14/05/2017

Aakhri ashre mein Qayam Al lail (Tahajjud) ki namaz

Bismilahirrahmanirrahim

Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ki Aakhri ashre mein Qayam Al lail (Tahajjud) ki namaz

-------------------

Abu Zarr Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki humne Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ke saath ramzan ke roze rakhe un hone humko 23 raat tak Qayam al lail ki namaz nahi pdhayee, phir 23 raat ko ek tihayee raat tak namaz padhate rahe, phir 24 raat ko namaz nahi padhayee aur phir 25 raat ko aadhi raat tak namaz padhate rahe maine arz kiya ki Ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam kaash aap baqi raat mein bhi hamare saath isee tarah namaz ada farmate. Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ne irshad farmaya jo shakhs imam ke saath (Qayma mein) khada ho aur uske farig hone tak saath rahe usko puri raat Qayam al lail (sari raat namaz pdhne) ka sawab milta hai aur uske bad Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne 27 raat ko apne ahal o ayal aur ajwaz e mutahharat (ghar walo) ko bhi jama karke namaz ada farmaye, yaha tak ki humko falah ke nikal jane ka khatra malum hua, pucha ki falah kya hai to farmaya Sehri
Sunan Nasaii, Jild 1, 1608-Sahih
(Kitab Qayam Al Lail / Tahajjud)
--------------------

No comments :

Post a Comment