07/02/2017

TOUHEED-2

๐Ÿ’๐Ÿ•ฏ๐Ÿ’กTOUHEED๐Ÿ’ก๐Ÿ•ฏ๐Ÿ’

         ุจุณู… ุงู„ู„ู‡ ุงู„ุฑุญู…ู† ุงู„ุฑุญูŠู…

๐Ÿ’ TAUHEED QUR'AN MAJEED KI ROSHNI ME๐Ÿ’ 
.          
AQEEDAH E TAUHEED INSAAN KI FITRAT MEIN SHAMIL HAI...

❤"(Ae Nabi!) yakso (ek) ho kar apna rukh uske deen (islam) ki simt jama do aur qayem ho jao uski fitrat par jis par Allah ta'ala ne insaano ko paida kiya hai Allah ta'ala ki banayi hui saakht badli nahi ja sakti yahi seedha deen hai lekin aksar loog nahi jaante".
๐Ÿ“˜(Surah Room surah no. 30 Ayat no. 30)

KHALIS AQEEDAH E TAUHEED HI DUNYA WA AKHIRAT MEIN AMAN WA SALAMATI KA ZAAMIN HAI...

❤"Jo loog emaan laye aur apne emaan ko zulm (shirk) k saath aalood (alag) nahi kiya unhi k liye aman hai aur wahi raah e raast par hai".
๐Ÿ“˜(Surah An'aam Surah no. 6 Ayat no. 82)

AQEEDAH E TAUHEED PAR EMAAN LAANE WALE HAMESHA HAMESHA JANNAT MEIN RAHENGE..

❤"Wo loog jo emaan le aaye aur naik amal kare to unhe hum aese baago mein dakhil karenge jinke nichey nehrey behti hongi aur wo waha hamesha hamesha rahenge ye Allah ta'ala ka saccha wada hai aur Allah ta'ala se badh kar kaun apni baat mein saccha hoga?".
๐Ÿ“˜(Surah Nisa Surah no. 4 Ayat no. 122)

AQEEDAH E TAUHEED K LIYE SAARI DUNYA K INSAANO KO QURAN MAJEED KI DAWAT O FIKR..

❤"(Ae Nabi) unse keho kabhi tumne ye bhi soocha hai k agar Allah ta'ala tumhari beenaayi (aankho ki rooshni) aur tumhari sima'at (sun'na) tumse cheen le aur tumhare dilo par muhar laga de to Allah ta'ala k siwa konsa ila (mabood) hai jo ye quwwatey tumhey wapas dila sakta hai? dekho kis tarah baar baar hum apni dalail unke saamne paish karte hai phir bhi ye muh mood lete hai".
๐Ÿ“˜(Surah An'aam Surah no. 6 Ayat no. 46)

❤"Ae Nabi! unse kaho kabhi tum loogo ne gaur kiya hai k agar Allah ta'ala qayamat tak tum par hamesha k liye raat taari karde to Allah ta'ala k siwa wo konsa ila (mabood) hai jo tumhey rooshni dila de kya tum sunte nahi ho? unse pucho, kabhi tumne soocha k agar Allah ta'ala qayamat tak tum par hamesha k liye din taari karde to Allah ta'ala k siwa wo konsa ila (mabood) hai jo tumhey raat dila de takey tum usme sakoon hasil kar sako kya tum dekhte nahi ho?".
๐Ÿ“˜(Surah Qasas Surah no. 28 Ayat no. 71-72)

❤"Kabhi tumne aankhey khool kar dekha, ye paani jo tum peetey ho use humne baadal se barsaaya hai ya uske barsaane wale hum hai? hum chahey to use sakht khaari bana kar rakh de phir tum shukr guzaar kyu nahi bante".
๐Ÿ“˜(Surah Waqi'ah Surah no. 56 Ayat no. 68-70)

❤"Kabhi tumne gaur kiya, ye nutfa jo tum daalte ho, us'se baccha tum banaate ho ya uske banane wale hum hai? humne tumhare darmiyaan maut ko taqseem kiya hai, aur hum uske aajiz nahi k tumhari shakley badal de aur kisi aesi shakal mein tumhey paida karde jisko tum nahi jaante, apni pehli paidaish par tum jaante hi ho, phir kyu sabaq nahi lete".
๐Ÿ“˜(Surah Waqi'ah Surah no. 56 Ayat no. 58-62)

❤"Kabhi tumne soocha ye beej jo tum bootey ho, unsey khetiyan tum ugaate ho ya unke ugaane wale hum hai?, hum chahey to un khaitiyo ko bhus bana de aur tum tarah tarah ki baatey banate rah jaoge k hum par to ulti chatti pad gayi, balkey hamare to naseeb hi phoot padey".
๐Ÿ“˜(Surah Waqi'ah Surah no. 56 Ayat no. 63-67)

❤"Aur tumhare liye mawaishiyo mein bhi ek sabaq mojood hai unke pait se gobar aur khoon k darmiyaan se hum ek cheez tumhe pilaate hai yaani k khalis doodh jo peene walo k liye nihayat khushgawaar hai".
๐Ÿ“˜(Surah Nahal Surah no. 16 Ayat no. 66)

❤"Jab marne wale ki jaan halaq tak pahunch chuki hoti hai aur tum aankho se dekh rahe hote ho k wo marr raha hai, hum us waqt uske bahut qareeb hote hain lekin tum dekh nahi paate, ab agar tum kisi ke mahkoom nahi ho aur apne khayal me sacche ho toh us waqt uski nikalti hui jaan ko wapas kyu nhi le aatey?".
๐Ÿ“˜(Surah Waqi'ah Surah no. 56 Ayat no. 83-87)

๐Ÿ’žAlhamdulillah..hum yahan TOUHEED QUR'AN KI ROSHNI ME ke parts khatm kerte hai aur In sha Allah Ul Aziz iske baad hum TOUHEED KI AHMIYAT per Gour Karenge

๐Ÿ’“Allah hum sab ko TOUHEED per akhri dum tak rehne ki  toufiq de...

๐Ÿ’žAllahumma Ameen๐Ÿ’ž

No comments :

Post a Comment