25/08/2016

Hajj aur Umrah Ke Masaayel Part- 5

 بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم

   Sayee: Safa marwah ke 7 chakkar lagane ko sayee kahte  hai. Shuru safa se kare aur sayee ek chakkar ki masafat adha kilometer hai aur total 7 chakkar ke sade teen kilometer 3 1/2 km hote hai.

Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam jab safa se saee shuru kartey to padhtey

 'Innas-Safa wal-Marwata min sha'a"irillah.
 Surah Al-Baqarah [2:158]

Fir kabe ki taraf muh karke ye duwa padhe:

Allah hu Akber Allah hu Akber , Allah Hu Akbar, Allah hu Akber La’ilaha illalhu wahadahu la sharika lahu’lahul mulku walhul hamdu yuhyi wa yumitu wahuwa ala kulli shaeen kadeer.
La’ilaha illalhu wahadahu la sharika lahu anjazah waadahu wa na sara abdahu wa hajhmal  ahazaba wahadahu.

Ise 3 martaba padhna hai aur sirf pahle aur dusre martaba padhne ke baad duwa kare
{Sahi Muslim Hadees 1218}.

Safa se marwa ek chakkar aur marwa se safa dusra chakkar is tarike se saath chakkar lagane hai . aur marwa per chakkar khatam hoga. Sayee ke 7 chakkar safa se shuru hokar marwa per khatam hongey.

Sayee karte waqt jab hari light ke pass jayen to to mard hazrat dourdn bhagen. Aur aurtein na doude aur ye duwa kare. Aas Safa se lekar al marwa aur al marwa se lekar as safa ke darmiya yeh duwa pardhna jayaz hai.

“ Rabbig Fir’Waraham inna’ka Antal A’azzul Akram.
(A mere Rab meri magfirat farma aur mujhper rahma kar tu sabse zyada azmat wala aur karam karne wala hai.)

Sayee k Baad kuch log do rekat Nafl padhtey hain ye Biddat hai... Nafl sirf  Tawaf k baad hi padhni hai.

Sayee ke 7 chakkar muqammal hone ke baad. Masjid e haram se nikalte waqt ye duwa padhe jaise har masjid se nikalte waqt padhte hai.

Allahumma salli ala mohammadiv wa sallim Allahhumma inni as aluka min fazlik.

Phir mard hazrat pure sar ke baal mundwaye aur aurte sare sar ke baal ungli ke ek pore ki lambai se kuch zyada kate ab apka umrah muqammal hoga gaya. aur  ehraam khul gaya aur tamam pabandiya khatam ho gayi.

Apka Umrah Maukkamal hua, Ab aap aam dino me jaise halal kaam kiya karte the abb aap per wo tamam cheesen halal hai.

TO BE CONTINUED INSHAA ALLAH....

Jazaakumullahu khair'an

No comments :

Post a Comment