07/02/2017

TOUHEED-Part 1


                                                 بسم الله الرحمن الرحيم

                                         💎TAUHEED E SIFAAT💎

                                                  [Part 1]

KAINAAT KI HAR CHEEZ KA HAQEEQI MALIK AUR BAADSHAH SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI.

❤"Wo Allah ta'ala hi hai jiske alawa koi Ilah (mabood) nahi, Wo Baadshah hai nihayat Muqaddas hai, sarasar salamati aur aman dene wala, Nigehbaan, sab par Gaalib, Zabardast Badayi wala, Paak hai Allah ta'ala us shirk se jo log kar rahe hai".
📗(Surah Hashr Surah no. 59 Ayat no. 23)

❣Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Qayamat k rooz Allah ta'ala aasmaano ko lapaitega phir unhe apne daaye hath mein lega phir farmayega mein hu baadshah aaj kaha hai (dunya mein) bade ban'ne wale aur takabbur karne wale? phir zameeno ko apne baaye hath main lapait lega".
📚(Sahih Muslim, Mishkaat Kitabul Faan)


KAINAAT MEIN HUKUMAT AUR TAMAAM IKHTAYARAAT SIRF ALLAH TA'ALA HI K PAAS HAI.

❤"Hukm dena sirf Allah ta'ala hi ka haq hai usi ne hukm diya hai k uske siwa kisi ki ibadat na ki jaye, yahi seedha raasta hai lekin aksar loog nahi jaante".
📗(Surah Yousuf Surah no. 12 Ayat no. 40)

❣Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Hazrat Jibraeel Alaihis Salaam se farmaya: "Tum jitni martaba hamare paas aatey ho us se zayada martaba kyu nahi aate? is par ye aayat nazil hue "Ae Nabi hum tumhare Rabb k hukm k bagair nahi aatey jo kuch hamare aagey aur pichey hai neez jo kuch uske darmiyaan hai uska Malik wahi hai aur tumhara Rabb boolne wala nahi" ye ayat Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k mutaalbey ka jawab thi (jo Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Hazrat Jibraeel Alaihis Salaam se kiya tha).
📚(Sahih Bukhari Kitabut Tauheed)

WAZAHAT:

📗Mazkoora Ayat Surah Maryam Surah no. 19 Ayat no. 64 ki hai.


NIZAM E KAINAAT AUR UMOOR E KAINAAT KA MUDABBIR SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI.

❤"Wo Allah hi hai jisne aasmano ko aese satoono k bagair qayam kiya jo tumko nazar nahi aatey hai phir wo arsh par julu (qaayam) farma hua, sooraj aur chaand ko (ek kanoon ka) paband banaya, (kainaat ki) har cheez (uske hukm se) ek waqt muqarrar tak k liye chal rahi hai Allah ta'ala hi (kainaat k) saare umoor ki tadbeer farma raha hai, Allah ta'ala (apni tauheed ki) nishaniya khool khool kar bayan kar raha hai takey tum apne rabb se mulaqaat ka yaqeen kar lo".
📗(Surah Raad Surah no. 13 Ayat no. 2)

❣Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka irshad e mubarak hai k "Allah ta'ala azz wa jall farmata hai ibne Adam zamaney ko gaali deta hai halankey wo zamana to mein hu din raat mere qabzey qudrat mein hai".
📚(Sahih Muslim Kitabul Faaz minal Adab)


ZAMEEN AUR AASMAAN K TAMAAM KHAZAANO KA MALIK SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI.

❤❤"Ae Nabi! in se kaho mein tumse ye nahi kehta k mere paas Allah ta'ala k khazaane hai na mein gaib ka ilm rakhta hu aur na ye kehta hu k mein farishta hu mein to sirf us wahi ki pairvi karta hu jo mujh par nazil ki jaati hai phir unse pucho, kya andha aur aanhko wala dono barabar ho sakte hai? kya tum gaur nahi karte".
📗(Surah Anaam Surah no. 6 Ayat no. 50)

❣Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Allah ta'ala ka haath bhara hua hai kharch karne se usme kami nahi aati raat din uski bakhshish jaari hai" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Zara gaur karo zameen wa aasman ki takhleeq par Allah ta'ala ne kitna kharch kiya lekin us se uske khazane mein kuch bhi kami nahi hui"
📚(Sahih Bukhari Kitabut Tauheed)                      

No comments :

Post a Comment