allah ta’ala se dua karte jaate jis ke baare mein Qur’aan majeed mein Allah ta’ala ne farmaya -
"Aye hamare parvardigaar hamari is khidmat ko qubool farma, yaqinan tu sunne waala jaanne waala hai"
(Surah Baqara Ayat 127)
Jab tameer mukammal ho gayi to Allah ta’ala ne Ibraheem (Alayhis Salam) ko hukm diya ke logo ko haj ke liye daawat do jis ke baare mein Allah ta’ala ne Qur’aan mein farmaya -
" Logo mein Haj ka elaan kar do, log tere paas pyaade bhi ayenge aur doble pathle onto par bhi door daraaz ki tamaam raaho se ayenge."
(Surah Hajj Ayat 27)
Phir isi tarah hoa aur us waqt sejo silsila shuru hoa to aaj bhi jaari hai aur Insha Allah qiyamat tak ye silsila jaari rahega.
"Haji ki agar Maut aa gaee to Qayamat ke din Labbaik kahta hua utheyga."
Hazrat Ibn Abbas Radi allahu anhuma se rivayat hai ki ek shaksh maidan Arafat mein tha ki apni sawari se gir parha aur mar gaya (ya sawari ne unhe kuchal diya ) Nabee sallallahu alaihi wasallam ne farmaya pani aur beri ke patton se use ghusal do aur Do kapdo mein unhe kafan do aur farmaya ki inhe khushbu na lagao aur na inka sir chupao kyunki ye Qayamat ke din Labbaik kahta hua utheyga.
(Sahih Bukhari, Vol 2, 1265)
4. Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam par Haj kab fardh hoa: Jamoor ulema ki ye raaye hai ke Haj 9 hijri mein fardh hoa jis ke baadh Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne Hazrat Abubakr Siddiq (Radi Allahu anhu) Makkah ravana kiya ta ke logo ko Haj ke manasik bata diye jaaye, unhone Haj ke dauraan hee elaan karvaya ke aaj ke baad na koi mushrik ko Haj ki ijazat hai aur na hee koi nanga ho kar tawaaf kare. Phir ayinda saal yaani 10 hijri mein Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Hajj ke liye Makkah tashreef laaye jise Hajjatul Wida kaha jaata hai.
5-Umrah gunaaho ka kaffaara hai aur haj mabroor ka badla Jannat hai.
Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ek umrah dosre umrah tak duno ke darmiyaani gunaaho ka kaffaara hai aur haj mabroor (yaani jis mein kisi qism ke gunaah ka irtekaab na ho) ka badla jannat ke alawa aur koi nahi .
(Sahih Bukhari 1773):
6 - Hajj karne wala gunaaho se paak ho jaata hai:
Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jis ne haj kiya (aur us mein ) na aurto ke qareeb gaya aur na hee koi fasq wa fujoor ka kaam kiya to wo apne gunaaho se (paak saaf ho kar) us din ki tarah lautega jis din us ki maa ne us ko jana.
Sahih Bukhari 1521.
TO BE CONTINUED INSHAA ALLAH....
Jazaakumullahu khair'an

No comments :
Post a Comment